Ye amal kaarobar ki taraqqi k liye bahot hi faaedaymand sabit huva
hain.mere bhai jo es garz k liye kaafi koshish kar chukay hain wo ek bar
es faqeer k tareeqay ko zaroor aazmaen.inshallah aapko zaroor kamyabi
milaegi aur aapki karobari tarqqi hogi.
TARKEEB:
Ye amal
aapko nauchandi itwar ki rat ko karna hain,yani chand dekhnay pe jo
pahla sanichar aaen uska din guzar kar ho raat aaen us rat me ye amal
karna hain.
isha ki namaz k b,ad se 12 bajay k pahlay tak amal parhna hain.12 bajay k b,ad eska waqt nahi.
Pahlay 7 martba durood e pak[agar durood e tunajjina sharif parhay to behter hain]
aur 70 martba surah e fateha sharif es tarkeeb se pahay ki bismillah
sharif ki aakhri meem alhamdu k laam se milali jaen yani...
Bismillahir rahman nir raheemilhamdulillahi rabbil aalmeen....es tarha puri surah 70 martba parhay.
Ab peer ki rat me bhi esi tarkeeb se 6-6 durood sharif aur 60 martba surah e fateha sharif parhay.
Ab mangal ki raat ko 5-5martba durood sharif aur 50 martba surah e fateha sharif pahay.
Ab budh ki raat me 4-4 bar durood sharif aur 40 bar surah e fateha sharif parhay.
jumerat ki raat me 3-3 bar durood sharif aur 30 bar surah e fateha sharif parhay.
Jumua ki raat me 2-2 bar durood sharif aur 20 bar surah e fateha sharif parhay.
sanichar ki rat me 1-1 bar durood sharif aur 10 bar surah e fateha sharif parhay.
Es tarkeeb se har maah parh liya karay inshallah agar aapnay ye mamool
bana liya to kabhi aapko es maqsad k liye koi bhi dusray amal ya aamil
ki zaroorat na parhaegi,na koi bandish na koi nazr na kisi k kartoot
karobar ko rok sakaega.sivaye khud ibadat me susti karay ya haraam
halaal ka fark na karay.