Nov 29, 2015

YASEEN SHARIF K AMALIYAT PART 3

Mera dil nahi karta tha ki es silsilay ka 3ra part likha jaen kyu k chor bhi taaq me baithay hain.meray amal ya naqsh ki chori karay mujay koi harz nahi hain lekin wo log thoda sa amal likh kar nichay likhtay hain ki pura amal aur ijazat k liye contact karay aur phir shuru hoti hain loot…!
Khair ek bhai k kai mails aur msg esi part ko lay kar barbar aaen aur us bhai ki baat ko dil se qubool kar main ye part likh raha hun….!

Essay pahlay part 1 aur 2 me surah aayat dar aayat k fawaed likh chuka hun jo aayat 60 tak thay ab essay aagay ki aayaaton k amaliyat w fawaed likh raha hun…!

Meri koshish to ye hain es blog se ki aap khud hi apnay mas’alay hal karay taaki aapko Kisi k pas janay ki zaroorat na rahay.
Amilin ko khuda amilin paida nahi karta.wo apni mahnat se bantay hain.aapko kaha zarorat hain ki aap amil kamil banay Kisi aayat k sahih amil banjaen ek hi aayat aapkay tamam mas’alay hal karnay k liye kaafi hain.bas meray murshid farmatay hain ki takraar takraar takraar ye hi raaz hain amaliyat me.
Wo kabhi manzil nahi pa saktay jo kabhi ye to kabhi wo parhtay rahay.hamaray Aaqa ki talim bhi ye hi hain ki Allah taala ko wo hi wird ya wazifa ziada pasand hain jo daemi taur pe apnaya jaen.
Sab se aala har dard ki dawa hain sallay ala muhammad….!
Khud k khazanon ki qadr nahi hain aaj hamay aur muflis ban kar maray maray firtay hain…!

#61 وَأَنْ اعْبُدُونِي هَذَا صِرَاطٌ مُّسْتَقِيمٌ
Waani oAbudoonee haza siratun mustaqeem.

Es aayat ko hamesha parhtay rahnay se badan pe baal nahi barhtay,yani hajamat bar bar nahi karni parhti.

#62 وَلَقَدْ أَضَلَّ مِنكُمْ جِبِلًّا كَثِيرًا أَفَلَمْ تَكُونُوا تَعْقِلُونَ
Walaqad adalla minkum jibillan kaseeran afalam takoonoo taAqiloon.

Es aayat ko es aayat ko hamesha wird me rakhnay se Allah tala ka karam hota hain aur Gunah muaf ho jatay hain,neki ki taufiq milti hain.

#63 هَذِهِ جَهَنَّمُ الَّتِي كُنتُمْ تُوعَدُونَ
Hazihi jahannamu allatee kuntum tooAadoon.

Maiyat k kafan pe likhi jaegi to mayyat kabr k azaab aur tareeqi se mahfooz rahaega.

#64 اصْلَوْهَا الْيَوْمَ بِمَا كُنتُمْ تَكْفُرُونَ
Islawha alyawma bima kuntum takfuroon.

Dast k mariz ko likh kar paani se dho kar shehad mila kar pilatay rahay shifa hasil hogi.

#65 الْيَوْمَ نَخْتِمُ عَلَى أَفْوَاهِهِمْ وَتُكَلِّمُنَا أَيْدِيهِمْ وَتَشْهَدُ أَرْجُلُهُمْ بِمَا كَانُوا يَكْسِبُونَ
Alyawma nakhtimu Aalaafwahihim watukallimuna aydeehim watashhadu arjuluhum bima kanoo yaksiboon.

Agar khud k Kisi raz k faas honay ka khauf  ho aur jissay zillat ka bhi khauf ho to Allah se khub tauba karay aur es aayat ko kasrat se parhtay rahay insha Allah aapkay haal ki pardaposhi hogi aur raaz faas na hoga.

#66 وَلَوْ نَشَاء لَطَمَسْنَا عَلَى أَعْيُنِهِمْ فَاسْتَبَقُوا الصِّرَاطَ فَأَنَّى يُبْصِرُونَ
Walaw nashao latamasna AalaaAyunihim faistabaqoo alssirata faanna yubsiroon.

Sakht dard kahin bhi ho likh kar bandhay to dur ho lekin pair ya aisay makam pe dard ho jahan par bandhnay se be adabi  to aayt ko 100 martba parh kar ruyee[cotton] pe dam karkay bandha jaen, likh kar na bandhay.

#67 وَلَوْ نَشَاء لَمَسَخْنَاهُمْ عَلَى مَكَانَتِهِمْ فَمَا اسْتَطَاعُوا مُضِيًّا وَلَا يَرْجِعُونَ
Walaw nashao lamasakhnahum Aala makanatihim famaistataAoo mudiyyan walayarjiAoon.

