HAL AL MAQASID:
511 aadad ka murbba aksar kitabon me likha hua hota hain par mujay aaj
tak es aadad ka raz pata nahi chala hain,mainay en do asma ki jod me ye
aadad paya..
الجبار القادر
dono hi asma qawee hain.ye 511 k
naqsh me asar andaz hain to koi hairat ki baat nahi ki logon ko ye naqsh
faiz pahochaye aur musibat me madad karay.
mujay es naqsh k 3 tareeqay hasil hua hain jo likh raha hun...
AMAL NO.1
jo musibat bala me ghira ho,maali halaat kharb ho karobar
nahi,mulazimat nahi,karobar bandh honay ko hain,custmers nahi
miltay,bikri nahi hoti,qarz ada nahi hota matlab ki ummiday khatm ho kar
mayoosi aur na ummidi ne jakarh liya hain wo es amal ko karay.inshallah
hukm e rabbi se rabb ki rahmat baras parhaegi.
urooj maah me budh
jumerat aur jumua pabandi se namazay ada karay aur har namaz k b,ad
durood e pak aur istigfaar 100-100 martba parha karay.
ab jumua ka
din guzar kar jo raat aaye us rat me b,ad e isha gusl karay,pak libas
pahan kar 2 rak,at namaz kaza e hajat parhay.phir 11x durood e pak aur
101x su,ikhlas sharif aur 41 bar
يا حي يا قيوم برحمتك استغث
Yaa Hayyu Ya Qayyum, Bi Rahmatika Astaghees aur ek bar
وَمَن يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَل لَّهُ مَخْرَجًا
وَيَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ وَمَن يَتَوَكَّلْ عَلَى
اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ قَدْ جَعَلَ
اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرًا
wamayattaqi Allaha yajaal lahu
makhrajan Wayarzuqhu min haysu la yahtasibu wamayatawakkal Aala Allahi
fahuwa hasbuhu inna Allaha balighu amrihi qad jaala Allahu likulli
shayin qadra.
(su.talaq a.2 aur 3)
parh kar aasmaan ki taraf phoonk maaray apni hajat k liye dua mangay.
11 durood e pak parhay aur zafran w arq gulab w nayi anar ki qalam se
sufaid kagaz pe taweez likhay.ab naqsh k nichay apna maqsad likhay
jiskay liye ye naqsh likha hain,fir aagay بحقّ يا جبارُ يا قادر(bihaqqi
ya jabbaru ya qaadir) likhay.ab 511 martba yehi asma naqsh par parh kar
dam karday.ab es naqsh ko frame karwa kar dukan me ya ghar me kisi
buland jagah rakh de.aur har namaz k b,ad es asma ko 511 martba parha
karay.awal o akhir 11-11 durood e pak zaroor parhay.41 din ka amal hain
aur amal ki asar aapko 41 din b,ad nazar aaegi.
AMAL NO.2.
ek buzurg ne eski ye tarkeeb batayi hain..
apka koi bhi maqsad ho mulazmat tabadla,promotion,bikri ka kam
hona,shadi me rukavat,aisay tamam mamlat me es taweez ko haftay me 4 din
likhna hain,jumerat,jumua,itwar aur peer.
likhna waqt tuloo aftab k
ek ghatay k andar hain.shuru nauchandi jumerat se karay.yani jumerat ko
sa,at e awal me likhlay aur apni sidhi bazu pe bandh le.ab jumua ko bhi
tuloo aftab k b,ad ek tawwez likhay aur jumerat wala naqsh nikal kar
aaj ka naqsh bandhlay.jumerat ka jo naqsh hain wo kisi kuway me daal
de.ab jumua ka naqsh bandha rahnay de kyu ki sanichar ko naqsh nahi
likhna hain.jab itwar aaye to naya naqsh likhay aur jumua wala kuway me
daal de.ab peer k din naya naqsh likhay aur itwar wala naqsh kuway me
dal de.jo peer ka naqsh hain wo mangal aur budh k din tak bandha
rahaega,phir jab jumerat aaye to naya naqsh likh kar peer k naqsh ko
kuway me dal de.aisay 4 hafta amal karna hain.inshallah 4 haftay me
aapko kamyabi ya kamyabi k aasar nazar aaengay.jo amal ka akhri naqsh
hoga wo aap apnay bazu se bandhay rahnay de usay kuway me nahi dalna
hain.
AMAL NO.3
ek buzurag ne eska ek aur tareeqa bataya hain ki...
agar kisi ki zameen jaaedad ya koi maal samaan ya ghar bik nahi raha
hain,dukan me koi samaan bik nahi raha hain to urooj mah me ye amal
karay.inshallah uski fikr door ho jaegi.
urooj mah jumerat k din
agar nauchandi jumerat se karay to behtar hain.es naqsh ko JUMERAT KO
TULOO AFTAB SE pahlay yani fajr k fauran b,ad likhlay.jab aftab tuloo ho
to fauran es naqsh ko zameen hain to usmay garha khod kar rakh de upar
koi nishan rakhlay.ab dusray din yani jumua ko bhi aisa hi
karay.jumeraat wala naqsh nikal le aur uski jagah jumua ka likha rakh de
aur jumerat ko likha hain wo kisi darya nadi ya talab ya kuway me dal
se.aisa 16 din tak karna hain.inshallah aapki zamen ho ya koi maal
samaan bahot acchay dam se bik jaegi.
note:naqsh me jo corners me numbers hain wo naqsh ki chaal samjanay k liye hain.asal naqsh me nahi likhay jaengay.