Wo walidain jissay waqt ne sataaya hain aur auladay khayal
nahi rakhti wo es namaz se madad hasil karay.Allah aisy jagah se bandobast
farma dega ki jiska usay gumaan bhi na hoga.aur wo log jissay uskay walidain kisi bhi tarha khafa
hain ya walidain se bad salooki kartay hain uskay liye Amil SamarAli k kisi amal ki ijazat
nahi aur karaengay to asar ulta hoga.esliye behtar hain ki koi bhi amal se phlay
,agar walidain khafa hain to muafi manglay.aur har amal se ya chillay se pahlay
walidain se kamyabi ki dua karwani chahiye.aaj jagah jagah pe jo murshid
banatay phirtay hain.pahla murshid to maa aur baap hain.usay razi karo.phir
murshid ki khidmat karo.
Ab
khuda ki zaat aur buzorgan e deen k batayi es namaz pe
bharosa rakhay aur eska daaman tham le.Allah to kareem hain,banday k hath
uthanay k intzar main ki kab koi uska banda mangay aur kab wo ata karday.chahay
wo gunaho ki muafi ho sehat ho qarz ho ya rizq ho.mangnay k salikay se maanga
jaen jo hamay nabi sallallahu alayhi w sallam ne aur hamaray waliyon ne bataya
hain.dhang se mango har chiz milti hain.gunahgaaron ko nahi milta parhez garon
ko milta hain,bhul jaon tum kaun ho.sirf yad itna rakho ki denay wala kaun
hain.uski yaad me kho kar maango.tum jo bhi ho usay dena hain.ye kah kar
maanglo ki maula main to teri rahimi karimi dekh kar maangnay aaya hun mere
aibo ko na dekh mere gunaho ko na dekh.teri rahimi karimi se ata karday.
Phir dekho ki rab e kareem w gaffar ki kaisy rahmat barsati
hain.
Ab asli baat ye hain ki aaj ek asadar namaz e wus’at e rizq
w dast e gaib batanay ja raha hun .
Chasht k waqt ya b,ad e jumua 2 rakaat wus’at e rizq parhay.
Pahli rakat me surah e fateha k bad 3 bar su.ikhlas
1000 martba یا رحمن Ya Rahman,
1000 martba یا رزاق Ya Razzaq,
1000 martba یا وھاب Ya
Wahaab.
Parhay aur dusri rakat me surah e fateha k bad,
3 bar surah e ikhlas aur
1000 martba یا رحیم
Ya Raheem.
Parhay.aur bad e salam 100 martba durud e tunajjina sharif
parhay.
Insha Allah rizq me barkat w wus’at nasib hogi.
*agar aap ginti namaz me yad nahi rakh saktay to aap ek bar dekhlay ki 1000 martba parhnay me aapko kinta waqt lagta hain.bas andajtan utnay waqt tak parhtay rahay.