Jun 20, 2013

14 SHAABAN: AMAL B,RAYE IZZAT O WAQAR:

14 shaban ko namaz e asr se lekar guroob aftab tak ka waqt es amal ka
hai.na namaz e asr se pahlay na guroob e aftab k b,ad.
aap asar se pahlay ghusl karlay.aur pak saf kapray pahnay .itr lagaye
aur jis jagah amal karay wahan chand agarbatti sulgaye.masjid me amal
karay to agarbatti ki zarorat nahi.
zafran w arq gulab se aur anar ki nayi qalam se likhna hai.
pahlay apna nam m,walida alag alag huroof me likho.phir
SURAH E QADR (INNA ANZALNAH...)
k huroof ko bhi alag alag juda juda likho.
ab apnay nam ka awal harf aur surah ka awal harf milaye esi tarha
tamam surah k huroof nam k huroof k sath miladay.
yani pahlay surah ka انا
ka alif likhay phir apkay nam ka awal harf phir surah ka noon phir
aapkay nam ka dusra harf.esi tarha tamam surah k huroof naam k huroof
me miladay.jab nam k harf khatm ho jaen to jabtak surah khatm na ho
nam k hurof dohratay jaen.aakhir me apkay naam adhura rah jaen koi
baat nahi.
ye kam pahlay hi karlay.
ab asar k b,ad aap yaha jo naqsh upload kia hai wo likhay aur apnay jo
satar tayyar kar rakhi hai wo naqsh k ird-gird roundshape me yani
daaeray ki shakal me likhay.chay ek daur aaen ya 2,3 koi bat nahi.
es naqsh k upar chandi ka warq ya jaisa cigaratte me silver kagaz aata
hai aisa kagaz bazar me mil jata hai.ha,cigaratte ka nahi chalaega.
behtar to chandi ka warq hai.
usay kagaz pe lapaet lay.
es naqsh ko aap apni topi ya amama me rakhay to aapki izzat w waqar me
izafa hoga.har koi apki qadr karaega.
agar zafran ya arq gulab se na likh paen to jo bhi maissar ho ussay likhlay.