Mujay ziada se ziada mails ya msg qarz k mutaliq hi aatay hain.aur es silsilay me mainay mere es blog me kai aamal likhay hain.
Jo log qarz me dubay hain wo aksar muj se koi qimiya batanay
ko kahta hain to koi dast e ghaib.aur koi jin ki taskheer ya hamzad k amal
mantay hain ki usay taskheer karlay aur wo uska qarz ada karday.eska matlab ye
hi hain ki log abhi es ilm ko aur arwah ko samjay hi nahi hain aur wo chamtkar
chahtay hain.beshaq aisa ho sakta hain na mumkin nahi.par qarz me dubay insaan
aksar kai gunah me mubtila ho jatay hain,jaisay juth hasad gibat.aur ilm rohani
me aisay gunah bhi asar ko zael karday hain rok detay hain.aur qimiya aur dast
e ghaib aasan hota to aaj duniya ka nizaam hi darham barham ho jata.kaun chahta
ki mazduri karay ? kaun chahta ki wo kisi k zairnigrani mulazmat karay?
Qarz lenay se pahlay bahot soch lena chahiye.log shadi k
liye fuzool kharchi k liye qarz letay hain aur phir es la elaj marz me mubtila
ho jatay hain.zindgi dukh w parayshaniyon se bhar jati hain.zameen milkat ghar
sab bik jata hain aur izzat bhi chali jati hain.aur be izzat w beghar zindgi
basar hoti hain.
Allah se dua hain ki wo ham sab ko aisi musibaton se apnay
habeeb sallallahu alayhi w sallam k tufayl apni amaan bakshay.aameen.
Kalaam e elahi me har marz ki dawaa hain.aur ahadis me bhi
kai duaen aayi hain.ussay sahara liya jaen.aur sath me zaroori mahnat bhi jari
rakhni chahiye ye nahi ki pura din wazaef karay aur sirf usi pe bharosa rakhay
ki abhi koi aaega aur de jaega.dua wazaef se aapkay liye qarz ada karnay k asbaab
paida hogay aur aasaniya paida hogi.aur aapki mahnat ko rohani support milta
rahaega.jissay aapko es marz se bahir aanay me madad milaegi.
Ab jo log dast e ghaib k amal puchtay rahtay hain.aur jo
qarz dar hain uskay liye amal likh raha hun.ab ye uskay nasib aur hukm e rabbi
pe hain ki uski bargah me se uskay khazana e ghaib se usay kya hasil hota hain
mera kaam jo hain wo main yahan kar deta hun yani amal likh deta hun.aur Allah
se dua hain ki wo jo bhi amal karay sarkar Gaus e aazam k tufayl uskay gulam
Amil Samar Ali k es amal me asar ata karay aur mere blog readar ko kamyabi ata
karay.aameen.
Es amal k liye pahlay to aap har waqt durood k aadi banjaen
taki aap par jald karam ho aur aapko kamyabi hasil ho.
Aur dusra ye ki aap surah e talaq ki ye aayaat kisi jannay
walay se achi tarha yaad karlay.
وَمَن
يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَل لَّهُ مَخْرَجًا
وَيَرْزُقْهُ
مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ
وَمَن
يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ قَدْ
جَعَلَ اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرًا
Surah
e talaq aayat 2
Ab nau chandi jumerat ko bad namaz e isha do rakat namaz e
ada e qarz parhay,agar dast e ghaib k liye hain to dast e ghaib ki niyyat
karay.
Ab pahli rakat me surah e fateha k bad
70 martba ye aayat parhay…
وَمَن يَتَّقِ
اللَّهَ يَجْعَل لَّهُ مَخْرَجًا
وَيَرْزُقْهُ
مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ
Aur dusri rakat me
surah e fateha k bad ye aayat 70 martba parhay.
وَمَن
يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ قَدْ
جَعَلَ اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرًا
Es tarha surah talaq
ki aayat ko do hisson me bant kar parhay.aur salam k bad es aayat ko 70 martba
parhay.
وَمَن يَتَّقِ
اللَّهَ يَجْعَل لَّهُ مَخْرَجًا
وَيَرْزُقْهُ
مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ
وَمَن
يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ قَدْ
جَعَلَ اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرًا
Surah talaq aayat 2.
Eskay bad hath utha kar Allah se dua mangay ki elahi mera
qarz ada ho jaen
aur meray rizq me karobar me barkatay ata farma.es tarha dua mang kar so jaya
karay.
40 din tak es amal ko karna hain.yani namaz parhni hain aur
phir 70 martba ayaat pahi hain aur dua mang kar sojaen.
Parhez kuch nahi sivaye namaz k paband rahay aur juth gibat
gaali aur aisay digar gunaho se apnay aap ko dur rakhay aur durood me mashgol
raha karay.
Koi aurat karna chahay to wo bhi kar saktay hain aur
makhsoos din me jitnay din rah jaen
wo bad me puray karlay.
Yakin se karo aur Allah kisi ki mahnat ko khali nahi janay
deta aur koi hath uski bargah me uthay to khali nahi aata bas tareeqay se
mangay aur nabi k tufayl uskay gharanay walay k sadqay mangay zaroor milaega.