Feb 15, 2022

NAFARMAN AULAD K LIYE AMAL:

photo from https://depositphotos.com

 

ye bat zaroor dhyan denay ki hain ki bachhay zaheni taur par jo kuch kubool kartay hain usmay aadha hissa ma baap k tarz e fikr aur ghar k mahol say banta hain aur aadha hissa bahir k mahol say,agar ghar ka mahol sukoon wala na ho aur ma baap larhtay jagrhtay rahay to bachay bhi ma bap ki aadate ikhtiyar kar letay hain ogur te aadat unmay pakki ho jati hain.pahlay bhai bahan aapasa may larhtay aur phir maa bap say larhna shuru kardetay hain.kiyu ki ma bap me zaheni melmilap nahi hota esliye wo bachho ki aadat se nazr e bacha laytay hain aur natijay me bachay gustakh ho kar na farman ho jatay hain.aesay ma bap jinmay zaheni mel milap hota hian ya apnay mamlo ki kadwahat ko aulad k samnay zahir nahi honay detay hain unki aulad ma bap ka kaha mannay wali hoti hain beja ladpyar ya bat be bat par sakhti bhi bacho ko bagi bana deti hain ye mas'ala barha taklif denay wala hain.Allah walidain ko es taklif say bachaye rakhay...aameen.

yahan kuch batein aur bhi likh raha hun jo walidain aur sath may bhai bahan apnay chotay bhai bahano k liye  khyal rakhay....

1).jis bachay ka mazak urhaya jata hain wo bacha buzdil ho jata hain.

2).jis bachay ka itbar nahi kiya jata hain wo dhoka dena sikh jata hain.

3).jis bachay par tanqeed ki jati hain wo koshish karna chhorh deta hain.

4).jis bachay ki tarif nahi ki jati hain wo achi chizo ko pasand nahi karta hain.

5).jis bachay ko maar peet ka samna hota hain us bachay ki salahiyatein dab jati hain.

ek qaul maula Ali a.s. ka parha tha.."Apne beto ko mat maro usko adab sikhanay k liye ussay naraz ho jaon,lekin apni narazgi ki muddat ko twool na do aur thoda arsa guzarnay k bad ussay  razi ho jaon."

Mafhum e Hadis hain ki Huzoor purnoor sallallahu alayhi w aalehi w sallam nay farmaya :"Bacho k Sath ahteram Say Pesh Aaon aur Achay Tor Tareeqay Sikhaon Taki Tumhari Magfirat ho jaen..!"

Buzurgo ka Qaul hain...

Bap Ki Zimmedari hain ki wo Aulad k Samnay  unki  Ma ki Tarif Kiya karay.esi tarha Ma ki zimmedari hain ki wo bacho k samnay unke baap ki tareef karay.es tarha dono ki zimmedari hain ki wo ek dusray ki tareef muhabbat,wafadari  mahnat ahteram,Qurbani  ka tazkeera kiya karay yun bacho may bhi walidain k liye ahtram muhabbat aur wafadari ausaaf paida ho.walidain aur bhai bahano may mazboot talooqat paida ho.

imam jafar Sadiq alayhis salam farmatay hain...

"jis shakhs ka biwi bacho k sath acha bartaon hoga uskay rizq may izafa hoga."

"Khush Akhlqi say Rozi may Izafa Hota Hain"

Hazrat e Rumi rahamtullah alayh kahtay hain...

"Ma Baap k Sath Aapka Sulook Aesi Kahani hain Jo Likhtay Aap hain Lekin Aapki Aulad Aapko Parh Kar Sunati Hain..!"

Ab main yahan NaFarman Aula k Liye Rohani Elaj Likh Raha hun...

sab say pahlay to apnay rawaiye may tabdili laaye.aur phir ye rohani amal karay insha Allah aapki Aulad farmabardar ho jaegi...

rat may jab bacha ya jo bhi nafarman hain wo jab ghehri nind so jaen to sarhanay kharay ho kar Ma Ya Bap ek martba inti aawaz say parhay k sonay walay ki nind kharab n ho...

بسم اللہ الرحمن الرحیم      

al Huwa Qur`ānun Majīdun Fī Lawḥin Maḥfūẓi.

amal ki muddat 11 say 21 din hain.

eskay sath agar bacha zid bhi karta hain to aap esko ye aayat 3 martba sufaid kagaz [blue ya black color say] par likh kar blue kapday may pack kar galay may pahanaye.


سلام علی ابراھیم

ــــــــــــــــــــــــــــ

سلام علی ابراھیم

ــــــــــــــــــــــــــــ

سلام علی ابراھیم

insha Allah bacha zid karna chhorhdaega.agar koi chota bacha bahot rota rahta ho to bhi ye likh kar pahannay say aaram ho jaega.

*AGAR BACHA DEENI YA DUNYAVI TALIMAT MAY TAWOJAH NA DETA HO TO...

surah e fateha 41 martba b[behtar hain fajr ki sunnat w farz k darmiyan]ya kam say kam subah parhay aur nihar munh bachay ko pilaye.

surah fateha parhnay ka tareeqa ye rahega ki bismillah hir rahman nir raheem ki aakhri meem ko Alhamdulillah ki lam say mila kar parhay yani Bismillah hir rahmanir raheemiLhamdulillah...es tarha puri surah parhi jaen aur jab aayat

  

NOTE :ye meray murshid k faizan k guldashtay say ek kali aapki janib mainay pesh ki hain.aesay kai aamal o wazaef naqoosh taweez sikhnay k liye aap hamara Rohani Course join kar saktay hain.jismay ham ek mamooli raqam k iwaj aap sab ko amaliyat ki duniya k pur israar raz say aagah farmatay hain.aaj k daur may ustad milna mushkil hain.miltay hain to waqti rahnumayi hoti hain.meray murshid ki talim o tarbiyat k sabb jo bhi hamsay course may rahnumayi lay chukay hain ham ta umr uski rahnumayi kartay rahtay hain...Alhamdulillah...!