Mar 31, 2015

SURAH E YASEEN SHARIF K AMALIYAT PART 2 :


yaseen sharif ko qur,an ka dil kaha gaya hain.aur bepanah faaeday ka hamil hain.har tarha ki haajat rawayi eski tilawat se hoti hain.aur khas esay parhnay se ALLAH taala bahot razi hota hain.ahadis me eskay bahot fawaaed aaye hain.
darmi sharif ki hadis hain ki jo aadmi din k shuru me surah e yaseen pahaega uski tamaam zarooriat puri kar di jaegi.
hazrat ibn abbas radiallahu anho se rivayat hain ki NABI E KAREEM sallallahu alayhi w sallam ne farmaya ki meri tamanna hain ki ye surah(yaseen) har ummati k dil me hoti.

Es say pahlay mainay part 1 me surah e yaseen sharif k ayaton k alag alag fawaed bataye hain aur jo aayat 25 tak thay aaj aayat 26 se main es silsilay ko aagay barha raha hun….

Qeela odkhuli aljannata qala ya layta qawmee yaAlamoona.
Es aayat ko likh kar safar k waqt bazu pe bandh kar jaen to thakaan mahsoos na ho.


Bima ghafara lee rabbee wajaAalanee mina almukrameen.
Sar dard k liye es aayat ko zafran w arq gulab ki siahi se kagaz pe likh kar sar pe bandha jaen ya phir galay me pahnay insha Allah kaisa bhi dard hoga thik ho jaega.


Wama anzalna Aala qawmihi min baAdihi min jundin mina alssamai wama kunna munzileen.
 Jisay qabz ki shikayat ho to mitti k ek dhelay pe es aayat ko 21 martba qabz dur honay ki niyyat se parha jaen aur ek bartan jismay pani bhara ho usmay dal de.jab dhela pigal jaen to wo paani kisi pak saf jagah pe ya ped ki jad me dal diya jaen insha Allah chand din aisa karnay se kaisa hi purana kabz kyu na ho dur ho jaega.


In kanat illa sayhatan wahidatan faiza hum khamidoon
Jo bacha rota rahta ho zid karta ho to es aayat ko likh kar uskay julay me bandhay ya phir sar k nichay sotay waqt rakh diya karay.


Ya hasratan Aala alAibadi ma yateehim min rasoolin illa kanoo bihi yastahzioon.
Dushman se aman hasil karnay k liye esay likh kar apnay pas rakha jaen.


Alam yaraw kam ahlakna qablahum mina alqurooni annahum ilayhim la yarjiAoon.

Esay likh kar sath me rakhnay se hasidin se mahfooz rahay aur rushwa karnay walay khud rushwa ho.bahtar hain ki 30 aur 31 ko sath me likh kar pas rakha jaen taki sahih faeda hasil ho.


Wain kullun lamma jameeAun ladayna muhdaroon.
Jisay jinnat sataata ho parayshan karta ho to ye aayat likh kar pahnay.


Waayatun lahumu alardu almaytatu ahyaynaha waakhrajna minha habban faminhu yakuloon.
Jisay bars sufaid daag ki bimari ho esay zafran w arq gulab se likh kar bandhay aur subah sham pitay rahay to insha Allah es marz se nijat hasil ho.


WajaAalna feeha jannatin min nakheelin waaAnabin wafajjarna feeha mina alAuyoon.
Dushman mukhalifin ki zuban bandi k liye es aayat ko kaali roshnayi se likh kar wazni patthar se daba kar kisi andheri jagah rakh de.
*aayat k nichay mukhalifin k naam aur maqsad likhay.


Liyakuloo min samarihi wama Aamilathu aydeehim afala yashkuroon.
Es aayat ko likh kar mayyat k kafan me rakh de to mayyat k azab e qabr se mahfooz rahnay ki ummid hain.


Subhana allazee khalaqa alazwaja kullaha mimma tunbitu alardu wamin anfusihim wamimma la yaAlamoon.
Nakseer yani nak se khoon bah raha ho aur band na ho raha ho to kalmay ki ungli se peshani pe es aayat ko likhay to khoon bahna band ho jaega.

#37. وَآيَةٌ لَّهُمْ اللَّيْلُ نَسْلَخُ مِنْهُ النَّهَارَ فَإِذَا هُم مُّظْلِمُونَ
Waayatun lahumu allaylu naslakhu minhu alnnahara faitha hum muzlimoon.
Jo ye chahta ho ki uskay ghar walay aur digar jo unsay milnay walay sath kaam karnay walay log hain wo uski bat maana karay to es aayat ko tanhayi me 300 martba rozana parha karay.

