Jun 26, 2014

MARZ SE NAJAT LA ELAJ BIMARIYON SE NAJAT:

Aaaj din b din duniya me laelaj bimariyan paida ho rahi hain aur log uskay shikar ho rahay hain.aur dawayi k kharchay uthatay uthay mariz k sath mariz ko bachanay k liye gharwalay bhi Qarz k marz me mubtila ho jatay hain.aur ye bhi laa elaj marz hain.Allah se dua hain ki ahl e bayt k tufayl kisi ko qarz k marz me mubtila na karay.ye bhi barha bhayanak marz hain.
khair ye amal jo likh raha hun en dono marz ka elaj hain.
khuda na khwasta kisi k ghar bimari lagi hain dawa asar nahi kar rahi hain to dawaaon k sath sath aap ye rohani amal bhi shuru karday.insha Allah agar marz k aasaar k sath hi karday to aapkay paisay bhi ziada dawaayi vigera me nahi jaengay aur mariz bhi jald shifayab ho jaega.aur aisa nahi ki ye jo amal main likh raha hun wo sirf la elaj marz pe hi kiya jaen.kisi bhi bimari me kar saktay hain.bukhar me bhi karay.zaroor faeda hoga.
aap yun karay ki rozana rat ko ek tasbeeh le kar mariz k sirhanay
kharay ho jaen aur 101 martba 'ya salaamu' ka wird karay.11-11 martba
durood e pak k sath.
parhtay waqt ye khyal rakhye ki tasbeeh mariz k sar se chhuti
rahay.jab khatm ho jaen to dua maang kar tasbeeh mariz k sirhanay
takiye k nichay rakh de.
aisa aap rozana kartay rahay.aur fajr ki sunnat w farz k darmiyan 41
martba surah e fateha parh kar pani pe dam karkayt pilaye.
par har bar  bismillah ko surah fateha se mila kar parhna hain yani aisay
Bismillah hir rahman nir raheeMILhamdulillahi rabbil aalameen....puri
surah aisay har bar parhna hain.aur 11-11 durood e pak parhay.

aur amal se pahlay hasbay hasiyat sadqa zaroor de de taki jald shifa hasil ho.

aur aisay hi Qarz k Marz ko dur karnay k liye aap rozana fajr ki sunnat w farz k darmiyan upar likhi tarkeeb  k mutabiq surah e fateha sharif 41 martba parha karay.insha Allah bahot jald Allah asbaab paida kardaega.aur aasaaniya ho jaegi.
aur khas baat ye ke marz ho ya karz sirf roohani amal pe bharosa kar kay na baithay marz hain to sath me dawaayi bhi estemal karay aur qarz hain to mahnat w koshish karay.aksar mainay dekha hain ki jo log qarz me hotay hain amal mangtay hain aur bas tasbeeh le kar masjid ya ghar ka kona pakad letay hain.aisa nahi karna jhamat karongay to rahmat nazil hogi aur sab aasaniya ho jaegi.
Allah se dua karay ki wo parayshaniyon se sab ko mahfooz rakhay aur maah ramzan aaraha hain agar Allah ne nawaja hain to apnay rishtaydaron ki zaroor khabar le ki koi parayshan to nahi kisi ki izzat to daaw par nahi?tumhari thodi si madad kisi musibat zada ko bikharnay se uskay waqar ko barkaraar rakhnay pe madad dega.ho sakta hain kuch galtiyon ki wajah se koi es marz yani qarz ka shikar huva ho.ab wo sudharna chahta ho.muhabbat se madad kardo aur maukay pe mauka detay raho Allah bhi to de raha hain ham bando ko.kaun nekokaar hain aur kaun badmash sab janta hain phir bhi rizq bhi deta hain aur neamatay bhi.aaj rah pe aaega kal aaega.to phir ham kaun hain,munh dekh kar denay walay neki badi dekh kar denay walay.
Allah sab ko mohtaji se bachaye aur sab ki mah e mubarak k sadaqay izzat w waqar ki hifazat karay.mainay kai ghar chand rupay ki khatir ujadtay dekha hain.apno ki zara si andekhi ek maa se beta ek biwi se shohar aur betay betiyon se walid ka saaya uthtay dekha hain.tazaa dakhila dekha hain esliye likha hain.
ek dusray ki madad zaroor karay....!

