yahan jo wazifa likh raha hu wo kuch din pahlay meray tajorbay may aachuka hain.maina yahan koi aesa amal wird wazaef likhta hi nahi jo tajorbay say na guzra ho.kiyu k main chahta hu kuch aasan aur taqtwar wazifa amal ya wird likhu jissay meray blog parhnay walay ko faeda ho aur uska rujaan wazaef aur rohaniyat ki janib barhay.esi kadi ka ek wazifa jo mujarrib hain tasted hain wo likh raha hu.kiyu k aaj k daur may kisi ko job nahi mil rahi hain to kisi ko karobar ki rah nahi maloom ho rahi aesay masael k liye aap Allah k qalaam say hi madad lay wo hi har shay par Galib o Qadir hain.ussay madad talab karay wo rah khol dega aur aapkay liye aasaniya paida karaega.insha Allah.
jab aapko job mil na rahi ho ya karobar karna chahtay hain to uskay liye asbab paida na ho rahay ho ya aapko ye maloom na ho raha ho ki kiya karay kaun sa karobar karay kaisay karay to aapko chahiye ki chand ki pahli tarikh say ye jo main bata raha hu wo wazifa shuru karay.
TAREEQA : yun hain ki chand nazar aaen us rat say aap chahay to magrib bad ya phir isa bad kisi bhi waqt bawuzu ho kar do rakat namaz hajat parhay.aur har raqat may alhamdu k bad 3 martba surah e ikhlas parhi jaen.aur ye namaz sirf awwal din hi parhni hain aur phir pahli rat ek martba Surah e Waqia sharif parhi jaen.aur maqsad ki dua mang kar uth jaen.
ab dusri rat Surah e Waqiya ko 2 martba parhi jaen aur dua karkay uth jaen.tisiri rat ko 3 martba parhi jaegi aur esi tarha rozana ek martba barhatay jaen.yauan tak ki 14v shab ko 14 martba parh kar dua mang kar khatm karay.ye wazifa 14 rato ka hain aur Allah nay chaha to esi dauran hi aapka masa'ala hal ho jaega ya phir kuch hi dino may kam ban jata hain.
koi parhez esmay nahi hain sirf pak saf jagah ho aur pak saaf halat may bawuzu parha karay.aur koi badbu aapkay munh say na aati ho matlab ki aapko tilawat e quran k aadab ko baza lana hain.
Allah nay chaha to aapko aapki ummid say barh kar kamyabi hasil hogi.
ROHANI SPIRITUAL ITEM JAISAY...
Tilismi Ring,bracelet,kajal,loh,bakhoor,tilismi namak ko kharidnay k liye meray es blog ki visit karay...