Rohani Amliyat Course: Jo Hazraat Rohani Amliyat Course Karna Chahtay Hain Wo Apni DeTail Name Birthdate City Country mail id aur facebook id send karay. Paid course hain. Course me Rohaniyat, Sharaeet w qawaneen e amaliyat w Chilla zakwat,ilm ul huroof,ilmul aadad ilmul najoom,ilmul jafar , ilmul asma,haziraat,taskheer,tashkhees w elaj amraz sikhaya jata hain. haziraat92@gmail.com facebook.com/amil.samarali
Nov 3, 2016
Oct 26, 2016
Sep 5, 2016
Aug 7, 2016
#SHARF E ATARAD KA AMAL :
Sitara Atarad ka insani dimag se talooq
mana jata hain aur taleem w tarbiyat se
eska barha gehra talooq hain.ye sitara
zojasdain hain yani na nek hain na bad aur
nahi nahas hain ye saad k sath saad ho
jata hain aur nahas k sath nahas.daeratul
burj me esay JOZA aur SUMBOLA ka hakim
sitara mana gaya hain.joza eska zati burj
hain aur saani burj sunbola hain.
Atarad ko burj sunbola k 15 darjay pe sharf
hasil hota hain.sharf e atarad me dimag se
mutaliqa amoor me kamyabi k liye amal ya
naqsh taweez tilism kiye jaen to behad
asardar hotay hain..phir chahay wo dimag ki
kamzori ko dur karna ho yad-dast ko tez
karna ho ya quwat e idrak yani sochnay
samjnay ki taqt ko barhanay ka amal naqsh
ya tilism ho ya phir kisi nayi tahreer ka
aagaz ho ya imtihan chahay likh kar
kamyabi hasil karnay ka ho ya bolkar en
tamam kamo me kamyabi k liye es waqt me
naqsh tilism tayyar kiye jaen to bahot hi
muasseer sabit hotay hain.
mana jata hain aur taleem w tarbiyat se
eska barha gehra talooq hain.ye sitara
zojasdain hain yani na nek hain na bad aur
nahi nahas hain ye saad k sath saad ho
jata hain aur nahas k sath nahas.daeratul
burj me esay JOZA aur SUMBOLA ka hakim
sitara mana gaya hain.joza eska zati burj
hain aur saani burj sunbola hain.
Atarad ko burj sunbola k 15 darjay pe sharf
hasil hota hain.sharf e atarad me dimag se
mutaliqa amoor me kamyabi k liye amal ya
naqsh taweez tilism kiye jaen to behad
asardar hotay hain..phir chahay wo dimag ki
kamzori ko dur karna ho yad-dast ko tez
karna ho ya quwat e idrak yani sochnay
samjnay ki taqt ko barhanay ka amal naqsh
ya tilism ho ya phir kisi nayi tahreer ka
aagaz ho ya imtihan chahay likh kar
kamyabi hasil karnay ka ho ya bolkar en
tamam kamo me kamyabi k liye es waqt me
naqsh tilism tayyar kiye jaen to bahot hi
muasseer sabit hotay hain.
Haziraat92@gmail.com
waisay es waqt k khas tilism aur naqoosh w
ilm jafar k amaliyat vigera har ek k bas ki
bat nahi qawaed o qawaneen se aagah hona
zaroori hota hain.esliye jaisa ki main es
blog pe likhta hun aasan par asardar ho
aisa hi ek amal likh raha hun.insha Allah
essay faeda hasil karay.
ilm jafar k amaliyat vigera har ek k bas ki
bat nahi qawaed o qawaneen se aagah hona
zaroori hota hain.esliye jaisa ki main es
blog pe likhta hun aasan par asardar ho
aisa hi ek amal likh raha hun.insha Allah
essay faeda hasil karay.
Sharf e Atarad k awaqat me jo zahan ki tezi
k liye awqat bataya hain yani ki
k liye awqat bataya hain yani ki
#sharf e Atarad me es amal k liye muafiq
waqt…[india new delhi]
10/08/2016 Budh.
waqt…[india new delhi]
10/08/2016 Budh.
09:09 a.m. se 10:15 a.m. saat mushtary.
