Ye amal thodi mahnat ka hain aur agar kamyab ho gaye to
aapko ta umr ek zabardast tangdasti ko dur karnay ka kimyavi nuskha hath
aajaega.
Ye amal ism e aazam یا باسطُ Ya Basitu ka hain.jo log tangdasti k shikar hain aur ye shikwa
kartay hain ki main fulan dua parha fulan amal kiya lekin kuch fark nahi huva.
Qalam e elahi ko parhay
aur faeda na ho ye ho hi nahi sakta aur aisa kahna gunah bhi hain.kami apnay
andar hoti hain.khud ki sar se paon tak janch karay.koi aisy bat maujud to nahi
jissay hamara Rab hamsay sakht naraz ho sakta hain?
Usay dur karay tauba
karay aur phir dobara us kareem k darwajay ko dastak de.es bar zaroor kamyab
hongay.
Ab tarkeeb likh raha hun
Gaur se samjlay koi paichida kam nahi bilkul aasan tar hain.
Urooj mah me kisi saad
din yani jumerat jumua budh ya itwar se es amal ki shuruat karay.
Saib[apple] k darakht ki
qalam milay to behtar hain.wo na milay to anaar ki qalam yani darakht se choti
tehni tod kar usay chhil kar point bana liya jaen.phir zafran w arq gulab ki
siahi se ya phir khanay me jo zard rang ka estemal kartaya hain sarbat vigera
me wo aur gulabjal mila kar siahi[ink] tayyar karlay.aur aga ye bhi mumkin nahi
to aapkay liye mazid aasani k liye likh raha hun ki aap black pencil ko halal
kamayi se kharid lay.
Ab jis din se amal shuru
karay us din tuloo aftab[sun rising] k ek ghantay k andar shuru karday ye amal
yani kagaz pe 73 martba jo image me naqsh diya hain usay chal k mutabiq
likhay.khyal rakhay ki koi galti na ho jaen.agar galti ho jaen to usay shumar
na karay aur naya naqsh likh lay.73 naqsh likh chukay to 72 naqoosh ki aatay me
lapayt kar har ek ki alag alag yani 72 goliya banalay.aur jo ek naqsh bach jaen
usay hifazat se rakh de.
Ab dusray din 72 naqoosh
likhay.aur usmay se ek naqsh alag rakhlay aur aglay din jo ek naqsh hifazat se
rakha tha usay dusray naqoosh me yani jo aaj 71 naqoosh likhay hain usmay mila
de aur jo ek naqsh aaj k naqoosh me se alag kiya hain usay hifazat se rakhlay.
Aisay rozana kartay
rahay.yani rozana 72 naqoosh likhay aur alglay din ka mila diya karay aur us
din ka alag hifazat se rakhliya karay.phir usay dusray din walay naqsh me mila
de aur dusray din jo naqoosh likhay usmay se ek nikal liya karay.
Aisa 40din tak karna
hain.lekin aakhri din yani 40 ve din 72 naqoosh jo aap likhaengay wo aur aglay
din ka jo hifazat se rakha hain wo naqsh 72 me mila de yani aakhri din 73
naqoosh hongay usay bagair goli banaye huvay lay kar ravaa pani yani jari pani
bahta pani ho wahan lay jaen.aur 73 naqoosh ko us pani me alag alag daltay
jaen.aur nazar rakhay ek naqsh pani k bahaon k samnay tarnay lagaega.bas us
naqsh ko aap pakad lay aur hifazat se rakhlay phir esay chandi ya tanbay ki
khol me rakh kar apnay bazu pe bandhay ya jahan rupay paisay rakhtay hain us jagah
pe rakhay.jab tak aapkay pas ye naqsh rahaega kabhi tangdasti ka samna na ho
aur barkat hi barkat mahsoos karaengay.
Parhez me 40 din tak
Badbudar ashya yani kachi pyaz lahsoon mooli adrak,hing etc ka estemal na
karay.
Naqsh likhtay waqt aur
goli bana kar ghar se lekar pani me dal kar jab wapis na aajaen kisi se bat
chit nahi karni na kisi ko kuch dena hain na kuch layna hain na hi pichhay mud
kar dekhna hain.
Waisay main choro se
parayshan hun wo jo meray blog se chori kar apnay grp me ya blog me copy paste
kartay hain.copy paste to kartay hain lekin aadha adhura amal khud k nam se
likhtay hain aur phir aakhir me khud k contact no.de detay hain aur jab koi
banda unsay contact karta hain to amal ki ijazat k nam par paisay mangtay
hain.aur mujay bhi tajoob hota hain ki log de bhi detay hain.
Ye jo do post kafi waqfay
k bad likhi hain wo meri ek bahan jo meri blog reader hain unki request pe
likhi hain.
Kya ham itna abhi tak
nahi samjay hain ki chahay kisi ko kitnay hazaron rupya de de koi hamay muakkal
hamzad pary nahi de sakta.es daur me ijazat ek lootnay ka tareeqa bangaya hain.ha,jisay
mahnat nahi karni aur Aladin ka charag chahiye wo paisay barbad karkay
dekhlay.muakkal jinn hamzad milaega lekin aapko nahi jisay paisay de rahay hain
us dhokay baz amil ko kyu k aap uskay liye dast e ghaib k muakkal jo
bangaye…?samjay ki abhi bhi sidhay hath ki hatheli me khujli aarahi hain…!
Sab se ziada shikar
bicharay muhabbat k maray hotay hain.mahboob ko panay k liye jo talib e daulat
e haram hain unkay hatho.
**naqsh me jo corners me
numbers diye hain wo asli naqsh me nahi likhnay hain wo sirf chal samjanay k
liye hain.