#AAON_KHUDGARZI_K_ES_JAHAN_ME_ KHUDGARZ_BANAY…!
Ye daur matlab parast hain.log har kam k pichay apnay matlab
ko faeday ko dekhtay hain.khudgarz ho gaye hain.to main bhi EK MAMLAY ME khud garz bannay ki
aapko dawat deta hun.duniya k liye to bahot khudgarzi karli ab aakhirat k liye
khudgarzi karo…!
Kya aap nahi chahtay hain ki aapkay pas bhi aakhirat ki
daulat bhi sab se ziada ho..? mahalat ho hurray ho..!bagichay ho..? kyu k
jannatiyon me bhi rab ne darjat rakhay hain.jaisay duniya me darjat hain koi
amir to koi ameer kabeer hain.
Main to ye hi chahta hun ki aap sab deen ki es daulat ko
jitna ho sakay utna lootlay.
Kunji jo es khazanay ki hain wo bata raha hun.jo mujay meray
murshid se ata hui hain.mainay to aap sab ko bhai aur bahan maana hain.mujay
kaisay gawara ho ki main akela ye khazana hasil karlun…! To meray pyaray bhai
aur bahanay aaj se hi ye khazana hasil karnay me lag jaen…!
Wo kya hain esay parhay insha allah samj aajaega…!
Log ziadatar aisay aamal pasand kartay hain jismay
paichidgiya ho.jaisay fulan parinday ki aankh laon pankh laon khoon
milaon,jungle me baitho,kuway me latko…ek tang pe khaday ho kar parho…ye karo
wo karo aur main khud aisay aamal likhta rahta hun.aur aisay aamal k liye mujay
sab se ziada coments ya mails msg aatay hain.lekin aisay aamal me kamyabi hasil
karna aasan bhi nahi hota.aur main to ye hi koshish karta hun ki kam sharaet
aur aasan aamal hi pesh kiya karu taaki logon ko faeda ho.aisay aamal jo
paichida hotay hain parhnay[reading] me luft aata hain lekin tayyar karaengay ya
aazmaengay to utna hi mushkil lagaega jitana luft aata hain.to kyu na ham aisay
aamal ka sahara lay jo….
Yani wo aamal jismay Kisi parhez ya waqt saat nazraat ki,aisa
karna waisa karnay ki qaid nahi aur faeda yaqini hain.insha allah es silsilay
ka aagaaz ham durood e pak se karaengay.hamara course me sab se pahlay
rohaniyat k sabaq me yehi targeeb dilayi jati hain ki durood e pak ka wird
rozana tor pe kiya jaen.ye amal aisa hain ki agar pabandi eski ho gayi to Kisi
amal ki zaroorat hi nahi.murshid ne ek martba farmaya tha ki afzalul zikr "La ilaha illallah" hain aur
Durood “taaj ul wazaeef” hain.durood sharif deeni dunyavi jismani rohani tamam
masaeel ka hal hain.
Afsos ye hain ki sab se ziada kotahi ham
durood e pak me hi kar rahay hain.durood me kya faiz hain main tajorba kar chuka
hun aur kar raha hun.es duar me musibat aur masael me jo insan fans jata hain uski sab se barhi
wajah gunah hain aur gunah se bachna itna mushkil ho raha hain ki Allah ki
panah…!aur aaj kal to gunah ko gunah hi nahi samja ja raha hain.nek aur achi
baaton ko molviyon ki duty samj kar mazak uda detay hain.gunahgaar pe rahmat
kaisay hogi?aur kaisay dua kubool hogi..?esi liye hamay targeeb dilayi gayi
hain ki dua se qabl aur aakhir me durood parha jaen.kyu k ye kubooliyat ka sabb
bantay hain.
*Huzur Nabi e do jahan nay farmaya ki muj par dum kata durood na parho..to ashab nay farmaya ya Rasool allah dum kata durood kiya hain? aapnay farmaya muj par durood parho aur meri aal par na parho!(yani durood may wa aalehi hi shamil ho.)
*hazrat Ali sher e khuda farmatay hain ki
‘jab tak nabi e pak sallallahu alayhi w sallam par durood na parha jaega tamam
duaon zamin asman k darmiyan latakti rahti hain.’
[tibrani]
*hazrat Abu bakr siddiq radiallahu anho
farmatay hain ki’huzur nabi e pak pe durood parhna gunaho ko mitadeta
hain.huzur sallallahu alayhi w sallam par durood e pak parhna Gulam ko aazad
karnay se bhi behtar hain.aur nabi e kareem sallallahu alayhi w aalehi w sallam se
muhabbat Allah ki rah me zihad karnay se bhi behtar hain.’
[durr e mansoor]
Esi tahra hazrat sarkar umar farooq e aazam
radiallahu anho farmatay hain ki wo dua asman pe nahi jati jismay huzur
sallallahu alayhi w aalehi w sallam pe durood na parha gaya ho aur hazrat Usman Ghani
radiallahu anhu farmatay hain ki main quran yad nahi kar pa raha tha to huzur
ne durood yad karwa diya jisay parhnay se mujay quran yad ho gaya..
Esi tarha Hazrat Imam Hasan radiallahu anhu
farmatay hain ki Huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya muj par kasrat se
durood e pak parho kyu k muj pe durood parhna tumharay liye gunaho ki bakhshis
ka sabb hain.[ibn asakir]
Aur Hazrat Imam e Husain farmatay hain ki
Huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya ki tum kahin bhi ho muj pe durood e
pak parhtay raho,beshaq tumhara durood mujtak pahochta rahta hain.