بسم الله الرحمن الرحیم
بسم الله الّسمیع الْبصیر الّذی لیس کمثله شیءٌ وّ هو بکل شی ءٍ علیم برحمتک
یا ارحم الراحمین و صلی الله علی محمد و اله اجمعین
بسم الله الّسمیع الْبصیر الّذی لیس کمثله شیءٌ وّ هو بکل شی ءٍ علیم برحمتک
یا ارحم الراحمین و صلی الله علی محمد و اله اجمعین
Bismillah hir Rahman nir Raheem. Bismillahi's sami'il baseeri,al'lazee lai'sa ka'mislihi shai'un'wa huwa bikul'li shai'un aleemu. Birehmatiqa yaa arhamar raheemeen.w sallallahu ala muhammadin wa aalihi ajma'een.
Upar likhay waqt me baadam ya misri lay,
uspay ye dua 111 martba 11-11 martba
durood sharif k sath parh kar dam karkay
rakhlay.
Aur rozana usmay se ek adad bachay ko
khanay k liye diya jaen.
uspay ye dua 111 martba 11-11 martba
durood sharif k sath parh kar dam karkay
rakhlay.
Aur rozana usmay se ek adad bachay ko
khanay k liye diya jaen.
Aur itnay laynay hain ki kam se kam 41 adad
to ho hi.Allah ka fazal hoga aur yad dast
barh jaegi..in sha Allah.
to ho hi.Allah ka fazal hoga aur yad dast
barh jaegi..in sha Allah.
May 26, 2016
ROOHANI NAQSH : Jinn Se Dosti K Amal Me Madadgar Naqsh
Es Naqsh Ko Mahinay Ki Kisi Bhi Jumerat Ko Subah Tuloo Aftab K Waqt Zafran W Arq Gulab Ki Siahi Se Sufaid Kagaz Par Likhay.Aur Rat ko Sotay Waqt Apnay Takiye k Nichay Rakhay Aur Jis Darakht Ya Jagah Pe Aap Amal Karna Chahtay Hain Us Jagah Pe Jinn Hain Ya Nahi Wo Niyyat Dil Me Rakh Kar So Jaye.Insha Allah Pahlay Hi Din Aapko Maloom Ho Jaega.Esmay Isharon Me Bhi Bataya Jata Hain Ya Saaf Saaf Bhi.Jaisy Jisky Quwaat.
Pahlay Din Khwab Me Jawab Na Milay To Dusray Ya Tisray Din Bhi Karay.Ziada Se Ziada 7 Din Me Maloom Ho Jaega.
Ek Hi Naqsh Rozana Rakhay.Lekin Jab Jawab Mil Jaen To Usay Pak Saf Bahtay Huvay Paani Me Baha De Ya Kisi Pak Saaf Jagah Pe Dafan Kar Day.
Naqsh Likhnay Se Pahlay Aur Jab Jawab Mil Jaen Tab Kisi Garib Ko kuch Khairat De diya Jaen Jo Bhi Chahay Ek Rupya Dus Rupiya Ya Jo Aapka dil Chahay.Lenay Wala Koi bhi Mazhab Ka Ho.Mohtaj Ho.
May 10, 2016
GURBAT KA KHATMA
Mujay Rozana Aisay Mail Aur Msg Aatay Hain Jismay Log Apnay
Masael Likh Kar Uska Rohani Hal Chahtay Hain.Har Ek Ki Mushkil Aur Uskay Masael
Alag Hota Hain Aur Jab Main Un Tamami Mas'alay Ka Itr Nikalta Hun To #ZIADATAR
Mujay Masael Paida Honay Ki Wajah 'Rupay Ki Kami,Amdani Na Hona Ye Hi
Milti Hain.Es Parayshani K Liye Huzur Nabi e Pak Sallallahu Alayhi w Aalehi w
Sallam Ne Rohani Tareeqay Ham Ummati Ko Bataya Hain.Jismay Sab Se Ziada
Aasan Aur Qawee ul Asar Tareeqa Hain Huzur Nabi e Aalmiyaan Sallahu Alayhi
w Aalehi w Sallam Pe Durood Sharif Parhtay Rahna.Aur Istagfar Kartay Rahna.
