Jan 3, 2016

MERAY MUJARRIB ISTAKHARAY



Istakhara yani ki Aleem o Khabeer ki zaat se mashwara karna.aur ahadis e mubarika me huzur sallallahu alayhi w sallam ne istakhara ki taleem as'hab e Rasool allah ko istakhara ki taleem denay aur talkin k saboot maujud hain.ye aisa amr hain jispay amal karnay wala kabhi nuqsani me nahi rahta.hamaray liye kya bhala hain kya bura hain sivaye hamray maabood k kaun jan sakta hain?
log aminlin se najoomi se Ramaal se rujoo kartay hain ki fulan kam me kaisa anjam rahega shadi kaisy rahegi? vegera.meray bhai Hamaray Gaibda Nabi Sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne hamay har sawal ka jawab hasil karnay ka tareeqa bata diya hain.lekin koi mahnat nahi karna chahta.bas meray jaisay do takkay k insan se puch kar khush ho jatay hain.aur zindgi k barhay faislay naqis ilm rakhnay walon pe bharosa kar karlaytay hain.istakhara khud kiya karo.aur Allah se mashwara liya karo.kabhi nuqsani me nahi rahongay.lekin istakhara me agar jawab me Na kardi jaen to wo kam hargiz na karon wo zaroor zaroor baesay nuqsan hoga.
waisay to mainay meray blogs pe chand tareeqay likhay hi hain phir bhi kai ahbaab bar bar istakharay ka tareeqa puchtay rahtay hain to main yahan meray mujarrib istakharay me se chand istakhray ek hi post me likh raha hun.jisay jo thik lagay wo apnaye.

istakhray me kabhi khwab nahi bhi aata to jitnay din ki muddat likhi ho utnay din karli jaen aur phir bhi khwab me koi nishandehi na ho to samjlay ki ye kaam apki marzi pe chhora gaya hain ki karay ya na karay.matlab ki esmay karaengay to koi khas faeda nahi hoga na nuqsan.darmiyani darjay ka hoga.

aur kuch hazrat ko khwab yad nahi rahnay ki shikayat hoti hain. to wo rat ko kam khaya karay aur sotay waqt nim garm dudh pi kar soya karay.aur achay khwab aksar yad na rahtay ho uski wajah Haram geeza hoti hain.esliye istakharay k ayyam me roza rakha jaen to behtar hain aur pak saf aur halal rizq ka estemal kiya jaen.waisay to hamay rozana halal hi lukma khana aur khilana chahiye par daur hi aisa hain ki Pak taheer lukma jaisay gayib hi ho gaya hain.Allah khair karay aur hamay rizqan taiban ata karay aameen.

zindgi k koi bhi aham faislay bagair istakharay k na karay.shadi karobar beroni safar,partnership, kharido farokht rishta court k mamlat ho ya rohani masaeel ho.istakharay se hi madad lay.jadu aseb ka shaq hoto bhi istakhara karliya jaen.zaroor nishandehi milaegi hi milaegi.phir elaj ki taraf rujoo kiya jaen.aur har istakharay  se pahlay 11 martba aaytul kursi parh kar dono hatheliyon pe dam kar puray badan pe pherliya jaen.ye badni hisar ho jaega aur koi shaitani makhlooq roday nahi dalegi.pak saf halat me pak saf bistar pe bawuzu aur itr laga libas pahan kar sunnat tareeqay se laytay jismay khwab me jawab milta hain.jo bhi istakhara aap par khul jaen usay hi apnalay kabhi ye to kabhi wo na aazmaya karay.ek hi istakharay se aap ko bahot faeda hoga jiska zikr main ek post me pahlay bhi kar chuka hun essay batni bhi bahot faeday hotay hain.
ab main jo course me sikhata hun ye hi post blog readers k nam likh raha hun.ummid hain aap essay khub faeda uthaengay.

MERE MUJRRIB ISTKHARAY{KHAS}:
Istkharah k ma,ni talb e khair k hain,bhalayi ya burayi se aagahi hasil karna.kaam kaam aagaz karnay se pahlay istkhara karna yani apnay apko musibaton aur jazmaton aur khsaaray se mahfooz karna hain.istkhara ka ek azeem faaeda ye hai ki agar istkharah me aapko jawab "HA" me milay to yani istkharah ka natija bhi yehi nikalta hain kaam nek mufeed aur natijabakhsh sabit honay wala hain to amal ki barkat se rabb ki rahmat bhi shamil ho jati hain aur har haal me amal nek anjam ko pahochta hain.aur agar jawab me "NA" aata hain to kaam me koi na koi rukawat paida hojati hain.
istkharah natijabakhsh amal hain,masnoon hain.jab koi banda naya kaam shuru karay to lazim hain ki nataej ki aagahi k liye istkharah karay,taki b,adme esay koi parayshani na ho.hamay istkhara bahot hi kaam deta hain,amaliat me istkharah jahmat se bachata hain aur agar rabb ki janib se ha bhi mili to kaam pe ek kaamyabi ki mohar bhi lag jati hain.
ab yahan kuch mere aazmuda tareeqay likh raha hun...

ISTKHARAH 1:

ye silsila qadriya ka khas istkharah hain aur bahot hi powerful hain.aap zaroor aazmaye.
b,ad e isha jab sonay ka irada ho to pak saf libas k sath bawuzu 2 rak,at namaz e nifal ada karay har bar rak,at me su.fateha k b,ad 303 martba surah ikhlas sharif parhay,ab junoob ki taraf munh karkay ye 3 asma ko 111 bar parhay aur qibla rukh ho kar es 3 asma ko parhtay parhtay so jaen.inshallah pahli hi raat me jawab mil jaega,jikay liye aapnay ye istkharah kiya hain.

