Oct 12, 2022

YASEEN SHARIF MUBEEN KA WAZIFA..!

 


surah e Yaseen sharif quraan ka dil hain.sab say aasan aur jald hajat ko pura karnay wali surah hain.eskay muakkil bismillah k muakkil ki tarha sharif muakkil hain.jald nuqsan nahi pahochatay hain.aur jo eska Qari hota hain usko bahot pasand kartay hain yani jo esko rozana parhtay hain usko bahot pasand kartay hain aur agar ek arsay say ko esko parhta hota hain to eskay sath rahtay hain aur gaibana hajatay uski puri hoti rahti hain kabhi lachar mohtaj nahi honay dengay aur uska kaam banta jaenga.eskay qari ko ek behtareen khushbu ka ahsaas hota rahta hain.ha, agar ek arsay tay eska Qari rahnay k baad koi es Surah ko parhna tark karday tay hain to ye muakkil naaraz ho jatay hain aur eskay haq may baddua bhi kartay hain jissay Qari ki halat pahlay si nahi rahti.esliye jahan tak mumkin ho es surah ko din rat may ek  martba parhnay ki aadat banani chahiye deeni dunyavi fawaed hasil hongay.mohtaji ko dur karagi.

Yahan jo main tareeqa likhunga wo mashoor wazifa Mubeen Dar Mubeen k nam say hain wo likh raha hun.mainay kisi post may eska tareeqa likha huva hain par ek bahan k tajorbay ko share kiya to kuch dosto ki farmaesh aayi ki wo tareeqa bataya jaen to ba aasani aapko mil jaen esliye murshid ka adna gulam Amil Samar Ali aapki khidmat may pesh kar raha hain...!

TAREEQA yun hain ki nauchandi jumerat yani jo chand nazar aaen aur pahli jumerat ho ya jis rat chand nazar aaen wo jumerat ki rat ho ya phir chand 1 say 10 may jo pahli jumerat aaen usmay aap kisi bhi jumerat ko ye wazifa shuru karay to bahot behtar hain lekin quran k liye aesay qawaed lazmi nahi ye aapko mazid fawaed k liye bataya jata hain.

wazifa ka waqt muqrrar rakhay aur jo bhi din rat may aapkay liye saholat ka waqt ho wo muqrrar karlijyega aur rozana usi waqt muqrar par balki chand mints pahlay hi es wazifay ko parhna shuru kardiyega.paki saafi pak badan jagah aur wuzu k sath baith kar parhnay.jagah muqrrar rakhay to noor ul ala noor warna koi shart khas nahi.

kisi din waqt muqrrar par na parh paen to jo bhi pahli furshat ka waqt aaen parhliya karay.Allah aapki mahnat ko jaaya nahi karaega.

11-11 martba durood e pak parh kar bismillah say Yaseen Sharif parhna shuru karay aur jab pahlay mubeen par pahochay to wo aayat parh kar wahan say laut aaen aur bismillah parh kar dubara Yaseen sharif parhna shuru karay aur ab awwal mubeen aaya wahan nahi thaherna parh aagay parhtay huvay jab dusra mubeen aaen to us aayat ko parh kar laut aaen aur dubara bismillah say Yaseen shuru say parhna shuru karay ab parhtay huvay awwal aur dusray mubeen par na thaheray balki tisray mubeen par pahochay to wo aayaat parh kar wahan say palat aaen aur bismillah say yaseen shuru say parhna shuru karay yun har mubeen par ek martba laut aana hain aur shuru say bismillah parhna hain.es tarha Surah e Yaseen may 7 mubeen hain aur Har Mubeen par laut aana hain aur 7ve mubeen ki aayat ko parh kar pura yaseen sharif ek martba parh kar khatm karna hain aur yun aapka wazifa ek din ka mukammal huva.7-11-21-41 din ka wazifa hota hain.jaisy hajat utnay din karna hoga.

har hajat k liye akseer hain namumkin ko mumkin karta hain.marz,laelaj bimari,rozi rozgar job mulazimat,tabadla karwana ya band rakhwana,shadi,dushman say nijat,miya biwi may naitefaqi ko khatm karna,afsar ki taskheer,Qarz ki adaegi,raqam ki wapsi,aulad,ya aulad e narina,jadu bandish ko khatm karna karobar ko taraqqi dena har ek masael k liye es wazifay say madad hasil ki jati hain.mainay khud kai tarjorbay kiya hain aur meray course members aur blog readers bhi bahot tajorbay kar chukay hain.aap bhi apnay masael k hal k liye Quran ki madad lay Allah say dua mangay aur aasaniya hasil karay.

eskay elawa yaseen sharif k amil ban kar aap haziraat k amil jadu aseb jinnat say nijat k tareeqay,bamuakilat aamal kar saktay hain aur uskay liye aapko es ilm ko baqaeda sikhna hoga jo ki hamaray Course may sikhaya jata hain.

course k liye aap haziraat92@gmail.com par Email kar saktay hain ya www.facebook.com/amil.samarali par msg kar saktay hain.

mujay aur meray murshid e karim ko aapki duaon may yad rakhye Allah unko sehatmand taweel umr ata karay aameen.