Umiid Hain Aap En Pay Amal Paira Ho Jaengay Aur Allah Ki Rahmat Aapko Dhundhti Hui Dher Saara Ina'am o Ikram Liye Aaegi.Namaz Ki Pabandi Karay Aur Sath Me Ek Aur Amal Bata Raha Hun Jisko Bhi Apnalay Insha Allah Rizq Ki Tangi Aapkay Aaspas Kabi Nahi Bhatkaygi.
Shart Ek Rahegi Ki Amal Kisi
Pe Zahir Na Karay.Kisi Ko Ye Amal Bataye Bhi To Ye Na Bataye Ki Aap Bhi Amal
Kar Rahay Hain.
Sab Se Pahlay To Aapko Namaz Ki Pabandi Karna Hain Aur Fajr Ki Namaz K Bad Ya Phir Tuloo Aftab K 20 Minits K Bad Surah e Yaseen Sharif Parhna Hain.Awwal o Aakhir 3-3 Martba Durood e Pak Parhay Aur Agar Durood Tunajjina Sharif Parhay To Behtar Hoga Warna Jo Bhi Aapko Yad Hain Wo Durood e Pak Parhlijye.
Ab Yaseen Parhna To Hain Lekin Meri Likhi Hui Tarkeeb Se Parhna Hain.
TARKEEB Ye Hain Ki....
Durood Sharif K Bad Bismillah Sharif Parh Kar Jab Aap Yaseen Parhna Shuru Karay Aur Lafz مبین Mubeen Pe Pahochay To Wo Lafz Parhnay K Bad...
Aapko 200 Martba
الوھابُ
Al Wah-habo
Parhna Hain Aur Uskay Bad 44 Martba
اللطیفُ
Al Lateefo
Parhna Hain.Phir Yaseen Sharif Ko Aagay Parhna Shuru Karay
Aur Dusra Mubeen Aaen Uspay Thahar Jaen Aur Jaisay Pahlay Dono Asma Parhay Thay
Thik Waisay Hi Dono Asma Usi Tadad Me Parhay Yani Ki Al Wah-habo 200 Martba Aur
Al Lateefo 44 Martba Aur Phir Aagay Yaseen Sharif Parhna Shuru Karay.
Al Lateefo 44 Martba Aur Phir Aagay Yaseen Sharif Parhna Shuru Karay.
Yaseen Sharif Me Kul 7 Mubeen Hain.Aur Aapko Har Mubeen Pe Ye Dono Asma Likhi Tadad Me Parhna Hain.
Koi Parhez Nahi Hain.Aur Har Martba Jab Mubeen Pe Thehray Aur Asma Ka Wird Karay To Apnay Maqsad Ka Dil Me Taswoor Karay Aur Jab Yaseen Sharif Pura Parhlay To Aakhir Me Allah Ki Huzur Apnay Rizq Me Barkat Ata Karnay K Liye Farakhi Ata Karnay K Liye Dil Se Aur RoRo Kar Dua Karay.Rozana Fajr K Bad Ya Tuloo Aftab k Baad Amal Karay Aur Phir Apna Jo Bhi Kam Kaj Hain Usmay Lag Jaen Insha Allah Dhiray Dhiray Aur Allah Chahay To Usi Roz Aapko Amal Ka Asar Nazar Aaega.Kam Se Kam 41 Din Zaroor Karay Aur Agar Zindgi Bhar Kisi K Aagay Hath Faylana Nahi Chahtay Hain To Esay Apnay Mamol Banalay Aur Rat Ko Isha Bad Ek Martba Surah e Waqiya Parh Liya Karay.
Shart Ek Hain Ki Kisi Se Amal Ka Tajorba Share Na karay.Ki Mainay Ye Amal Kiya Aur Mujay Ye Faeda Hasil Huva.
*Tadad Jo Parhnay Ki Likhi Hain Usmay Kami Beshi Na Ho Jaen Eska Khyal Rakhyega.aur Kisi Sabb Waqt Pe Na Parh Paen To Jo Bhi Waqt Milay Parhliya Karay Taki Amal Pura Kharab Na ho Aur Mehnat Ka Phal Milay.
