Feb 3, 2015

DAAF E MARZ amal surah e fateha:

DAAF E MARZ :amal su.fateha sharif:
sarkar gareeb nawaz rahmtullah alay farmatay hain ki har bala aafat se nijat k liye su.fateha sharif ko ziada se ziada parho.aur eskay liye aap sarkar ne ek tareeqa bhi bataya hain ki bismillah ki aakhri meem ko alhamdu k laam se milakar parhna jaen.shifa ul amraaz k liye sab se behtar kam me aanay wali surah surah e fateha hain.chishty silsilay me es surah ka khas chilla karwaya jata hain aur hamaray buzurgan esay makhfi rakhtay hain.aur waqiy wo ye makhfi rakhnay wali chiz hain.
ab yahan main ek daaf e marz ka zood asar tareeqa byan karta hun.
ye kisi bhi la elaj marz pe kargar ho ta hain.
surah e fateha sharif ko fajr ki sunnat w farz k darmyan bismillah k sath jo mainay upar likha meem aur laam milakar 41 martba parhay.
ab esmay 4 baato ka khyal rakhna hain...
1.bismillah k aakhri meem ko alhamdu k laam k sath milakar parhay.yani yun parhay.....

Bismillah hir rahman nir raheemilhamdulillahi.....puri surah.
2.arrahmanir raheem ko 3 martba dohraye,aur khuda e ta,al ki es sift ka khyal karay.
3.Iyyaaka na’abudu wa iyyaaka nasta’een ko 3 bar dohraye aur yahan apanay maqsad ka khyal karay.aur ALLAH se dil me dua ka bhi khyal karay.
4.aakheer me Aameen 3 bar kahay.
awaal o aakhir 11-11 bar durud e pak parhay.
mariz ko dawa aur pani pe dam karkay estemal karwaya jaen.
yakeen se karay,41 din me shifa ho jati hain,aur 3re din se hi fark nazar aaega.
amal k dauran fajr se pahlay uth jaen ki fajr ki sunnat awal waqt me parh le aur farz se pahlay 41 martba su.fateha parhlay.agar koi majboori hain to isha ki sunnat aur farz k darmiyan parhlay.
>es amal se apni murad bhi esi tarkeeb se hasil ki ja sakti hain.