Oct 7, 2015

MAH MUHARRAM KI 9VI SHAB SHAB E AASHURA KA AMAL HAJAT w MUSHKIL KUSHAYI:








Essay pahlay chand aamal Aashura k likh chuka hun.es martba jo pahli muharram ko bismillah ka amal hain wo 9v muharram ko karay.kyu k muharram ki pahli ko qamar dar aqrab hain.



Aap ki koi aisy haajat ko hasil kanray ya koi barhi mushkil ko hal karnay k liye main yahan kai martba ka aazmuda amal likh raha hun.jo bhi karaengay ummid qawee hain ki panjtan pak k sadqay w karam se zaroor zaroor uski hajat puri hogi aur mushkil aasan.



#TAREEQA:

Ye Hain Ki 9v Muharram Ki Shab Ko Bad Namaz e Isha K Gusal Karkay Pak Kapday Pahanlay Aur Kapdo Pe Khushbu Lagalay.Kisi Tanha Jagah Chahay Kamray Ka Koi Gosha Hi Ho.Ya Masjid Me Kisi Konay Me 2 Rakat Namaz Kada e Hajat Ya Hal Al Mushkilat Ki Niyyat Se Ada Karay Aur Pahli Rakat Me Surah e Fateha K Bad 11 Martba Surah e Ikhlas Parhay Aur Dusri Me 10 Martba Surah e Ikhlas Parhay.Namaz Ka Sawab Panjtan Pak Aur Shohda e Karbala Ko Nazr Karay.

Ab Kalam e Pak Ko Lay Chumlay Phir Bismillah Parh Kar Kholay.Aur Har Satar[Line] Pe Kalmay Ki Ungli Phertay Jaen Aur بسم اللہ الرحمن الرحیم  Bismillah Hir Rahman Nir Raheem Parhtay Jaen.Satar K Harf Awwal Pe Kalmay Ki Ungli Rakhay Bismillah Parhna Shuru Karay Aur Akhri Harf Pe Khatm Karday Ab Dusri Satar Pe Ungli Rakhay Aur Aisay Hi Bismillah Parhtay Aakhri Harf Pe Lay Jaen Es Tarha Har Safay[Page] Pe Har Satar[Line] Pe Kartay Jaen Yahan Tak Ki Surah e Naas Ki Aakhri Seen Pe Khatm Karday.

Aur Phir Allah Ki Bargah Me Dua Mangay Ki Ya Allah Teray Qalam e Pak Ko Dekhnay Ka Chhunay Ka Aur Bismillah Sharif Ko Parhnay Ka Jo Bhi Sawab W Azr Rakha Hain,Hamay Ata Kar Hamari Galtiyon Ko Muaf Farma Aur Jo Bhi Azr o Sawab Hain Wo Main Maula Teray Mahboob Sallallahu Alayhi w Sallam Aur Unki Aal Aur Shohda e Karbala Ko Nazr Karta Hun/Ya Karti Hun.Teray Kalam Ko Aur Bismillah Ko Wasila Bana Kar Teray Mahboob w Shohda e Karbala K Tufayl Meri Fulan Hajat Hain Maula Meri Hajat Puri Farma YaYun Kahay Ki  Meri Fulan Mushkil Ko Aasan Farma.


Dua Mangtay Waqt Koshish Karay Ki Aankhon Me Aansu Aajaen Aur Gidgida Kar Rabb ki Bargah Me Dua Karay.Aur Mah e Muharram Me [Ashq]Aansu Na Aaen Ye Momin Ki Ankhon Ko Gawaran Nahi Hota.Asgar Ki Masoomiyat Ko Akbar Ki Jawani Ko Sugra Ki Tanhayi Ko Yad Karay.Phir Bhi Na Ro Paaen To Apni Kismat Pe Ro Lay Ki Ya Allah Main Teri Aisy Neamat Se Kyu Mahroom Hun…?



Ye Amal Mainay Ek Hamaray Dost Sayyid Sahib [waisay kahnay ko dost kah raha hun hay meray Aaqa ki Aal to har sayyid mera Aaqa hain.] Jo Meray Karib K Muhallay Me Rahnay Aaen Thay.Kiraaye Ka Makan Tha.Ghar Ka Makan Nahi Tha.Ek Din Sayyid Sahib Ne Bataya Ki Samar Bhai Meri Ek Aarzoo Hain Bas Mera Khud Ka Ghar Ho.Aur Mujay Ye Amal Yad Tha Muharram Ka Mahina Karib Tha To Mainay Fauran Bata Diya.

Ye Karib Tisra Muharram Aaraha Hain.

Miya Biwi Dono Ne Hi Alag Alag Ye Hi Amal Kiya Aur Alhamdu Lillah Dono Ki Dua Kubool Ho Gayi Aur Dusra Muharram Aanay Se Pahlay Hi Khud Ka Ghar Ho Gaya Aur Mukim Ho Gaye Hain.

Aur Ab Bhi Wo Har Saal Ye Amal Kartay Hain Aur Kahtay Hain Ki Koi Aarzoo To Nahi Bas Shukrana K Taur Pe Kartay Hain.

Ye Hi Fark Hain Ham Me Aur Aal e Rasool Sallallahu Alayhi w Aale Hi W Sallam Me. Ham Ek Hajat Se Dusri Hajat Ki Talab Me Zindgi Guzar Detay Hain Hirs Pichha Nahi Chhorti Aur Ye Hain Ki Kuch Na Honay Pe Bhi Shikwa Nahi Aur Jo Thoda SA Bhi Hain Uska Shukrana Ada Kartay Thaktay Nahi.



Teri Nasl e Pak Me Hain Baccha Baccha Noor Ka,

Tu Hain Ayn e Noor Tera Sab Gharana Noor Ka…..Ya Rasool Allah sallallahu alayhi w sallam…!





Aap K Bhi Dil Me Ahlay Bayt Ki Muhabbat Hain To Zaroor Aapki Bhi Dua Kabool Hogi Aur Chahay Hajat Ho Ya Mushkil Aasan Hogi.

Agar Khuda Na Karay Aur Nahi Bhi Hui To Dua Kaha Bekar Jati Hain Kuch Aisy Mushkilo Se Larh Padti Hain Jo Hamaray Guman Me Bhi Nahi Hoti Aur Wo Mushkil Ko Rokna Ziada Zarori Hota Hain,To Kuch Ka Azr Hasr Me Intzar Karaega Ki,Azr Paakar Paanay Wala Kah Uthaega Ki Kash Hamari Ek Bhi Dua Kabool Nahi Hui Hoti…!



Quran Ko Dekhnay Chumnay Chhunay Ka Sawab Aur Bismillah Sharif Parhnay Ka Sawab Aur Wo Bhi Aisy Mo’atbar Shab Me ? Kaun Aisa Mauka Hath Se Janay Dega?