Jun 26, 2015

ROOHANI QUWWAT KO BEDAR KARNAY KA EK AASAN PAR KAMYAB AMAL:


 Aksar readers mujay roohaniyat ko bedar karanay ya paida karnay ka amal likhnay ko kahtay hain.main mukhtalif tareeqay janta hun kuch unmay se usay bata deta hun.ab kartay hongay ya nahi wo to wo khud hi jaanay.
Noorani amaliyat k liye zaroori hain ki gunah se dur raha jaen aur jisay chotay gunah ham samjtay hain ya ye samjtay hain ki ye gunah hain hi nahi.us gunah se bhi  dur rahay jaisay juth bolna,juth zuban ki taseer ko batil kar deti hain.aur gunah qalb ko siah.phir roshni kahan se nazar aaegi?
Meray blog se aksar log jo lootaray hain wo post chori kar apnay naam se laga kar logon ko dhoka de kar unsay paisay wasool kartay hain.esliye mera ab bahot hi kam blog pe likhnay ko dil karta hain.Allah ka gazab aur gaibi maar hun logon pe jo musibatzadaon ka faaeda uthatay hain.eska ek elaj hain ki aap blog ki post ko google+ aur facebook pe ziada share kiya karay.

Agar aap kuch hasil karna chahtay hain to yahan ek tareeqa likh raha hun jissay aapko bahot faeda hoga mujay bhi huva tha aur esliye hi aapko bata raha hun.

Parhez aur jismay koi khatra jaan ka ho wo amal main ziadatar nahi likhta.aur koshish ye hi karta hun ki aasan aur sahal amaliyat likhu jissay logon ko jald faeda hasil ho.lekin aaj kal log aisay amal ko dar kinar kardatay hain jo aasan ho.har koi ek din me jinn pary hamzad hasil karna chahta hain.main aisay meray dosto ko mashwarah dunga ki wo pahlay aisy arwah ko samjnay ki koshish karay,aur  jiskay baray me internet ki duniya me dhero reseach aur books article milaengay.phir sochay ki kya ye makhlooq aisay taskheer ho jaegi?jaisay aap soch rahay hain ya koi aapko amal de raha hain ki 3 din me karlo ya 11 din me karlo?

Aaj jo bata raha hun wo yun samjay ki pahla sabaq hain roohaniyat ka.
Aap gunah se dur rahay aur istagfar ki kasrat karay.
Aur jo maqsad hain aaj ka tareeqa likhnay ka wo ye hain ki aap rozana istkhara ko apnalay.
Yani rozana istkhara kartay rahay.koi bhi istkhara kar saktay hain.jo bhi aapko aasan lagta ho.rozana rat ko wo parh kar koi ek sawal ka jawab hasil karnay ki garz se karay jo apkay liye kuch maenay bhi rakhta ho wo sawal k liye istkhara karay.jab tak uska jawab khwab me na milay usay kartay rahay.jab mil jaen to dusra maqsad lay aur uskay liye istkhara karna shuru karday.aisay rozana istkhara kartay rahay.
Istkhara me koi parhez nahi koi khatra nahi koi khauf nahi aur na koi nuqsan hain bas faeda hi faeda hain.
Istkharay me kuch aadab hotay hain wo ye ki pak saf bawuzu ho kar parhay.pak bistar pe mumkin ho to chatayi jo pak saf ho uspay tanha laytay.ye zaroori nahi ki kamra me aap hi tanha ho bas aap bistar pe tanha ho.badan pe khushbu lagayi jaen.aur qibla rukh ho kar soye.ya kuch istkharay me jo hidayat ho uskay mutabiq rukh rakha jaen.
Agar namaz k aadi hain to do rakaat nafil istkhara ki niyyat se bhi kar saktay hain.bas ek hi istkhara rozana na kiya karay jo aapko aasan lagta ho.insha Allah eska faeda aapko kuch dino bad khud nazar aaega.aur Allah k hukm se meray murshid Aulad e Gaus k sadqay tufayl se aapko wo bhi mil jaega jiskay aap khwaeshmand hain.ek do tariqay mainay blog pe likhay hi hain istkhara k.ek tareeqa aur main likh deta hun jo aapki nigahon se parda utha dega.

Rozana rat ko ba wuzu 3054 martba ye parhay….
یا علیمُ علمنی یا خبیرُ اخبرنی یا رشیدُ ارشدنی

Ya Aleemu Alimni Ya Khabeeru Akhbirni Ya Rashidu Arshidni

Aur jo maqsad ho wo zahan me dohratay huvay durood e pak parhtay parhtay so jaen.
Insha Allah khwab me aapko maloom ho jaega.kai bar khwab ek kahani ki tarha nazar aaega jo aapkay sawal ka  jawab hoga ya phir isharon me hoga.jispay kuch gaur o fikr karnay se samaj aajaega.

Agar koi eski zakwat ada karna chahay to taak dino me 85512 martba ya behtar hain ki 125000 martba parhlay.jitni tadad me rozana parh saktay ho wo parhliya karay.koi parhez nahi hain.jo bhi khwab aaen kisi se kahay nahi.bad e zakwat rozana 28 martba parhtay rahay takay faiz jary rahay.zawkat k bad sirf 280 martba parh kar maqsad ka taswoor karkay so jaen.insh Allah khwab me haal bata diya jaega.
Lekin upar jo istkhara bataya hain es ibarat ka usmay zaroori nahi hain ki zakwat k bad hi kiya jaen.

Zakwat k bad ap dusron k liye bhi istkhara karnay k kabil ho jaengay.aur asl bat ko na bhulay ki rozana istkhara ki aadat banaye.essay apko bahot faeda hoga aur aapko rohani duniya se kuch milaega.jissay aap hamesha es khadim Amil Samar Ali ko yad karaengay.
 *istkhara me shuru me jald jawab na bhi milay.aap jaisay jaisay kartay jaengay fauran yani pahli rat me hi milta jaega.