Apr 11, 2025

Hajat puri honay k liye Qurani amaliyat:

Agar aap kisi jaiz hajat (halal aur zaroori kaam) k liye dua aur amaliyat dhoondh rahay hain, to Qurani duaein aur azkar bohot asardar hotay hain. Yahaan chand maqbool aur aazmooda Qurani amaliyat diye gaye hain jo hajat puri honay k liye kiye ja saktay hain:


🌙 1. Surah Al-Fatiha ka Amal

Amal:

  • Har namaz k baad 7 martaba Surah Al-Fatiha padhay.

  • Haajat ka khayal dil mein rakhay.

  • Phir haath uthakar dua karay.

Faeda: Surah Fatiha shifa aur barkat ka zarieya hain. Ye amal kisi bhi hajat k liye kiya ja sakta hain.


🌟 2. Ayat-e-Karima ka Wazifa (Surah Al-Anbiya: 87)

آیَةُ الكَرِيمَة:

لَا إِلٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz Zalimeen 

Amal:

  • Har namaz k baad ya kisi ek waqt mein 100 martba padhay.

  • Kam say kam 7 din lagataar padhay.

  • Dil say tauba aur apni hajat ki dua karay.


🕊 3. Surah Yaseen ka Amal

Amal:

  • Subah ya shaam kisi waqt Surah Yaseen padhay.

  • Jab aap "مُبِين" Mubeen par pohchay to har dafa apni hajat dil mein dua ki surat mein mangay.

  • Total 7 “Mubeen” hain.

Faeda: Surah Yaseen “Qalb-ul-Quran” hain aur har mushkil asaan hoti hain is k zariye.


📿 4. Hasbunallahu Wa Ni’mal Wakeel (Surah Al-Imran: 173)

حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ

 'Hasbunallahu wa ni'mal Wakeel' 

Amal:

  • Rozana 450 ya 1000 martaba es tasbeeh ko padhay.

  • es say mushkilay door hoti hain, aur haajat puri hoti hain.


Kuch Zaroori Hidayat:

  1. Hamesha halal rizq aur paakizgi ka khayal rakhay.

  2. Wazifa shuru karnay say pehlay 11 martaba Durood Shareef padhay.

  3. Wazifa k baad bhi Durood Shareef padhay.

  4. Allah say yaqeen k sath dua karay – wo kabhi kisi ki dua zaya nahi karta.