***Main Aapka Khadim Bhi Hun Bhai Bhi Hun Aur Mujay Meray Murshid Ki Ata Se Ye Amal Mila Hain.Aap Sab Ki Bhalayi K Liye Post Ki Hain.Ummid Hain Aap Kabool Kar Apnay Masael Ka Hal Jo Ki Maali Tangi Aur Gurbat Hain Ussay Nijat Hasil Karaengay.Agar Faeda Hasil Ho To mMray Murshid Ki Sehat K Liye K Liye Dua Karyega. Muj Gunahgar K Liye Hath Utha Kar Dua Kardijyega Taki Aakhirat Me Ye Gunahgar Apnay Kartooto K Baaes Sharminda Na Ho.Aur Aap Sab Ki Duaon K Sabb Meri Bakhshih ho jaen..!
Apr 6, 2016
SHARF E SHAMS KA AMAL
FAT'H-NAAMA :
Ye waqt har aata hain aur es sal ye waqt kal yani es saal ye waqt
#SHARF E SHAMS :
07/04/2020 Tuesday 14:19 to 08/04/2020 wed. 14:44
tak hain.ye waqt india k waqt k mutabiq hain.
Waqt na honay k sabb main aaj hi ye post kar raha hun.esliye readers se guzarish hain ki parh kar share bhi kar diya karay taki dusray log bhi faeda utha paen.
Es waqt k darmiyan aap gusal karkay pak saf kapday pahan kar sandal ya loban ka bakhoor karay ya agarbatti jala kar zafran w arq gulab ki siahi se ya phir orange pencil ya pen se ye Loh[naqsh] sufaid kagaz pe likhlay.
Naqsh me jo english me blue numbers likhay hain wo naqsh ki chaal samjanay k liye hain usay asli naqsh me nahi likhnay hain aur jo khana 1,8,11 aur 14 me aadad likhay hain wo bhi likhnay hain sirf jo aayat k kalmat hain wo hi likhay jaen.
Jab likh chukay to Loh ko samnay rakh kar 11-11 martba awwal o akhir durood e pak aur darmiyan me 1100 martba aayat
نصر من اللہ و فتح کریب
" Nasrun min Allahi, wa fat'hun kareeb"
Parhay aur phir naqsh par dam karday aur ab esay mod kar tanbay[copper] k taweez ki khol me rakh kar galay me pahanlay ya sidhay bazu pe bandh lay insha Allah jab tak ye Loh aapkay pas hogi aapkay rozi rozgar me barkat hogi.aapki izzat me martbay me bulandi hasil hogi.logon k dilon me muhabbat paida hogi aur dushman pe galba hasil hoga.insha Allah.
*naqsh aap chahay to saat shams me tayyar karlay ya phir jumua k din tuloo aftab k ek ghantay k andar tayyar karlay.aur pahanna aapko itwar k din subah tuloo aftab k ek ghantay k andar hain.
Feb 10, 2016
#TANG DASTI W SALAMATI KA MURSHID E PAK KA ATIYA AMAL:
Ek hi amal se ye do chizay nasib hogi insha Allah.murshid e pak ne ye tareeqa kai muridin ko bataya hain aur aaj ap sab se share karnay k liye bhi ijazat hain.jis ism e pak ka amal likh raha hun umooman log es ism e pak k asrat se waqif nahi na itni ahmiyat di jati hain.
Ye ism یا سلام hain jo ki aapnay image se kiyas laga liya hoga.Tarkeeb ek dam aasan di hui hain murshid e pak ne jo yun hain ki urooj mah me Kisi bhi saad din se ism e pak
Ya salaamu ki zakwat ka aagaz karay aap chahay Kisi bhi nauchanday din se karay jaisay jumerat jumua ya itwar peer se ya phir aap enhi dino me urooj mah se shuru karay.
Aap din rat me ek waqt muqrrar kar k rozana ek goshay me baith kar bagair Kisi se bat kiye 3125 martba یا سلامُ ka wird karay awwal o aakhir 3—3 martba durood e pak parhay.
