Ye amal jo bhi karaega jis nek maqsad se karaega insha Allah
wo maqsad ya hajat ek saal k andar andar puri hoti hain.jaisay koi berozgar
hain ya koi taraqqi ka khawaeshmand hain ya koi khud ka makaan chahta hain to
koi qarz se nijat chahta hain,koi aurat aulad e narina yani beta chahti hain to
koi parayshan maa apnay betay se mulakat chahti hain to kisi ki shadi ka mas’ala
hain.garz har aisay mas’alay jiska hal mahnat w koshish k bawzod na hal ho raha
ho to buzorgan e deen ka ata karda aur aapkay khadim SamarAli k murshid ka bhi bataaya huva aur
mera khud ka meray doston ka aazmaya huva ye amal likh raha hun.aur insha Allah
ahlay bayt k faizan se aur meray murshid Aulad e Gaus e aazam k sadqay se aapki
hajaat zaroor puri hogi.
TAREEQA:
Ek dam sahal hain.bas aashura ki raat yani 9vi muharram ka
din guzar kar jo raat aaen us raat ko bad e isha gusl karay aur apak saaf
kapday pahanay aur bawuzu ho kar Allah k paak kalaam yani quraan e karim ko lay
kar pak saaf jagah pe ya masjid me baithay.
Pahlay to do rakaat salatul hajat parhay.aur har rakat me
surah e fateha k bad 3 martba surah e ikhlas parhi jaen.aur maqsad ki dua mang
kar.
Kalaam e elahi ko bismillah kah kar kholay aur surah fateha
k upar jo bhismillah sharif likhi hain wahin se shuru karay.bismillah ki Be pe
kalmay ki ungli[index finger] rakhay aur bismillah parhtay huvay ungli ko us
satar[Line] pe phertay huvay bismilah ki aakhri meem pe lay jaen ab yun karna
hain ki alahamdu sharif ki pahli alif pe kalmay ki ungli rakhtay huvay
bismillah parhtay huvay ungli us satar[Line] k aakhri harf pe lay jaen.esi
tarha uskay bad ki satar pe pahlay harf pe unli rakhtay huvay ungli phertay
aakhri har pe lay jaen aur har satar pe
ungli phertay huvay
bismillah hir rahmanir raheem parhtay jaen.
Ek dam aasan hain aur har satar pe ungli phertay jana hain
aur bismillah hir rahmanir raheem parhtay jana hain.aisay kalaam e pak k har
saffay pe karay yahan tak ki pura qalam yaani surah e naas ki aakhri Seen pe
khatm ho.
Apnay shuru bismillah sharif k Be se kiya tha aur khatm Seen
pe hoga.
Yani Be aur seen
ب س
Yani بس
Bas.
Bas aapki hajat bhi Allah k darbar me pahoch jaegi aur
B,faizan e Bismillah qubool bhi ho jaegi.
Mumkin hain aapki hajat fauran puri ho jaen ya kuch din me ya kuch hafton me ya kuch
mahino me lakin Allah ne chaha to zaroor zaroor puri hogi.bas,uski rahmat se
mayoos na ho aur dua k hathyar se apni musibaton se jung karon.
*es tarkeeb me karib 2-3 ghantay lagtay hain.
aur ek nashist[one sitting]me parhay to behtar hain warna do teen waqfay se bhi parh saktay hain.jaisy jiski quwwat.
Agar en ghamon se bharay huvay dino me kisi ko ye khadim
b,waqt e dua yaad aajaen to zaroor shamil e dua karlijyega.