Buray khayat ko roknay k liye esay parhtay rahna chahiye…!

#68 وَمَنْ نُعَمِّرْهُ نُنَكِّسْهُ فِي الْخَلْقِ أَفَلَا يَعْقِلُونَ
Waman nuAammirhu nunakkishu fee alkhalqi afala yaAqiloon.

Garibi aur mohtaji ko khatm karnay k liye rozana bad e fajr be ginti wird karkay dua kiya karay.

#69 وَمَا عَلَّمْنَاهُ الشِّعْرَ وَمَا يَنبَغِي لَهُ إِنْ هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ وَقُرْآنٌ مُّبِينٌ
Wama Aallamnahu alshshiAra wama yanbaghee lahu in huwa illazikrun waquranun mubeen.

Aankhon me dard ho to 7 martba parh kar dono hatho ki pahli ungli pe dam kar kay dono ankhon pe pherliya karay dard khatm ho jaega.

#70 لِيُنذِرَ مَن كَانَ حَيًّا وَيَحِقَّ الْقَوْلُ عَلَى الْكَافِرِينَ
Liyunzira man kana hayyan wayahiqqa alqawlu Aalaalkafireen.

Pathry k liye zafran w mushq se likh kar 7 din ya 21 din dho kar piya karay pathry dur ho jaegi.agar zafran mushq na ho to haldi ko pees kar gulabzal mila kar chhan kar us siahi se likh kar piya karay.


#71 أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا خَلَقْنَا لَهُمْ مِمَّا عَمِلَتْ أَيْدِينَا أَنْعَامًا فَهُمْ لَهَا مَالِكُونَ
Awalam yaraw anna khalaqnalahum mimma Aamilat aydeenaanAaman fahum laha malikoon.

Marz e istisqa[jalandhar] k mariz din me teen martba es aayat ko likh kar dho kar pilaya karay shifa hogi.

#72 وَذَلَّلْنَاهَا لَهُمْ فَمِنْهَا رَكُوبُهُمْ وَمِنْهَا يَأْكُلُونَ
Wazallalnaha lahum faminharakoobuhum waminha yakuloon.

Kisi aurat ko dudh kam aata ho aur bacha sairab na ho pata ho to es aayat ko kagaz pe likh kar achay se pack karkay galay me us aurat ko pahnaya jaen to kaafi mikdar me dudh aaega aur bacha sairab hoga.esi tarha paltu janwar ko dudh kam hota ho to galay me pahna saktay hain.

#73 وَلَهُمْ فِيهَا مَنَافِعُ وَمَشَارِبُ أَفَلَا يَشْكُرُونَ
Walahum feeha manafiAu wamasharibu afala yashkuroon.

Jo bacha bahot rota ho usay likh kar galay me pahnaye.


#74 وَاتَّخَذُوا مِن دُونِ اللَّهِ آلِهَةً لَعَلَّهُمْ يُنصَرُونَ
Waittakhazoo min dooni Allahialihatan laAallahum yunsaroon.

Paaltu janwaron k jhund me agar Kisi waba k faylanay ka imkan ho to es aayat ko likh kar pani se dho kar gulab jal mila kar tamaam janwaron ko chhirka jaen aur ek bottle me bhi dho kar bhar liya jaen aur rozana kuch katray us pani me daltay rahay jismay se tamam janwar pani pitay ho insha allah janwar waba se mahfooz rahaengay…!

#75 لَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَهُمْ وَهُمْ لَهُمْ جُندٌ مُّحْضَرُونَ
La yastateeAoona nasrahum wahum lahum jundun muhdaroon.

Es aayat ko bhi kafan pe likhnay se mayyat azab e qabr se mahfooz rahta hain.
Note: kafan pe es aayat ko multani mitti ko zamzam pe bhigo kar likhi jaen aur aisay likhna hain ki sinay pe aaen.

#76 فَلَا يَحْزُنكَ قَوْلُهُمْ إِنَّا نَعْلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعْلِنُونَ
Fala yahzunka qawluhum innanAlamu ma yusirroona wamayuAlinoon.

Jo shakhs betay ka talabgar ho wo hiran ki jilli pe pak roshnayi se likh kar pack karkay apni bazu pe ya galay me pahanlay.

#77 أَوَلَمْ يَرَ الْإِنسَانُ أَنَّا خَلَقْنَاهُ مِن نُّطْفَةٍ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٌ مُّبِينٌ
Awalam yara alinsanu annakhalaqnahu min nutfatin faiza huwa khaseemun mubeen.

Boriye[kantan] k tukdon ko neela[rang] kar dhup me sukhalay aur phir es aayat ko uspay likh kar pack kakray galay me pahannay se gas ki taklif dur hoti hain.