Amal ki muddat 120 din ki hain aur lagatar Kisi din nagay kiye bagair ye zakwat ada karay.120 din bad aap es ism e pak k amil hain.
koi parhez nahi.bas parhtay waqt munh se koi bu na aaen maslan kachi pyaz lahsoon ki tambaco bidi cigaratte ki bu na aaen esliye amal se pahlay munh saaf kar liya karay.bawuzu parhay aur koshih karay ki ziada waqt bazuwu raha karay.
Ab jagah ki pabandi lazmi nahi bas waqt muqrrar ki agar pabandi kar paaen to behtar hain warna wo bhi lazmi nahi jab bhi waqt fursat milay parh zaroor liya karay.
Parhez bhi kuch nahi hain.
Es liye aapkay liye kaafi aasan zawkat hain ye…!
120 din k bad rozana 131 martba parha karay.
Essay kya faeda hoga ek to aapkay rizq me behad barkat hogi aur agar bandish hain to dur hogi,daemi wird karnay se yani mudawmat se koi bandish nahi kar paega.na kabi tangdast rahaegay.eskay elawa saanp bichhu sher jaisay muzee janwaron se hifazat rahegi aur kabhi amil ko dank nahi maraega.aur kabhi itfaq se samna ho bhi jaega to amil ko dekh kar sar juka kar bhag jata hain.aur bhi behad fawaed hain jo zakwat ada karnay walay pe khulaengay.
Es daur k liye zaroori hain ye zawkat ada karna kyu k salamati kahan?
Jan 3, 2016
MERAY MUJARRIB ISTAKHARAY
Istakhara yani ki Aleem o Khabeer ki zaat se mashwara karna.aur ahadis e mubarika me huzur sallallahu alayhi w sallam ne istakhara ki taleem as'hab e Rasool allah ko istakhara ki taleem denay aur talkin k saboot maujud hain.ye aisa amr hain jispay amal karnay wala kabhi nuqsani me nahi rahta.hamaray liye kya bhala hain kya bura hain sivaye hamray maabood k kaun jan sakta hain?
log aminlin se najoomi se Ramaal se rujoo kartay hain ki fulan kam me kaisa anjam rahega shadi kaisy rahegi? vegera.meray bhai Hamaray Gaibda Nabi Sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne hamay har sawal ka jawab hasil karnay ka tareeqa bata diya hain.lekin koi mahnat nahi karna chahta.bas meray jaisay do takkay k insan se puch kar khush ho jatay hain.aur zindgi k barhay faislay naqis ilm rakhnay walon pe bharosa kar karlaytay hain.istakhara khud kiya karo.aur Allah se mashwara liya karo.kabhi nuqsani me nahi rahongay.lekin istakhara me agar jawab me Na kardi jaen to wo kam hargiz na karon wo zaroor zaroor baesay nuqsan hoga.
waisay to mainay meray blogs pe chand tareeqay likhay hi hain phir bhi kai ahbaab bar bar istakharay ka tareeqa puchtay rahtay hain to main yahan meray mujarrib istakharay me se chand istakhray ek hi post me likh raha hun.jisay jo thik lagay wo apnaye.
istakhray me kabhi khwab nahi bhi aata to jitnay din ki muddat likhi ho utnay din karli jaen aur phir bhi khwab me koi nishandehi na ho to samjlay ki ye kaam apki marzi pe chhora gaya hain ki karay ya na karay.matlab ki esmay karaengay to koi khas faeda nahi hoga na nuqsan.darmiyani darjay ka hoga.
aur kuch hazrat ko khwab yad nahi rahnay ki shikayat hoti hain. to wo rat ko kam khaya karay aur sotay waqt nim garm dudh pi kar soya karay.aur achay khwab aksar yad na rahtay ho uski wajah Haram geeza hoti hain.esliye istakharay k ayyam me roza rakha jaen to behtar hain aur pak saf aur halal rizq ka estemal kiya jaen.waisay to hamay rozana halal hi lukma khana aur khilana chahiye par daur hi aisa hain ki Pak taheer lukma jaisay gayib hi ho gaya hain.Allah khair karay aur hamay rizqan taiban ata karay aameen.
