Sep 26, 2012

ROHANIAMLIAT: ROHANIHAZIRAAT:


JIN SE DOSTI

mere blog me jo meine darkht pe karnay ka jo tariqa bataaya hai wo amal ka aaj ek aur kamyab namoona mere shagird
mahmmad ayub bhai ansari hai.
wo muzsay 6 mahinay se ROHANI COURSE kar rahay hai aur aaj bhi zari hai aur mere bataaye amal pe amal kartay kartay kai padao
paar kar chukay hai.aur aaj khud bateen ki kai quwaton k malik hai.
jab muz say pahli bar rabta hova tab wo ek bilkul elm e rohani k qawanin se anjanay the.aur chhoti si cycle repair ki dukan chalatay the.
aaj kai paichiday qawaneen jantay hai aur rohani mas,alay hal kartay hai.aur aaj bhi muzsay rabta rakhay huvay hai.

aj se 1 do mahinay pahlay ayub sahb ne muz se mashwarah lay kar jin se dostiwala amal shuro kia aur rozana paid k pas janay lagay.
aur har din muzay apnay tazurbay share kartay.
kuch din b,ad hi usay khwab me wo paid nazar aaya aur uss paid se ek safed posh lambi dadhi walay buzorg hath me thal laykar nichay utaray aur thal me kuch nakdi rupay aur zawairat thay.
kuch din b,ad usay wo safedposh buzorg khwab me uskay pas aakar baith tay aur cigaratte pitay.
estarha k kai khwab nazar aaya aur ekdin wo khwab me aakar usay bolay ki tum fala jagah se rupay nikal kar mere liye kimmti aur achha itr lay aana.jab ayub sahb ne mera rabta kar kay haal bataaya to meine usay kaha ki aap wo rupay laynay na jao par meine usay nazranay ki taur par mere paas saudi arab se ek ahbab ne di hui jisay meine khud bhi istemal nahi ki thi wo itr ki bottle bhej di aur likh dia ki aap apni taraf se ye itr pesh kar dayna aur kahna mera taufa kabool kar ke dost banjaye.aur amal lagatar kartay rahay.
usi raat phir khwab me aaye aur phir kaha ki tum wo rupay lelo.meine ayub sahb ko bataa dia ki aap bas dosti ki hi rat wahan paid par ja kar lagatay rahay aur rupay n lay.
kyu k agar Ayub sahb kimmat layletay to shayed wo dost na bantay ki usnay Ayub sahb ko khidmat ki kimmat ada kardi ab kaun sa ahsan rahayg2?
kuch din pahle ayub sahb ne muzay mail kia tha aur bataaya ki wo kamyab ho gaye hai,aur usnay bataya ki kuch pabandi hai to muzay ziada wo nahi bataa payengay.par wo batatay hai ki aaj mere pas jo bhi sael aata hai to uskay sawal pochnay se pahle hi me mere paas aanay ka sabb bataa deta hu,aur ye sunkar log hairat me parh jatay hai.aur aaj muzay ek zabardast amil se pahchana jata hai.

ye post meine Ayub sahb ki ijazat se likhi hai.