Ye jo wazifa hain wo ilhaami wazifa hain aur insha Allah es wazifa ko apnanay walay ki rizq ki tangi jo ki aaj kal kafi log eski shikayat kar rahay hain wo dur hogi aur Allah thoday me bhi ziada ki barkat deta jaega.
TAREEQA: ek dam aasan hain.rozana subah fajr ki namaz k bad aur tuloo aftab se pahlay ka waqt hain.es waqt k darmiyan me aapko bawuzu ho kar pak saf jagah baith jana hain aur 11-11 martba awaal o aakhir durood sharif parhay aur Surah e Yaseen sharif parhna shuru karay aur Yasin sharif me lafz Mubeen jahan aaye wo lafz parh kar wahan 202 martba ism e Wah-Habu ko parha jaen.yani 202 martba Ya Wah-habu parhay.aur phir aagay parhay dusri mubeen pe bhi esi tarha 202 martba parhna hain aur yaseen sharif me 7 mubeen hain har mubeen pe 202 martba یا وھابُ parha jaega.aakhri mubeen pe bhi esi tarha parh kar yaseen aagay parh kar mukammal karlay.aadhay ghantay k karib waqt lagaega.aur aakhir me Allah se dua mangay ki parhnay me koi galti hui hain to muaf karay aur es wazifay k tufayl aapkay rizq me khub khub barkatay day.insha Allah dhiray dhiray aapko es wazifa ka faiz hasil honay lagaega aur ghar me barkato ka nuzool hona shuru ho jaega.Allah ka shukr ada kartay rahay aur es wazifay ko ta umr apna wazifa banaliya jaen aur apnay gharwalo ko bacho ko rishtaydaro ko bhi es wazifay ki talim di jaen.
bahot hi israr liye huvay wazifa hain.aakhir me naqsh de raha hun jo ki aap kisi se likhwa lay ya khud likhlay copy eski kam nahi degi.
chota naqsh likhay laminate karwaye aur khula naqsh rakhna hain.modna nahi hain.rozana parh kar naqsh pe dam karliya jaen taki kabhi kisi din wazifa chhut bhi jaen to barkato ka faizan zari rahay.wazifa waqt muqrar rakhnay ki zaroorat nahi bas tuloo aftab se pahlay parhlayna hain aur kisi din kisi sabb se tuloo aftab se pahlay na parh paen to jo bhi waqt maiyassar aaen parh lijyega tark karna nahi chahiye.
*khwateeno ko makhsoos ayyamo me wazifa nahi parhna hain aur jab paki hasil ho jaen to parhna shuru karday.
ab ek raaz ki bat ki aadad 202 martba parhna hain to ye Aaadad ism e pak Rabb w Barr k jo ki dono hi Allah k sifati nam hain.ربُّ aur برُّ .dono k aadad 202.
huzur nabi e pak sallallahu alayhi w sallam k ism e mubarak k Muhammad k aadad hain 92 aur BaBul Ilm Maula e kayenaat Hazrat Ali alayhis salam k aadad hain 110.
92+110=?
7 aasman 7 zamin 7 sitaray 7 mubeen...Wah-habo k aadad 14 es wazifay ki tadada 1414....Masha Allah...!