Feb 16, 2015

CORONA VIRUS-SWINE FLU W DIGAR WABAA SE HIFAZAT K LIYE NAQSH:




Sab se pahlay to Allah shaafi o naafi ki bargah me dua hain ki jo swine flu nami janleva bimari duniya bhar me fayly hain tamaam mominin ko ussay hifazat w aman ata karay.kaha jata hain ki doctors k pas es bimari ki koi dawa nahi.Lekin Qalaam e elahi me qiyamat tak aanay wali har bimari marz ki dawa maujud hain.Allah k Rasool sallallahu alayhi w aalhi w sallam ne Hadis e pak me bhi hamay kuch ahtiyati taur par bala mushibaton se bachnay k nuskhazat ata kiye hain.jissay hamari jismani w roohani w maali hifazat hoti hain.
jaisay hadis me dua hain....

بِسْمِ اللّٰہِ عَلٰی دِیِنی وَنَفسِی وَوَلَدِی وَاَھلیِ وَمَالیِ  
Bismillahi Ala Deeni Wanafsi Wa waladi wa Ahli w Maali

es dua ko parhnay se Allah uskay imaan jaan aulad ghar walon ki hifazat karta hain.
es dua ko subah w sham 3--3 martba parhliya karay.insha Allah aap aur aapkay ahl o ayyal es swine flu  w digar bimariyon w aafat w bala se bachay rahaengay.
es tarha ki hadis me aayi kai dua ko aur usay parhnay ka tareeqa  Imam Ahmad Raza Radiallahu anhu ne apnay risalay "Al-wazifatul kareema me naql ki hain aur ye risala net me available hain aap esay download kar k esay apnay mamool me shamil karlay insha Allah bahot faeday hasil hongay.
aur hadis e pak me aaya hain ki huzur sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ne farmaya ki jo shakhs har mahinay mutwateer 3 din subah nihar munh shehad chaatlay.esay koi bimari nuqsan na pahochaye.
mahsa allah kitna pyara nuskha bataya hain hamaray Aaqa ne hamay.agar musalman espay amal paira ho jaen to kabhi mohliq bimariyon aur musibaton ka shikar na ho.aur chantnay ka tareeqa ye hain ki har mah me 3 din tak subah nihar munh yani bagair kulli ya brush kiye ultay hath me ek chamch shehad lay aur kalmay ki unli se bismilla parh kar shehad teen martba me chantlay.aur aisay hi apnay ghar k digar afraad chotay barhay ko bhi tarkeeb dilaye.

Hadis e pak ki ek aur dua likh raha hun.agar esay bhi apni aadat banalay to insha Allah aap kabhi mushibat k shikar nahi hongay.
es dua ko zubani yad karlijye
الحمد للہ الذی عافانی مّما ابتلاك به وفضلى على كثيرٍ ممن خلق تفضيلا 
‘Alhamdulillah hillazi aafani mim mabtalaka bihi wa
faddalani ala kaseerim mimman khalaqa tafzeela.

phir jab bhi kisi musibatzada ko ya bimar ko dekhay to ye dua ek martba parhlay.insha Allah tamaam umr wo musibat ya marz aapko nahi lagaega.ye dua ki kabooliyat me koi shak nahi kyu ki mukhtar e do Allam hayaatun nabi khatemul ambiya aur Gaibda nabi sallallahu alayhi w sallam ki talim karda dua hain, Tirmizi, Ibn-e-Maaja & Tibraani me maujud hain.

Allah taufiq de to esay apni zindgi me apna lay aur khud ko bala musibaton se mahfooz karlay.

Ab yahan jo naqsh  diya hain mainay usay aap agar apnay hath se ya kisi se likhwa saktay hain to likhwa kar ya phir scans karkay nikal lijye aur apnay ghar k main gate darwajay pe chipka de.insha Allah aapka ghar tamaam wabaayi bimariyon se aur aafat bala se mahfooz rahaega.
naqsh ko chipka kar Hazrat Imam JaafarSadiq w mujaddid e Alfsaani radiallahu anhum ki niyaaz kisi mitthi shay pe dilwaye aur bachon me taqseem karday.aur haftay me ek bar zaroor loban ki ya loban agarbatti ki dhuni de diya karay.
Allah se dua hain ki Wo panjtan pak k tufayl tamaam momin k imaan izzat sehat maal w ayaal ki hifazat farmaen.aameeN


**es naqsh ki choti copy nikal kar blue color k kapday me pak karkay galay me pahannay se bhi har bala aafat aseb hadsat se hifazat hogi insha Allah.