#38. وَالشَّمْسُ تَجْرِي لِمُسْتَقَرٍّ لَّهَا ذَلِكَ تَقْدِيرُ الْعَزِيزِ الْعَلِيمِ
Waalshshamsu tajree limustaqarrin laha zalika taqdeeru alAazeezi alAaleem.
Dushman ko beizzat karnay k liye jab bhi dushman ko dekhay es aayat ko dil me parhna shuru karday dushman be izzat ho jaega.
#39. وَالْقَمَرَ قَدَّرْنَاهُ مَنَازِلَ حَتَّى عَادَ كَالْعُرْجُونِ الْقَدِيمِ
Waalqamara qaddarnahu manazila hatta Aada kaalAurjooni alqadeem.
Jo diwana ho gaya ho usay es aayat ko likh kar bandha jaen aur likh kar dho kar pilatay bhi rahay to insha Allah thik ho jaega.

#40. لَا الشَّمْسُ يَنبَغِي لَهَا أَن تُدْرِكَ الْقَمَرَ وَلَا اللَّيْلُ سَابِقُ النَّهَارِ وَكُلٌّ فِي فَلَكٍ يَسْبَحُونَ
La alshshamsu yanbaghee laha an tudrika alqamara wala allaylu sabiqu alnnahari wakullun fee falakin yasbahoon.
Jumerat guzar kar jo jumua ki raat aaen usmay aadhi rat yani karib 2 bje uth kar es aayat ko 7 martba parh kar Allah se apni jaez hajat talab karay insha Allah dusra jumua se pahlay puri ho jaen.
#41. وَآيَةٌ لَّهُمْ أَنَّا حَمَلْنَا ذُرِّيَّتَهُمْ فِي الْفُلْكِ الْمَشْحُونِ
Waayatun lahum anna hamalna zurriyyatahum fee alfulki almashhoon.
Jo esay hamesha wird me rakhay pul sirat se b aasani guzar hoga.

#42. وَخَلَقْنَا لَهُم مِّن مِّثْلِهِ مَا يَرْكَبُونَ
Wakhalaqna lahum min mislihi ma yarkaboon.
Aaqa e dojahn huzur Nabi e mukhtar sallallahu alayhi w sallam k khwab me deeear k liye es aayt ko rozana 30 martba 30 rat tak pak saf halat me pak saaf bistar pe aur pak saf libas aur wo bhi khushbu me basa huva ho pahan kar ba adab parh kar soya karay Allah chahay to didar nasib ho.
*pahlay ishq e nabi sallahu alayhi w sallam se sinay ko tar karliya jaen sachi muhabbat aqidat paida karli jaen aur phir kisi ashiq e rasool sallallahu alayhi w sallam se es amal k aadab daryaft kiye jaen aur durood o salam ki kasrat ki jaen tab es amal ki zurrat ki jaen.

#43. وَإِن نَّشَأْ نُغْرِقْهُمْ فَلَا صَرِيخَ لَهُمْ وَلَا هُمْ يُنقَذُونَ 
Wain nasha nughriqhum fala sareekha lahum wala hum yunqazoon.
Es aayat ka wird kartay rahnay se iman kamil hota hain aur baa imaan maut nasib hoti hain.
#44. إِلَّا رَحْمَةً مِّنَّا وَمَتَاعًا إِلَى حِينٍ
Illa rahmatan minna wamataAan ila heen.
Es aayat k wird se gunah se nafrat hoti hain.

#45. وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ اتَّقُوا مَا بَيْنَ أَيْدِيكُمْ وَمَا خَلْفَكُمْ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
Waiza qeela lahumu ittaqoo ma bayna aydeekum wama khalfakum laAallakum turhamoon.
Es aayat ka wird hamesha kartay rahnay se saari khamiya dur ho aur aisi tabdili ho ki log hairat me padjaen.

#46. وَمَا تَأْتِيهِم مِّنْ آيَةٍ مِّنْ آيَاتِ رَبِّهِمْ إِلَّا كَانُوا عَنْهَا مُعْرِضِينَ
Wama tateehim min ayatin min ayati rabbihim illa kanoo Aanha muArideen.
Es aayt ko rozana wird me rakhnay se kabhi kisi ka mohtaj w tangdast na ho.
#47. وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ أَنفِقُوا مِمَّا رَزَقَكُمْ اللَّهُ قَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِلَّذِينَ آمَنُوا أَنُطْعِمُ مَن لَّوْ يَشَاء اللَّهُ أَطْعَمَهُ إِنْ أَنتُمْ إِلَّا فِي ضَلَالٍ مُّبِينٍ
Waiza qeela lahum anfiqoo mimma razaqakumu Allahu qala allazeena kafaroo lillazeena amanoo anutAimu man law yashao Allahu atAamahu in antum illa fee dalalin mubeen.
Es aayt ko rozana wird kartay rahnay se Allah taala qabr k sawal us par aasan kar deta hain.

