Oct 21, 2021

BEROZGARI DUR KARNAY YA TANKHWA MAY TARAQQI HASIL KARNAY K LIYE AMAL:

 

Ye daur bahot sakht guzar raha hain.Allah say dua hain sab par apna raham aur fazl karay aur koi bhuka na soye kisi par mohtaji na aaen aameen.

waisay es mauju par meray pas kai saaray aamal tareeqay aur taweez naqoosh hain .lekin blog aam logo k liye banaya huva hain to main yahan sirf sahal ho wo hi tareeqa likha karta hun.

meray pas bhi aaj kal ye hi mamlat aarahay hain jismay ya to naukri chhut gayi hain ya tankhwan kam kardi hain ya utni tankhwan may guzara nahi ho raha hain.

Allah sab par raham farmaye.main yahan ek sida sada par mazboot kamyab amal aap sab k liye likh raha hun jissay insha Allah aapka ye mas'ala hal ho hi jaega.

TAREEQA yun hain ki jumua ko bad e asar namaz k bad masjid may hi baithay rahay ya agar tanha parh rahay hain to wahi baithay rhaay aur awwal o aakhir

 11-11 martba durood e pak

aur darmiyan may 313 martba 

Aaytul Kursi parhay.aur aakhir may Allah say apnay mas'alay k hal ki dua karay.dua apnay masael ko madd e nazar rakh kar dil say mangay.

ab intzar karay agli jumerat tak aapka kam ho jaega insha Allah agar na ho to jumua ko bad e asar dubara karay aur zarooratan 3 jumua ko zaroor karliya jaen.

Allah aapki fariyad zaroor sunlaega aur aapko aapki hajat ata ki jaegi.

mayoos na ho aur kuch rohani madad bhi lay insha Allah ye daur bhi nikal jaega.

aur jo bhi es amal say fayda uthaye uskay liye sirf ek shart rakh raha hun.

amal say faeda uthanay say pahlay ya kamyabi hasil ho jaen phir bad may kisi ek mohtaj ko pet bhar khana khilaega.

mujay aur meray murshid e pak k haq may dua e khair farmaega..!jo ki Samar Ali ki jaan hain.

Rohani Amliyat Course: Jo Hazraat Rohani Amliyat Course Karna Chahtay Hain Wo Apni DeTail Name Birthdate City Country mail id aur facebook id send karay. Paid course hain. Course me Rohaniyat, Sharaeet w qawaneen e amaliyat w Chilla zakwat,ilm ul huroof,ilmul aadad ilmul najoom,ilmul jafar , ilmul asma,haziraat,taskheer,tashkhees w elaj amraz sikhaya jata hain. haziraat92@gmail.com facebook.com/amil.samarali