Oct 28, 2018

BEROZGARI SE NIJAT K LIYE MUJARRIB AMAL:


Aaj kal ye mas'ala har kisi ko pesh aaraha hain.rozgar ki parayshani na naukri mil rahi hain na na koi karobar ho pa raha hain.na kisi bhi tarha ka zariya e rozgar ban raha hain.
ek amal mainay aazmaya huva hain jo ki ek bhai ko diya huva tha aur Allah k karam se uski parayshani dur ho gayi hain to wo hi aazmuda amal meray blog reader k liye aapka khadim samarali pesh kar raha hain.taki jo bhi parayshan rozgar se hain wo koshish k sath sath rohani madad bhi shamil karlay taki aasani paida ho aur apni mushkilay dur kar paen.
es amal ko rozana bad e isha se kisi bhi waqt parha ja sakta hain lekin awwal din jis waqt pe parha jaen to usi ko rozana waqt muqrrar karliya jaen.aur jab tak maqsad me kamyabi na milay wird jari rakhye yani ki koi muddat fix nahi lekiin Allah nay chaha to 40 dino k andar kam ban hi jata hain.aur koi parhez nahi na koi dar khauf ki bat hain.bawuzu paki safi ka khyal rakhtay huvay parhay.aur aakhir me Allah se dua karay aur kamyab hojanay pe es gunahgar Amil SamarAli aur uskay murshid e pak k haq me dua karaega.
durood e pak 21 martba durood e pak [durood e mustgas ya tunajjina sharif parhay to behtar hain]
11 martba surah e fateha sharif,
11 martba surah e ikhlas sharif,
11 martba surah e muzammil sharif,
11 martba..Rabbi inni maghlubun fan-tass-ssir 
101 martba Ya Fattahu Ya Razzaqu
21 martba durood e pak
ye sab parh kar fauran sajday me sar rakhday aur Allah se rotay huvay dua karay.apnay gunaho ki muafi mangay.insha Allah aapki fariyad jald suni jaegi.unki rahmat se mayoos na ho aapkay liye zaroor jaldi hi bandobast ho jaega.
*bas kisi ka haq na maray na kisi ko sataye insan ho janwar ho.
**ye amal aap kisi bhi din shuru kar saktay hain urooj ya zawal ki koi qaid nahi lekin agar ap chand dikhnay k pahlay 10 din andar budh jumerat jumua ya itwar ki shab se shuru karay to behtar.