Sep 4, 2018

muhabbat ka amal


Essay pahlay me ek namaz e muhbbat ka tareeqa likh chuka hun par kai ahbaab ko esay ada karnay me paichidgi maloom ho rahi hain.khair wo ek lajawab asardar amal hain.jo usay na kar sakta ho uskay liye ek kuch aasan tareeqa jaaez muhbbat paida karnay ka yahan likh raha hun.ye tareeqa sirf shadi shuda hazarat k liye yani miyan biwi k darmiyan muhbbat paida karna,bhai bhai me ya bahan bhai me ya bap betay me ma ma beti me ristedar me muhbbat paida karnay k liye hain.gair shadi shuda kisi larhakay larhkiyon me muhbbat paida karnay k liye nahi chahay ussay shadi karna chahtay ho to bhi iski ijazat nahi hain.jo aisay mamlat me eska istemal karaega uskay nataej ka khud zimmedar rahaega.
hub k aamal ka  najaaez istemal karnay walay ka anjam duniya me ye hota hain ki wo kayinat k har fard se muhbbat kho deta hain aur bars jaisy bimariyon me mubtila ho jata hain.

tarkeeb:
Urooj maah me kisi saad din yani peer jumerat ya jumua ko kisi ek waqt mukarrar pe amal parhna hain.amal ki niyyat karlay.
amal k awal o akhir 11-11 bar durood e pak parha jaen.ab 60 martba su.fateha sharif parhay.ab 40 bar es tarkeeb se parhay ki jab aayat
 إِيَّاكَ نَعْبُدُ وإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
  Iyyaka nabudu waiyyaka nastaeenu
par phaochay to aayat ki takraar 40 bar karay.es tarha 60 aur ye 40 bar kul 100 bar surah e fateha parha jaega.ab 4 rak,at naza kada e hajat ki niyyat se parhay .phali rak,at me su.fateha k b,ad 50 bvar su.ikhlas aur dusri me

la hawla wala quwwata illa billahil aliyyil azim 
50 bar tisri me 
ASTAGFIRULLAHA RABBI MIN KULLI ZANMBIVA WAATUBO ILAIHE.
50 bar aur chauthi me koi bhi durood e pak 50 bar parhay.
salam b,ad Allah se dua mangay.
amal ki muddat 11 din hain agar es 11 din me kaam na ho to mazid 11 din karlay.inshallah aisay 3 chillay karnay se zaroor aapka maqsad hasil ho jaega.