Oct 12, 2022

YASEEN SHARIF MUBEEN KA WAZIFA..!

 


surah e Yaseen sharif quraan ka dil hain.sab say aasan aur jald hajat ko pura karnay wali surah hain.eskay muakkil bismillah k muakkil ki tarha sharif muakkil hain.jald nuqsan nahi pahochatay hain.aur jo eska Qari hota hain usko bahot pasand kartay hain yani jo esko rozana parhtay hain usko bahot pasand kartay hain aur agar ek arsay say ko esko parhta hota hain to eskay sath rahtay hain aur gaibana hajatay uski puri hoti rahti hain kabhi lachar mohtaj nahi honay dengay aur uska kaam banta jaenga.eskay qari ko ek behtareen khushbu ka ahsaas hota rahta hain.ha, agar ek arsay tay eska Qari rahnay k baad koi es Surah ko parhna tark karday tay hain to ye muakkil naaraz ho jatay hain aur eskay haq may baddua bhi kartay hain jissay Qari ki halat pahlay si nahi rahti.esliye jahan tak mumkin ho es surah ko din rat may ek  martba parhnay ki aadat banani chahiye deeni dunyavi fawaed hasil hongay.mohtaji ko dur karagi.

Yahan jo main tareeqa likhunga wo mashoor wazifa Mubeen Dar Mubeen k nam say hain wo likh raha hun.mainay kisi post may eska tareeqa likha huva hain par ek bahan k tajorbay ko share kiya to kuch dosto ki farmaesh aayi ki wo tareeqa bataya jaen to ba aasani aapko mil jaen esliye murshid ka adna gulam Amil Samar Ali aapki khidmat may pesh kar raha hain...!

TAREEQA yun hain ki nauchandi jumerat yani jo chand nazar aaen aur pahli jumerat ho ya jis rat chand nazar aaen wo jumerat ki rat ho ya phir chand 1 say 10 may jo pahli jumerat aaen usmay aap kisi bhi jumerat ko ye wazifa shuru karay to bahot behtar hain lekin quran k liye aesay qawaed lazmi nahi ye aapko mazid fawaed k liye bataya jata hain.

wazifa ka waqt muqrrar rakhay aur jo bhi din rat may aapkay liye saholat ka waqt ho wo muqrrar karlijyega aur rozana usi waqt muqrar par balki chand mints pahlay hi es wazifay ko parhna shuru kardiyega.paki saafi pak badan jagah aur wuzu k sath baith kar parhnay.jagah muqrrar rakhay to noor ul ala noor warna koi shart khas nahi.

kisi din waqt muqrrar par na parh paen to jo bhi pahli furshat ka waqt aaen parhliya karay.Allah aapki mahnat ko jaaya nahi karaega.

11-11 martba durood e pak parh kar bismillah say Yaseen Sharif parhna shuru karay aur jab pahlay mubeen par pahochay to wo aayat parh kar wahan say laut aaen aur bismillah parh kar dubara Yaseen sharif parhna shuru karay aur ab awwal mubeen aaya wahan nahi thaherna parh aagay parhtay huvay jab dusra mubeen aaen to us aayat ko parh kar laut aaen aur dubara bismillah say Yaseen shuru say parhna shuru karay ab parhtay huvay awwal aur dusray mubeen par na thaheray balki tisray mubeen par pahochay to wo aayaat parh kar wahan say palat aaen aur bismillah say yaseen shuru say parhna shuru karay yun har mubeen par ek martba laut aana hain aur shuru say bismillah parhna hain.es tarha Surah e Yaseen may 7 mubeen hain aur Har Mubeen par laut aana hain aur 7ve mubeen ki aayat ko parh kar pura yaseen sharif ek martba parh kar khatm karna hain aur yun aapka wazifa ek din ka mukammal huva.7-11-21-41 din ka wazifa hota hain.jaisy hajat utnay din karna hoga.

har hajat k liye akseer hain namumkin ko mumkin karta hain.marz,laelaj bimari,rozi rozgar job mulazimat,tabadla karwana ya band rakhwana,shadi,dushman say nijat,miya biwi may naitefaqi ko khatm karna,afsar ki taskheer,Qarz ki adaegi,raqam ki wapsi,aulad,ya aulad e narina,jadu bandish ko khatm karna karobar ko taraqqi dena har ek masael k liye es wazifay say madad hasil ki jati hain.mainay khud kai tarjorbay kiya hain aur meray course members aur blog readers bhi bahot tajorbay kar chukay hain.aap bhi apnay masael k hal k liye Quran ki madad lay Allah say dua mangay aur aasaniya hasil karay.

eskay elawa yaseen sharif k amil ban kar aap haziraat k amil jadu aseb jinnat say nijat k tareeqay,bamuakilat aamal kar saktay hain aur uskay liye aapko es ilm ko baqaeda sikhna hoga jo ki hamaray Course may sikhaya jata hain.

course k liye aap haziraat92@gmail.com par Email kar saktay hain ya www.facebook.com/amil.samarali par msg kar saktay hain.

mujay aur meray murshid e karim ko aapki duaon may yad rakhye Allah unko sehatmand taweel umr ata karay aameen.