#48. وَيَقُولُونَ مَتَى هَذَا الْوَعْدُ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ
Wayaqooloona mata haza alwaAdu in kuntum sadiqeen.
Es aayat ko likh kar apnay pas rakhnay se pani me dubnay gark honay se aman rahay.
#49. مَا يَنظُرُونَ إِلَّا صَيْحَةً وَاحِدَةً تَأْخُذُهُمْ وَهُمْ يَخِصِّمُونَ
Ma yanzuroona illa sayhatan wahidatan takhuzuhum wahum yakhissimoon.
Es aayt ko likh kar rakhnay se har aafat bala accident se teer talwar bomb goli se mahfooz rahay.
#50. فَلَا يَسْتَطِيعُونَ تَوْصِيَةً وَلَا إِلَى أَهْلِهِمْ يَرْجِعُونَ
Fala yastateeAoona tawsiyatan wala ila ahlihim yarjiAoon.
Es aayat ko jo kasrat se wird karta rahay to uska batin khul jaen aur ajib o garib raz uspay khulnay lagay.
#51. وَنُفِخَ فِي الصُّورِ فَإِذَا هُم مِّنَ الْأَجْدَاثِ إِلَى رَبِّهِمْ يَنسِلُونَ
Wanufikha fee alssoori faiza hum mina alajdasi ila rabbihim yansiloon.
100 martba durood e pak parhay aur phir es aayat ko jitna dil chahay parhlay aur aakhir me dua karay insha Allah dua kabool hogi.

#52. قَالُوا يَا وَيْلَنَا مَن بَعَثَنَا مِن مَّرْقَدِنَا هَذَا مَا وَعَدَ الرَّحْمَنُ وَصَدَقَ الْمُرْسَلُونَ
Qaloo ya waylana man baAasana min marqadina haza ma waAada alrrahmanu wasadaqa almursaloon.
Jisko dushman bahot sata rahay ho aur wo apni harkaton se baz na aarahay ho to es aayat ko nausadar par ya phir phatakay k barood par dushman k aadad k barabar parh kar dam karay usay rozana aag me dal diya karay.teen din tak karay.insha Allah dushman apni harkaton se baz aajaega agar phir bhi apni harkat na chhoray to khud nuqsan uthaega.
#53. إِن كَانَتْ إِلَّا صَيْحَةً وَاحِدَةً فَإِذَا هُمْ جَمِيعٌ لَّدَيْنَا مُحْضَرُونَ
In kanat illa sayhatan wahidatan faiza hum jameeAun ladayna muhdaroon.
Es aayat ko pas rakhnay se dushman nuqsan na pahocha sakay.

#54. فَالْيَوْمَ لَا تُظْلَمُ نَفْسٌ شَيْئًا وَلَا تُجْزَوْنَ إِلَّا مَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَ
Faalyawma la tuzalamu nafsun shayan wala tujzawna illa ma kuntum taAmaloon.
Es aayat ko likh kar pas rakhnay se zahrilay janwaron aur darindon se hifazat ho.
#55. إِنَّ أَصْحَابَ الْجَنَّةِ الْيَوْمَ فِي شُغُلٍ فَاكِهُونَ
Inna ashaba aljannati alyawma fee shughulin fakihoon.
Es aayat ko likh kar pas rakhnay se dushman khaufzada  rahtay hain.
#56. هُمْ وَأَزْوَاجُهُمْ فِي ظِلَالٍ عَلَى الْأَرَائِكِ مُتَّكِؤُونَ
Hum waazwajuhum fee zilalin Aala alaraiki muttakioon.
Es aayt ko pas rakhnay se kabi mohtaj w tangdast na ho.

#57. لَهُمْ فِيهَا فَاكِهَةٌ وَلَهُم مَّا يَدَّعُونَ
Lahum feeha fakihatun walahum ma yaddaAoon.
Es aayat ko sath rakhnay walay k maal aur umr me barkat hogi.
#58. سَلَامٌ قَوْلًا مِن رَّبٍّ رَّحِيمٍ
Salamun qawlan min rabbin raheem
Har tarha ki salamati hasil karnay k liye umr daraz k liye wird kartay rahna chahiye aur eskay wird karnay walay ko shaheed ka sawab milta hain.
*es aayat k beshumar fawaed aur amaliyat hain jisay aaenda kabhi likh dunga,insha Allah.


Waimtazoo alyawma ayyuha almujrimoon
Gunahon se bachnay ki niyyat se es aayat ko parhtay rahnay se batin ki safayi hoti hain.


Alam aAhad ilaykum ya banee adama an la taAbudoo alshshaytana innahu lakum Aaduwwun mubeen.


Logon ki nazaron me izzat hasil karnay k liye esay likh kar apnay pas rakhay.insha Allah jahan jaen log izzat se pesh aaya karay.

61 SE 83 AAYAT NXT PART ME JALD HI LIKH RAHA HUN....