zindgi k koi bhi aham faislay bagair istakharay k na karay.shadi karobar beroni safar,partnership, kharido farokht rishta court k mamlat ho ya rohani masaeel ho.istakharay se hi madad lay.jadu aseb ka shaq hoto bhi istakhara karliya jaen.zaroor nishandehi milaegi hi milaegi.phir elaj ki taraf rujoo kiya jaen.aur har istakharay se pahlay 11 martba aaytul kursi parh kar dono hatheliyon pe dam kar puray badan pe pherliya jaen.ye badni hisar ho jaega aur koi shaitani makhlooq roday nahi dalegi.pak saf halat me pak saf bistar pe bawuzu aur itr laga libas pahan kar sunnat tareeqay se laytay jismay khwab me jawab milta hain.jo bhi istakhara aap par khul jaen usay hi apnalay kabhi ye to kabhi wo na aazmaya karay.ek hi istakharay se aap ko bahot faeda hoga jiska zikr main ek post me pahlay bhi kar chuka hun essay batni bhi bahot faeday hotay hain.
ab main jo course me sikhata hun ye hi post blog readers k nam likh raha hun.ummid hain aap essay khub faeda uthaengay.
MERE MUJRRIB ISTKHARAY{KHAS}:
Istkharah k ma,ni talb e khair k hain,bhalayi ya burayi se
aagahi hasil karna.kaam kaam aagaz karnay se pahlay istkhara karna yani apnay
apko musibaton aur jazmaton aur khsaaray se mahfooz karna hain.istkhara ka ek
azeem faaeda ye hai ki agar istkharah me aapko jawab "HA" me milay to
yani istkharah ka natija bhi yehi nikalta hain kaam nek mufeed aur natijabakhsh
sabit honay wala hain to amal ki barkat se rabb ki rahmat bhi shamil ho jati
hain aur har haal me amal nek anjam ko pahochta hain.aur agar jawab me
"NA" aata hain to kaam me koi na koi rukawat paida hojati hain.
istkharah natijabakhsh amal hain,masnoon hain.jab koi banda
naya kaam shuru karay to lazim hain ki nataej ki aagahi k liye istkharah
karay,taki b,adme esay koi parayshani na ho.hamay istkhara bahot hi kaam deta
hain,amaliat me istkharah jahmat se bachata hain aur agar rabb ki janib se ha
bhi mili to kaam pe ek kaamyabi ki mohar bhi lag jati hain.
ab yahan kuch mere aazmuda tareeqay likh raha hun...
ISTKHARAH 1:
ye silsila qadriya ka khas istkharah hain aur bahot hi
powerful hain.aap zaroor aazmaye.
b,ad e isha jab sonay ka irada ho to pak saf libas k sath
bawuzu 2 rak,at namaz e nifal ada karay har bar rak,at me su.fateha k b,ad 303
martba surah ikhlas sharif parhay,ab junoob ki taraf munh karkay ye 3 asma ko
111 bar parhay aur qibla rukh ho kar es 3 asma ko parhtay parhtay so
jaen.inshallah pahli hi raat me jawab mil jaega,jikay liye aapnay ye istkharah
kiya hain.
اَلنورُ الظَاھِرُ اَلۡباسطُ
AL NOORU AL ZAAHIRU AL
BASITU
ISTKHARAH 2:
Aap sallallahu alayhi wa sallam ne farmaya ki jab tum kisi
kam k shuru karnay se pahlay istkharah karliya karo.taki eskay zariye se rabb
ul izzat tumhay us kaam ki bhalyi aur burayi ya nafaa ya nuqsan se aagah farma
de.istarha banda apnay kaam me rabb se mashwarah talab karta hain ki karu ya
nahi?aur essay barha kar kya baat ho sakti hain ki ham khuda e pak se salah le
kar kam karay.khusoosan mere nazdik wo kaam hargiz zawal ka munh nahi dekh
sakta jo khaleq haqeeqi k isharah par shuru kiya gaya ho.esliye istkharah
nihayat zaroori aur lazmi amal hain.jo buzorgo se chala aaraha hain.istkharah k
lakhon tareqay hain.magar main yahan mere murshid k bataye hi tareeqay pesh
karunga jissay mainay khud aazmaya hain aur faaeda hasil kiya hain.