MAH E RAMZANUL MUBARIK



Pahli chand dekh kar karnay ka amal:
SAAL BHAR AMAN O AMAAN ME RAHNAY K LIYE:
Allah ki karoro rahmatay le kar momino aur gunahgaron k liye khushiyon ka paigam le kar Maah e Ramzan aaraha hain.Allah hamay es maah ka ahtaraam karnay ki taufiq bakshay…aameen.
Yahan main aap sab k liye waqt nikal kar ek aasan par puray saal ki jhamaton se bachanay wala amal likh raha hun.ummid hain ki aap es maah ki raat se hi es maah ki barkatay jutaanay me mashrof ho jaengay es amal se hi…!
Jab maah ramzan sharif ka chand nazar aaen to uskay samnay kharay ho kar 3 martba surah e fat’h sharif Inna fatahna laka fathan mubeenanpuri surah ko parhna hain.
Aur Allah se dua mangay ki apnay habib e kareem w mah e mubarik k tufayl aapko tamaam saal aman o amaan ata karay.

***jo haj ka khwaeshmand ho aur koi zariya na ban raha ho usay chahiye ki wo har roz 11 martba es surah ko parha karay[surah e fat'h] aur dua maanga karay insha Allah 40 din k es amal se uska gaib se koi na koi zariya ban jaega.

***HAR MAAH RANJ O GHAM SE MAHFOOZ RAHAY:
Jo shakhs chand dekhnay pe har maah 17 martba surah e muzammil sharif aur 1 martba surah e mulk parhlaega.rizq me barkat aur koi ranj w gham na pahochaega.
Es ramzan se shuru karay aur har maah ki aadat banalay.ye amal chand ki rat me karna hain chahay magrib bad karay ya isha k bad.aur chand k samnay kharay ho kar karna zaroori nahi.

Apni dua me es gunaahgaar ko shamil rakhnay ki koshish kijyega….!

Jun 12, 2014

MAAH SHABAN :MAGRIB K BAD KI 6 RAKAAT aur kuch aamal

ye Auliy e iqram k mamolat se hain.kyu k es raat lof mahfooz se insan ki takdeer utarti hain aur  firishtay ko de di jati hain,saalbhar me honay wali maut milnay wala rizq sab likha ja chuka hota hain.esliye auliya e iqram magrib se pahlay ye 6 rakaat ada kiya kartay thay.
14 ki magrib k farz w sunnat ki adaegi k baad 2-2 rakaat ki niyyat se ye 6 rakaat alag alag niyyat se ada ki jati hain.
pahli do rak,at ki niyyat ye karay ki ya Allah en do rak,atay ki barkat se mujay darazi e umr bil khair ata kar.
dusri rak,at ki niyyat ye karay ki ya Allah en do rak,at ki barkat se balaaon se meri hifazat farma..
tisri do rak,at ki niyyat karay ki ya Allah en do rak,at ki barkat se mujay apnay siva kisi ka mohtaj na karna.
en rak,aton me su.fateha k bad 3-3 martba su.ikhlas parhi jaen aur har do rak,at k bad ek martba su.yaseen sharif parhi jaen.aur ye bhi ho sakta hain ki koi ek buland aawaz se parhay aur dusray hazirin tawojah se sunlay.
aur har martba yaseen sharif k b,ad ek martba 'dua e nisf shaban' bhi parhi jaen.


Allaahumma Yaa Zal-manni wa laa yamunnu 'alayh, yaa Zal-jalaali wal-ikraam, yaa zat-tawli wal-'in'aam. Laa ilaaha illaaa Anta Zahrullaajiinaa, wa jaarul-mustajiiriina, wa Amaanulkhaa-'ifiin.

Allaahumma in kunta katabtanii 'indaka fii 'ummil-kitaabi shaqiyyan 'aw mahruuman 'aw matruudan 'aw muqattaran 'alayyna fir-rizqi famhu..

