Qarz jaisay marz k liye essay pahlay main ek do amal meray
blog me likh chuka hun.ye amal Ahaadis me aaya hain es amal ka asar yaqini
hain.aur jo bhi meray bhai ya bahan qarz ki aafat me mubtila hain es amal ko puray
qakin se karay.insha Allah zaroor zaroor najat milaegi aur aaenda kabhi qarz k
marz me mubtila nahi hongay.
Kuch dost qarz me mubtila hotay hain aur wo mujsay es
masalay k liye koi taskheer arwah ka amal mangtay hain taki usay hasil karkay
wo apnay mas’alay suljalay.lekin jab fikr e mash ho to aisay aamal kamyab nahi
hota aur aaj k daur me ek chillay me aisay aamal me kamyab hona na mumkin sa
hain esliye bahtar to ye hi hain ki sab se pahlay apnay aap ko sunnat w
shariyat k paband bana liya jaen.rizq halal ki koshish me rahay.gibat juth
kinna,hasad,bad nigahi jaisay gunaho se dur rahnay ki koshish kartay
rahay.rozana durood e pak aur astagfaar ki aaadat banalay aur sab se barhi bat
hain ki Allah taala se na ummid na ho.kyu k mujay kai mails aur msg aisay hotay
hain jismay saaf Allah se na ummidi zahir hoti hain.duniya ko hamaray nabi e
pak sallallahu alayhi w sallam ne Jail qaraar diya hain.to Jail ya qaid me bhi
kabhi Rahat hoti hain? Aur agar kuch Rahat hain bhi to ye Kitni barhi neamat
hain? Ham jis maqsad k liye bhejay gaye hain usay yad Rakhay aur kana’at paida
karay.Allah ka shukr ada kartay rahay.insha Allah jail me qaid me bhi rahat
milti jaegi.aur duniya ka koi bhi insan ho uski zindgi me khushi kam gham ziada
hi milaegay.kyu? to takhlik e aadam k waqiye ka muta’ala kar lijye samj
aajaega.
Khair sab se pahlay to Allah Rabbul izzat ki bargah me apnay
Habib sallallahu alayhi w sallam aur unki Aal w Aulad aur Sahaba e ikram k
tufayl dil se dua hain ki Agar meri choti si dag dag jaoli me kuch nekiya bhi
hain jo kabil e kabool hain to meray tamaam Ashiq e Rasool bhai aur bahan ko
qarz ki bala se nijat ata karay aur iman w izzat ki hifazat ata karay aameen…ya
Rabbul aalmeen…bi jahin nabi a kareem…!
Urooj mah me yani chand 1 se 14 k darmiyan kisi bhi jumerat
se ye amal shuru karna hain.
Isha ki namaz k bad gusal karkay pak kapday pahan kar
khushbu laga kar kisi goshay e tanhayi
me chahay ghar me kamray k kisi konay me ya masjid me kisi konay me do
rakat namaz hajat ada e qarz ki niyyat se parhay.har rakat me su.fateha k bad
su.ikhlas 3 martba parhay.
Uskay bad 11 martba durood e pak[agar durood e tunajjina
sharif parhay to behtar] parhay aur phir zail ki dua ko 200 martba parhay….
اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ
عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكْ
Allahumma Akfini Bi Halalika 'An
Haramika Wa Aghnini Bi Fadlika 'Amman
Siwak.
Phir 11 martba durood e pak parhay.
Pahlay din jis waqt shuru kiya tha usi waqt
pe phir rozana parha karay.ab rozana amal se gusl karnay ki ya namaz e hajat ki
zaroorat nahi.lekin parhezgari ki zindgi guzara karay yani gunah se bachay
shariyat ki pabandi ki koshish me rahay.amal k bad Allah ki bargah me gidgida
kar dua manga karay.40 din ka ek chilla hain.insha Allah 40 din me aapka qarz
ada ho jaega ya kam se kam uskay ada honay ka koi zariya Allah paida kar
dega.aur agar dusra chilla karaengay to qarz ada ho kar maal me khair o barkat
paida ho jaegi rizq me barkat hogi ki tangdast na rahengay aur agar 3ra chilla
bhi karengay to insha Allah aap dusro ki madad k kabil rahaengay aur rozana ta
zindgi parhtay rahaengay to kabhi mohtaj na hongay.
Durood e Tunajjina Sharif ye hain…..
ALLAHUMMA SALLI ALA SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADIW WA ALA
AALI SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADIN SALAATAN TUNAJJINA BIHA MIN JAMI'IL
AHWAALI WAL'AFAATI WA TAQDILANA BIHA MIN JAMI'IL HAAJAATI WATU TAHIRUNA BIHA
MIN JAMI'IS SAYYI AATI WATAR FA'UNA BI HAA A'LAD DARAJAATI WATU BAL LIGHUNA
BIHA AQSAL GHAAYAATI MIN JAMI'IL KHAIRAATI FIL HAYAATI WABA'DAL MAMAATI INNAKA
ALA KULLI SHAY IN QADEER.