Oct 1, 2022

MULAZIMAT HASIL KARNAY KA MUJARRIB WAZIFA:



Mein es blog may hamesha eska khyal rakhta hun ki yahan likhay janay walay aamal o wazaef jitna mumkin ho sahal ho.kiyu k mujay maloom hain mera ye blog har ek darjay k log parh rahay hain.aalim hafiz say lay kar ek aam banda bhi parh raha hain.Quran e pak may Allah nay har bat ka hal rakha huva hain.hamarai nazar usmay hal dhudhnay k kabil ho.

Aaj kal logo ki mulazimat ja rahi hain aur ja kar dusri milna mushkil ho rahi hain.ye puray aalam ka haal hain.yahan esi bat ko madd e nazr rakhtay huvay mainay ye wazifa likhnay ka irada kiya hain ki main meray blog readers ko uskay masael k hal may madad kar paun,khas kar rogzar k masael ko hal karnay may.kiyu k aaj kal may roti hi barha mas’ala bani hui hain.aur mard o khwateen ka chain chhin liya hain.wajah to kai saari hain lekin ek wajah bazat ham khud hain.chadar say ziyaada pair faylaye huvay hain.Loan aur EMI k chakkar may fasay huvay hain.har khushi ko udhar par hasil kar rahay hain.

Esi ka ye natija hain ki aamdani hotay huvay bhi nazar nahi aarahi hain.aur har ek din tention ka din banta ja raha hain.ye kaisy khushi hamnay kharidi Emi par? Jara sochyega.

Khair Allah sab k liye aasaniya paida karay ye hi dili dua hain.yahan main aaj ek qurani wazaef likh raha hun jo khas jin hazarat ko naukri nahi mil rahi hain unkay liye khas hain aur ye hi wazifa jin hazrat ki naukari chali gayi hain ya chali janay ka dar hain unko bachanay k liye bhi kam dega.

Allah k siva kissay ummid rakh saktay hain wo hi hamara behtar kaar saaz hain.wo hi hamay behtar sila denay wala hain.apnay habib e kareem k tufayl wo zaroor sab ki dua kabool karega jo bhi ye wazifa parhaega mayoos nahi karaega.insha Allah.

Ab main tareeqa likh raha hun…

Parhez esmay sirf intna rakhay ki jahan tak mumkin ho halak ka luqma khaye namaz parhay kisi ka haq na maray aur gunah say bachay.pak saf raha karay.wazifa may namaz shart hain phir bhi kabhi kisi sabb kaza ho jaen to wazifa parhlay.namaz kaza karlay.

Amal agar nauchandi jumerat ya urooj mah may karay to behtar hain lekin koi shart khas nahi ki urooj may main hi parha jaen.agar zaroorat hain to kisi bhi din say shuru karday.Allah ka kalaam hain khali nahi jaegi aapki mahnat..!

Shuru fajr ki namaz say hoga yani bad namaz e fajr aap

21---21 martba durood e pak parhlay

Phir 21--21 martba 4ro Qul sharif parha karay..!

Yani surah e kafiroon,surah e ikhlas,surah e falaq aur surha e naas sharif parhay.

Phir zohar may 22--22 durood e pak aur esi tadad may yani 22--22 martba 4ro Qul sharif parhay.

Phir  Asr may 23--23 martba durood e pak aur esi tadad may 4ro Qul sharif parhay.

Magrib may 24--24 martba durood e pak aur esi tadad may 4ro Qul sharif parhay.

Phir bad namaz e isha 25--25 martba durood e pak aur esi tadad may yani 25--25 martba 4ro Qul sharif parhay aur Allah say apnay maqsad ki dua mangay.

Ye ek din ka wazifa huva yun aapko 7 din karna hain zarooratan 14 aur aakhri miyaad 21 din hain aesa ho hi nahi sakta ki es darmiyan may aapko mulazimat na milay.balki tajorba to hain ki aapko darmiyan may hi yani awwal 7 din may hi samnay say mulazimat mil jaegi.aur jo din bachay ho wo pura karlay yani agar 5-6 din may mil gayi to 7 din mukammal karlay aur shukrana k taur par karay aur dua karay ki Allah nay jo ye mulazimat ata ki wo aapkay liye bahot khushi ka baes banay.

Agar dusra chilla kar rahay hain yani 8-14 ka to usmay bhi baki k din yani 14 din complet karay aur zarooratan 3ra chilla ho to 21 din complet karay chahay kisi bhi din 15 say 21 k darmiyan  mulazimat mil gayi ho.

Bismillah sharif agar  har surah k pahlay parhay to bahot behtar hain lekin ye bhi sharaet say nahi.tadad ka jahan tak mamla hain usmay kami beshi na ho ye khyal rakhay to bahot jald kamyabi hasil ho jaegi.


Ummid hain aapko ye wazifa samaj aagaya hoga aur agar koi bat na samj aaen to Aap mujay Haziraat92@gmail.com par mail kar saktay hain ya phir fb par massage kar saktay hain.www.facebook.com

Aapki duaon ka talib Amil Samarali


Rohani Amliyat Course: Jo Hazraat Rohani Amliyat Course Karna Chahtay Hain Wo Apni DeTail Name Birthdate City Country mail id aur facebook id send karay. Paid course hain. Course me Rohaniyat, Sharaeet w qawaneen e amaliyat w Chilla zakwat,ilm ul huroof,ilmul aadad ilmul najoom,ilmul jafar , ilmul asma,haziraat,taskheer,tashkhees w elaj amraz sikhaya jata hain. haziraat92@gmail.com facebook.com/amil.samarali

Read more: https://rohaniamliat.blogspot.com/#ixzz7gSLkjl3P