اَلنورُ الظَاھِرُ اَلۡباسطُ

AL NOORU AL ZAAHIRU AL BASITU

ISTKHARAH 2:
Aap sallallahu alayhi wa sallam ne farmaya ki jab tum kisi kam k shuru karnay se pahlay istkharah karliya karo.taki eskay zariye se rabb ul izzat tumhay us kaam ki bhalyi aur burayi ya nafaa ya nuqsan se aagah farma de.istarha banda apnay kaam me rabb se mashwarah talab karta hain ki karu ya nahi?aur essay barha kar kya baat ho sakti hain ki ham khuda e pak se salah le kar kam karay.khusoosan mere nazdik wo kaam hargiz zawal ka munh nahi dekh sakta jo khaleq haqeeqi k isharah par shuru kiya gaya ho.esliye istkharah nihayat zaroori aur lazmi amal hain.jo buzorgo se chala aaraha hain.istkharah k lakhon tareqay hain.magar main yahan mere murshid k bataye hi tareeqay pesh karunga jissay mainay khud aazmaya hain aur faaeda hasil kiya hain.
salatul istkharah parhay aur jismay kisi soorat ki qaid nahi jo dil chahay wo parhay.salaam k b,ad 101 bar durood sharif pahay aur
101 bar
یا خبیرُ اخبرنِیْ
101 bar
یا رشیدُ اُرشدنی
101 bar
یا ھادیُّ اِھدِنِی
101 bar
یا علیمُ علّیمنِی
aur akhir me
101 bar
durood e pak 
parh kar dua mangay ki falan kaam k mutaliq aagaahi bakhsay aur phir usi jagah musallay pe so jaen.inshallah usi rat me aapko aapka jawab mil jaega.agar khuda na khwansta pahli raat me maloom na ho 3 rat tak amal karay teen raat me zaroor kamyabi ho gi aur aapko apana jawab mil jaega.
waqt isha b,ad ka hain aur tanahyi me kiya jaean.

ISTKHARAH 3:
pak saf ho kar kisi tnaha kamray me musallay pe baith kar pahlay 100 bar istagfaar parhay.aur 261 martba durood e pak parhay.aur phir apnay kaam ki bhalyi ya burayi maloom karnay ki niyyat dil me rakhkay, do rak,at namaz b,niyyat istkharah es tarah parhay ki pahli rak,at khatm karkay jab dusri rak,at me jab
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
par pahochay to es aayat sharif ki bila tadad takraar karay aur uswaqt tak jary rakhay jab tak aapki gardan khud b khud daaeyn ya baaeyn janib ko ghum na jaen.jab gardan kisi bhi janib phir jaen to baqaya namaz ko ada karay,salam pherlay.
ab agar aapki gardan daaen taraf[right side]ghumi ho to kaam me kamyabi hain.aur agar bayi[eft side] ghumay to kaam na karay aur karnay me nuqsan hain.
agar karaengay to ek to rabb se salah lekar na maanna ye khulam khuli sarkashi hain aur jiska natija hargiz acha nahi hota.

koi bhi kaam ho istkhara qurani karna chahiye to inshallah sahih jawab milta hain.jis jagah soye wo jagah apka libas aapka badan aur apka bister bhi pak rakh kar istkhara karay.inshallah pahlay hi din hi jawab mil jaega.aur kabhi batayi muddat me jawab na milay aur aapnay sabhi shart ko kayim rakhtay istkharah kiya tha par jawab mudat e amal me na mila to eska matlab ye hota hain ki esmay na nafa hain na koi nuqsan ye aap pe chhora jata hain ki aap chahay to karay chahay to na karay.
istkharah jaez kaam k liye karna chahiye aur farz ki adaegi k liye ya aisy baat k liye istkharan nahi kiya jata.jaisay koi main dhadhi rakhu?main namazi banu?
aur ek bat agar paichida kaam jahan aapki aqal ya dil jam nahi raha aisay kaam karnay se pahlay istkharah karlaena chahiye.
ek bat yad aagayi hain to likh deta hun ki hamaray gaon me ek neem ka barha darakht hain ek ladkay ko ek khwab aaya ki darkht k nichay kisi buzorg ki mazar dabi hui hain aur wo wahan khudayi karkay nikalnay ko kahtay hain.usnay sab ko bataya log agarbatti lekar pahoch gaye,aur sab khodnay ki tayyari karnay lagay.
ek samajdar insan ne kahan ki main mere peer se puchh kar aata hun phir kuch kaam karaengay.peer sahib ne usay istkharah likh kar diya aur usnay mujay bataya aur usnay muj se karnay ko kahan to mainay uskay peer ka hawala detay mana kar diya,ye tab ki baat hain tab main ilm e rohani me sirf qadam hi rakh aaya tha.
phir usnay istkhara kiya to usay jawab me na boli gayi aur kuch dikhaya gaya tha.usnay sab ko rok rakha aur apnay peer k pas ja kar khabar batayi peer sahib ne farmaya ki wahan ek jinn qaid hain agar wahan khodtay to wo jinn nikal jata aur tum sab gaon walon ko parayshan karta.
khair ye hain istkharah ki barkat agar bagair istkharah k zameen khodi hoti to na janay kitna barha nuqsan uthatay?