Feb 26, 2012

FARAAKHY E RIZQ

Agar koi shakhs rizq ki tangy say parayshan ho.usko chahay ki rahmat e khudawandy say mayoos honay ki bajaye hasbay zail amal karay....

Nauchandy jumerat ko rozah rakhay aur paani say iftar karay.namaz e ishaa qadray takheer say parhay aur 313 martba SURAH FALAQ ki tilawat karay.awalo akhir 11- - 11 bar durood e pak parhay.aur amal bawuzu parhna hain.
amal 3 din tak ba,ad e isha parhna hain.
rozana amal say pahle niyyat aur akhir me bargahay Rabbul izzat me sar basajood hokar duaa mangay ki ilahi meray rizq me tarqqi day,barkat wus'at day vigera..
teen rat yahi amal karay.Allah ta,ala rizq me barkat atta farmaega.
teen din ke ba'ad ye surah rozana kasrat se parha karay.
amal ke pahle ya akhri din Gaus e Aazam w tamam buzurgaan e ahle sunnat ki arwah ki fateha khwani kisi meethy chiz par de kar taqsim karday.
inshallah phir zindgi bhar Tangy e Rizq ka shikar na hongay.

NOTE :
Es me koi parhez nahi hain.ha,roza k darmiyan pabandi say rahay khud ko gunaah say door rakhay aur roza sirf pahle din rakhna hain.aur agar 3 din rakh sakay to noorun alaa noor.