salatul istkharah parhay aur jismay kisi soorat ki qaid nahi
jo dil chahay wo parhay.salaam k b,ad 101 bar durood sharif pahay aur
101 bar
یا خبیرُ اخبرنِیْ
101 bar
یا رشیدُ اُرشدنی
101 bar
یا ھادیُّ اِھدِنِی
101 bar
یا علیمُ علّیمنِی
aur akhir me
101 bar
durood e pak
parh kar dua mangay ki falan kaam k mutaliq
aagaahi bakhsay aur phir usi jagah musallay pe so jaen.inshallah usi rat me
aapko aapka jawab mil jaega.agar khuda na khwansta pahli raat me maloom na ho 3
rat tak amal karay teen raat me zaroor kamyabi ho gi aur aapko apana jawab mil
jaega.
waqt isha b,ad ka hain aur tanahyi me kiya jaean.
ISTKHARAH 3:
pak saf ho kar kisi tnaha kamray me musallay pe baith kar
pahlay 100 bar istagfaar parhay.aur 261 martba durood e pak parhay.aur phir
apnay kaam ki bhalyi ya burayi maloom karnay ki niyyat dil me rakhkay, do
rak,at namaz b,niyyat istkharah es tarah parhay ki pahli rak,at khatm karkay
jab dusri rak,at me jab
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وإِيَّاكَ
نَسْتَعِينُ
par pahochay to es aayat sharif ki bila tadad takraar karay
aur uswaqt tak jary rakhay jab tak aapki gardan khud b khud daaeyn ya baaeyn
janib ko ghum na jaen.jab gardan kisi bhi janib phir jaen to baqaya namaz ko ada karay,salam
pherlay.
ab agar aapki gardan daaen taraf[right side]ghumi ho to kaam
me kamyabi hain.aur agar bayi[eft side] ghumay to kaam na karay aur karnay me
nuqsan hain.
agar karaengay to ek to rabb se salah lekar na maanna ye
khulam khuli sarkashi hain aur jiska natija hargiz acha nahi hota.
koi bhi kaam ho istkhara qurani karna chahiye to inshallah
sahih jawab milta hain.jis jagah soye wo jagah apka libas aapka badan aur apka
bister bhi pak rakh kar istkhara karay.inshallah pahlay hi din hi jawab mil
jaega.aur kabhi batayi muddat me jawab na milay aur aapnay sabhi shart ko kayim
rakhtay istkharah kiya tha par jawab mudat e amal me na mila to eska matlab ye
hota hain ki esmay na nafa hain na koi nuqsan ye aap pe chhora jata hain ki aap
chahay to karay chahay to na karay.
istkharah jaez kaam k liye karna chahiye aur farz ki adaegi
k liye ya aisy baat k liye istkharan nahi kiya jata.jaisay koi main dhadhi
rakhu?main namazi banu?
aur ek bat agar paichida kaam jahan aapki aqal ya dil jam
nahi raha aisay kaam karnay se pahlay istkharah karlaena chahiye.
ek bat yad aagayi hain to likh deta hun ki hamaray gaon me
ek neem ka barha darakht hain ek ladkay ko ek khwab aaya ki darkht k nichay
kisi buzorg ki mazar dabi hui hain aur wo wahan khudayi karkay nikalnay ko
kahtay hain.usnay sab ko bataya log agarbatti lekar pahoch gaye,aur sab khodnay
ki tayyari karnay lagay.
ek samajdar insan ne kahan ki main mere peer se puchh kar
aata hun phir kuch kaam karaengay.peer sahib ne usay istkharah likh kar diya
aur usnay mujay bataya aur usnay muj se karnay ko kahan to mainay uskay peer ka
hawala detay mana kar diya,ye tab ki baat hain tab main ilm e rohani me sirf
qadam hi rakh aaya tha.
phir usnay istkhara kiya to usay jawab me na boli gayi aur
kuch dikhaya gaya tha.usnay sab ko rok rakha aur apnay peer k pas ja kar khabar
batayi peer sahib ne farmaya ki wahan ek jinn qaid hain agar wahan khodtay to
wo jinn nikal jata aur tum sab gaon walon ko parayshan karta.
khair ye hain istkharah ki barkat agar bagair istkharah k
zameen khodi hoti to na janay kitna barha nuqsan uthatay?
Subscribe to:
Posts (Atom)