Aaj ye bimari aam ho gayi hain.ghar ghar aesay mariz hain.kiyu aaj kal meray pas bahot log aatay hain.taweez naqsh dam dua k liye wo boltay hain ki ham har tarha ki dawayi karkay thak gaye hain lekin kuch din mahinay fark rahta hain aur phir bimari ho jati hain,to koi rohani elaj day dijye jissay ye bimari say pichha chhutay.
main aksar mariz ko ek naqsh deta hu jo musallas hain aur har khanay may 786 pur karkay dena hota hain. aesay do naqoosh taiyyar karay aur ek pahannay k liye aur ek bottle may dal kar teen waqt pani pina hain.
sath may jo bhi dawayi chalti ho wo jari rakhay main Hamdard Saafi pina batata hu jo ki khoon ko saaf karta hain kiyu k ye bimariya aksar khoon ki kharabiyon say hoti hain.kam say kam 3 mah elaj karay aur dawayi shuru karnay say pahlay Qabz dur karay phir dawa shuru karay to hi achay say asar karaegi.sab say behtar hain ki aap ISOBGOL rozana rat ko dek do chamach pani may bhigo par fauran pilay.chahay to ek cup halka garm dudh aur ek chamach isobgol aur thodi shakkar dal kar piliya karay.
aur jo ek naqsh bottle may dala hain us pani par ye parh kar dam karlay to noor ala noor ho jaega.
ROHANI ITEMS HAM SAY BUY KARNAY K LIYE VISIT KARAY....!