#78 وَضَرَبَ لَنَا مَثَلًا وَنَسِيَ خَلْقَهُ قَالَ مَنْ يُحْيِي الْعِظَامَ وَهِيَ رَمِيمٌ
daraba lana masalan wanasiya khalqahu qala man yuhyee alAizama wahiya rameem.

Jo behosh ho gaya ho usay 70 martba parh kar dam karay hosh me aajaen.

#79 قُلْ يُحْيِيهَا الَّذِي أَنشَأَهَا أَوَّلَ مَرَّةٍ وَهُوَ بِكُلِّ خَلْقٍ عَلِيمٌ
Qul yuhyeeha allazee anshaaha awwala marratin wahuwa bikulli khalqin Aaleem.

Buri nazar lagi ho to es aayat ko likh kar galay me pahnaye aur 100 martb parh kar dam karay.


#80 الَّذِي جَعَلَ لَكُم مِّنَ الشَّجَرِ الْأَخْضَرِ نَارًا فَإِذَا أَنتُم مِّنْهُ تُوقِدُونَ
Allazee jaAala lakum mina alshshajari alakhdari naran faiza antum minhu tooqidoon.

Dushman parayshan karta ho to paak mitti se takhti bana kar sukhali jaen aur us par aayat mubarik likh kar nichay ye likhay ki elahi mujay meray fulan dushman se nijat ata kar.
Aur bahtay huvay saaf paani me us takhti ko dal de to dushman se nijat hasil ho.

#81 أَوَلَيْسَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِقَادِرٍ عَلَى أَنْ يَخْلُقَ مِثْلَهُم بَلَى وَهُوَ الْخَلَّاقُ الْعَلِيمُ
Awalaysa allazee khalaqa alssamawati waalarda biqadirin Aala an yakhluqa mislahum balawahuwa alkhallaqu alAaleem.

Safar me agar chhor lutairon ka khauf mahsoos hota ho to es aayat e mubarika ko ek ek martba chaaron simt parh kar phoonk de mahfooz rahaengay.

#82 إِنَّمَا أَمْرُهُ إِذَا أَرَادَ شَيْئًا أَنْ يَقُولَ لَهُ كُنْ فَيَكُونُ
Innama amruhu iza arada shayan an yaqoola lahu kun fayakoon.

Marz e athra ki mariza ko likh kar pahnaye aur rozana dho kar pilaya jaen to insha Allah uski aulad jo paida ho kar mar jati ho wo zinda bhi rahengay aur sahih saalim bhi paida hongay.

*marz e athra jis aurat k bachay paida hotay hi marzatay ho uskay liye surah muzammil sharif ka ganda banta hain.wo Kisi amil se tayyar karwa kar aurat ko qamar me bandhna chahiye aur jaisay hi bacha paida ho uskay fauran gusal de kar kaano me azaan de aur wo ganda jo uski maa k galay me tha bachay ko pahna diya jaen.insha Allah bacha zinda rahega.
 *es ganday ko kaisay tayyar kiya jata hain uska tareeqa aaenda kabhi.

#83 فَسُبْحَانَ الَّذِي بِيَدِهِ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيْءٍ وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ
Fasubhana allazee biyadihi malakootu kulli shayin wailayhi turjaAoon.

Tamaam hajat chahay rozi ki ho taraqqi ki ho shadi ki ho ya mulazmat ya khud ka makan ki ya aulad ki har ek hajat k liye es aayat mubarikha ko 350 martba rozana parha karay.

Har amal se pahlay 11—11 martba durood e pak parha karay.

Ye Yaseen sharif k aayat dar aayat mukhtasar se fawaed w amaliyat likhay hain.jo khas zakwat amaliyat w wazaef aur bamuakkal tareeqay hain wo sirf amilin k liye hotay hain esliye yahan likhna duroost nahi agar Kisi ko shauk ho to course join kar saktay hain.

Aapko ye meri mahnat se tayyar ki hui post kai copy paste choron k blog site aur page pe parhnay milaegi.Aap andaza lagaye ki ab tak jis jis page site ya blog pe choro ne copy paste se meri post khud k nam se laga rakhi hain usmay sirf 2 hi part hain.ummid hain ab ye 3ra bhi part lag jaega.

Usay kuch na kahiyega bas sirf samj jana ki ye amil nahi chor hain aur chor e log hoshiyar rahtay hain.




Nov 14, 2015

PLZ VISIT MY NEW BLOG...!

mainay apnay blog readers aur rohani course members k kuch rohani tajurbat ko post karnay k liye ek blog banaya hain aap uski visit karay aur tasoraat dijyega....!
www.rohanitajurbaat.blogspot.com