Aur Hazrat Abdullah bin jawaad radiallahu
anho farmatay hain ki Huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya ki tum par jo
jo bhi faraez hain usay mukammal ada karnay ki koshish kartay raho kyu k wo
Allah ki rah me 20 martba zihad karnay se bhi afzal hain.aur muj par durood
parhna unsab se behtar hain…!
Ab durood ka amal likh dun unsay pahlay ye
bhi likh du ki kuch maukay pe durood[adban] nahi parhna chahiye…
Paisab-pakhana k waqt,
Badboo wali jahag nikaltay waqt,
Thokar lagay tab,
Hambistari k waqt,
Kisi janwar ko zubah kartay waqt,
Ya koi chiz kat rahay ho tab,
Hairat k waqt.
En awqat aur mauko pe durood adban nahi
parhna chahiye.
Kuch waeed bhi hain wo bhi parhlijye…
1.Nabi e pak sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne
farmaya wo shakhs barbad ho jiskay samnay mera zikr ho aur muj par durood na
parhay.[tirmizi]
2.jo mujpar durood parhna bhul gaya wo jannat ka rasta bhul gaya..[ibn maja]
3. jo mera nam sunay aur muj par durood na
parhay wo sab se barha bakhil hain.[tirmizi]
4.jis mahfil me log jama ho aur muj par
durood parhay bagair barkhast ho wo aisa hain jaisay badbudar murday par se
uthay,matlab usmay koi khair o barkat nahi hoga.[tirmizi]
Esi tahra durood shab e jumua, jumua aur peer
ka din khas hain us din durood ki kasrat khas ki jaen.kyu k huzur sallallahu
alayhi w aalehi w sallam ne famraya hain ki muj par roshan rat[jumme ki rat] roshan din
[jumua] kasrat se durood parho kyu k us din muj pe aapka durood pesh kiya jata
hain.aur main tumharay liye dua aur istagfar karta hun.
Aur peer k din bandon k aamal Rabbul aalmin
ki bargah me pesh hotay hain.
Durood k baray me hazrat Imaam Raazi
radiallahu anhu kya farmatay hain ye bhi parh lijye…
Istagfar aur durood dono me se duroof ko
behtar jaano.durood parhtay rahay aur istagfar ko huzur sallallahu alayhi w
sallam pe chhor dijye yani unki bargah me rujoo kar dijye.
Allah khud huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam
pe durood e pak parhtay hain.aur durood manzor na ho aisa mumkin nahi.
Istagfar ek dua hain aur dua kubool hi ho ye
mumkin nahi.kubool ho bhi, nahi bhi ho esliye kubooliyat me shaq paida hota
hain.esliye istagfar pe bharosa kiya ja sakta nahi.jab ki durood k kubool honay
me koi shaq nahi hain.
Esliye behtar hain ki kamyab aur tasalli
bakhsh rah ye hi hain ki kasrat se durood sarkar e do jahan pe bhejtay rahay
aur huzur hamari bakhshis k liye dua kartay rahaengay.Nabi e Mukhtar ki duaon aur rahmat aur safa'at k Sabb hamari bakhshish hogi.es tarha hamara bakhshish ka samaan tayyar hota jaega.
Ab Quran ki wo aayat jismay hamay durood ka
hukm diya gaya
hain likh kar amal durood likhta hun…
إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
Inna Allaha wa malaikatahu yusalloona
Aala alnnabiyyi ya ayyuha allazeena amanoo
salloo Aalayhi wasallimoo tasleema .
Su.ahzab ayat 56.
Es aayat me mominin ko hukm durood diya gaya hain.
Ab yahan jo amal hain wo ‘Durood e Taiyyib’ ka hain.
Es durood me kai israar chhupay huvay hain.
Jo insan gunaho me faans gaya ho,nafs ne jakad liya ho,aur chaaro
taraf se nakaamiya ne gher rakha ho.udasi chha gayi ho.aur nafs ye kahta ho ki
puri zindgi gunaho me guzar gayi ab kya khak musalmaan banaengay?dil kahta ho
ki ab teray gunah ki muafi nahi chal saja pa nay ko tayyar ho ja.
Aur Kisi chiz se faeda na ho raha ho.koi Aamil ya Aalim se
na dua se na taweez se Kisi bhi tarha faeda na
ho raha ho to es durood e pak ka wird shuru karday.insha Allah aapki batin ki
safayi bhi ho jaegi aur masael ka hal bhi milta jaega.
Durood ko Kisi bhi din
tareekh me parhna shuru karay rozana 313 martba madina rukh ho kar parha karay.
Jumua k din es durood ko parhnay se bahot faeda hasil hota
hain.
*15vi shaban ko agar puri raat wird kiya jaega to bahot se
rohani in’aamat hasil hotay hain.
Durood e tayyib ye hain…
صلی اللہ
علیہ والہ یا شفیع المذنبین سیدنا مولانا احمد مجتبی محمد مصطفے و علی الہ واصحابہ وازواجہ و احبابہ و ذریتہ واہل بیتہ و اہل طاعتک اجمعین0
Sallallahu alayka Ya
Shafial Muznabeen sayyidna w maulana Ahmad e mujtaba Muhammad mustafa w ala
aalehi w as’habehi w azwajehi w ahbabehi w zurriyatehi w ahle baitehi w ahle
taaetik ajmaeen.
#Koi parhez nahi na koi
waqt ki pabandi hain na Kisi din mahinay urooj
zawal ki qaind hain.ek martba kam se kam 40 din aazma kar dekhlay.
Khud ki bhalayi k liye
khudgarz ban jaen
aur Apnay liye waqt nikal kar wird kartay rahay.ye aisa amal hain ki dono jahan me aapko
nafa dega.