Ye jo tareeqa likh raha hun wo ek bahan k mail k reply me
likh raha hun.aur ye tareeqa jo hain wo mera mujarrib hain.kiyu k mainay es
tareeqay se kai marizo ka elaj kiya hain.Allah nay chaha to jo bhi es tareeqay
se faeda uthaengay insha Allah zaroor zaroor usko shifa hasil hogi.
Nazar ki kamzori ki kai wajohat hain jismay paidaeshi bhi
hain aur kuch khamiya kamiya apni khurak aur digar aadat se paida hoti hain.ye
tareeqa ruhani hain esliye aapko ye maloom nahi karna hain ki jo taklif hain wo
jismani hain ya ruhani kiyu k Allah taala k qalaam aur unkay habib e kareem
sallallahu alayhi w aalehi w sallam k bataye nuskhon me shifa hi shifa hain.
Sab se pahlay to us pak zat ki bargah me dua hain ki Allah
taala unkay habib e pak sallallahu alayhi w aalehi w sallam k noor k tufayl
tamam mominin ko aankhon ki binayi ki kamzori se mahfooz rakhay aameen.
Do tareeqa likh raha hun aur mera mashwara hain ki aap dono
tareeqay pe amal karay insha Allah bahot hi faedaymand hoga.
TAREEQA awwal ye hain ki kaala surma lay aaen aur phir ek
laung jo ki aksar garam masalay me estemal hota hain aur english me usay Clove
kahtay hain,to ek laung lay jiski topi saalim ho yani laung tuta huva na ho
uskay sar par ek dana hota hain wo tamam maujud hau.aesa laung lay aur phir
uspay 21 martba Durood e Shifa sharif parh kar dam karay aur phir us laung ko
surmay ki shishi me dal dijye aur rozana usmay se subah w rat ko sotay waqt ek
ek salayi surma lagatay rahay.surma khatm ho jaen ya ek mahina ho jaen yani har
mah laung ko tabdil karna hain aur aisay hi 21 martba durood e shifa bhi parhna
hain.ye amal lagatar kartay rahay dhiray dhiray aapki aankhon ki roshni bhi
barhaengi aur agar aynak[chashma-glasses] vigera pahantay hain to wo bhi insha
Allah chhot jaega.ekdam aasan sa tareeqa hain aur sasta bhi.aur koi nuqsan ka
andesha nahi.
TAREEQA dowm yun hain ki es tareeqay se agar aapki ankhon me
roshni ki kami honay wali hain to bhi maloom ho sakti hain.yani agar nazar
kamzor ho rahi hain to bhi maloom ho jaega.
Tareeqa yun hain ki mithay pakkay Anaar [POMEGRANATE] k
4-5 daanay[beej] lay aur usay saaf kapfay k tukday me rakhay aur aap aankh khol
kar rakhay aur koi dusra us kapday ko bal de kar nichod kar ek do bunday dono
aankhon me dalay.
Agar aankh me jalan mahsoos ho to aapki nazar kamzor hain ya
phir chashma lag sakta hain.aur halki si jalan ho to koi parayshani ki bat nahi
lekin halki se zara ziada jalan ho to ye bat hain.aur agar es tarha aap rozana
Anar k daano ka Arq[ras-juice] daltay rahengay to bhi insha Allah nazar ki
kamzori dur ho jaegi.
Lekin ye tareeqa 15 din lagatar kar saktay hain aur phir 15
din tark kardiya jaen aur phir 15 din karay.lagatar nahi karna hain aur aankhon
me bunday dalnay ki 15 minits baad aankhay khuli rakhay aur thanday pani ko
aankhon pe chhiraka jaen lekin ye thanda pani freeze vigera ka na ho na
barf[ice] ka ho uskay khas khyal rakhay.
**NOTE: waisay es tareeqay me normal insan k liye koi nuqsan
nahi par aapko koi alergy ya aankhon ki digar taklif hoto pahlay apnay doctar
se mashwara karnay k bad hi es tareeqay ko apnaye.mamla aankhon ka hain koi
choti bat nahi.mera kaam achi aur faedaymand baato ko aap tak pahochanay ka
hain.**
Allah taala Aap sabhi ko sehat ata karay aameen.
Durood e shifa image me diya huva hain.