Allaahumma bi-fazlika shaqaawatii wa hirmaanii wa tardii waqtitaara rizqi, wa 'asbitnii 'indaka fii 'ummil-kitaabi sa'iidam-marzuuqammuwaffaqal-lil-khayraati, fa innaka qulta wa quwlukal-haqqu, fii kitaabikal-munzali, 'alaalisaani Nabiyyikal-Mursali, yamhullaahu maa yashaa-'u wa yusbitu wa 'indahuu 'ummul kitaab 'Ilaahi bit-tajallyil-'a-zami, fii laylatinnisfi min shahri sha'baanal-Mukarrami, 'allatii yufraqu fiihaa kullu 'amrin hakiiminw-wa yubramu, 'an takshifa 'annaa minal-balaaa-'i wal balwaaa-'i maa na'lamu wa maa laa na 'lamu, wa Anta bi-hii 'a'lam. Innaka Antal-'a'azzul-Akram. Wa sallalaahu ta'aalaa 'alaa sayyidinaa Muhammad-dinw-wa 'alaaa 'aalihii wa sahbihii wa sallama Wal-Hamdu lillaahi Rabbil-Aalameen.
Aameen…ya rab al aalameen… bi jahi sayyed al ameen, imam al ambiya wal mursaleen!
  
 KUCH AUR AAMAL:
Buzurgaan ne bhi tareeqa bataya hain ki 14 vi ko ayn azaan e magrib se pahlay 40 martba qibla rukh ho kar
La hawla wala quwwata illa billahil aliyil azeem
Parhlay to saalha saal k gunaf muaf ho jatay hain aur saal bhar ghar me w karobar me barkatay nazil hoti rahti hain.
Ek namaz bhi es maah ki khas hain jiski tarkeeb Janab e Fatema tuz Zahra radiallahu anha se hain.aur aap radiallahu anha farmati hain ki jo ye namaz parh kar aap ko hadiya karaega wo aap radiallahu anha k sath jannat me hoga.
Namaz ki tarkeeb ye hain ki 8 rakaat namaz ek salaam se parhni hain.har rakat me su.fateha k bad su.ikhlas 11 bar parhna hain.aur har do rakat k bad atahiyyat parh kar uth jaen aur salaam 8vi rakat me pherkar eska hadiya hazrat fatema radiallahu anha ki rooh e paak ko nazar karay.ye namaz puray mahinay me kabhi bhi kisi bhi raat ko parh saktay hain.chahay to rozana parhay ya haftay me ek bar parhay jo bhi aapko taufiq milay.parhiyega zaroor. Es raat shab e bedari karna bhi afazal hain,salat durood istighfar me mashgool rah kar rat guzaray.

SAAL BHAR JADU SE HIFAZAT:
es maah me jo 15 vi shab me 7 pattay BAIR k darakht[sidra] se tod kar  pani me ubaal kar us pani se gusl karay to saal bhar jadu ki bala se aman o amaan me rahay.


*es raat me muj gunahgar k haq me mere murshid k haq me khas dua kijyega...!

Jun 5, 2014

RIZQ ME BEHAD BARKAT HO AUR HAR ZAROORAT ME GHAIBI MADAD HO.




Eskay liye jumua k din ek namaz khas hain aur agar koi har jumua ko es namaz ko apna mamol banalay ya har maah Nauchandi Jumua ko ya chand 1 se 10 darmiyani jumua me parhay  to kabhi rizq k liye koi dusra wazifa ya chilla karnay ki zaroorat hi na parhay.aur aagay ja kar ye uskay liye gaibi imdad ya dast e ghaib ban jaega.es namaz ki barkat se Allah rizq k darwajay khol dega aur gumaan se ziada dega.kisi k mohtaj na karaega
Wo walidain jissay waqt ne sataaya hain aur auladay khayal nahi rakhti wo es namaz se madad hasil karay.Allah aisy jagah se bandobast farma dega ki jiska usay gumaan bhi na hoga.aur wo log  jissay uskay walidain kisi bhi tarha khafa hain ya walidain se bad salooki kartay hain uskay liye Amil SamarAli k  kisi amal ki ijazat nahi aur karaengay to asar ulta hoga.esliye behtar hain ki koi bhi amal se phlay ,agar walidain khafa hain to muafi manglay.aur har amal se ya chillay se pahlay walidain se kamyabi ki dua karwani chahiye.aaj jagah jagah pe jo murshid banatay phirtay hain.pahla murshid to maa aur baap hain.usay razi karo.phir murshid ki khidmat karo.

Ab   

khuda ki zaat aur buzorgan e deen k batayi es namaz pe bharosa rakhay aur eska daaman tham le.Allah to kareem hain,banday k hath uthanay k intzar main ki kab koi uska banda mangay aur kab wo ata karday.chahay wo gunaho ki muafi ho sehat ho qarz ho ya rizq ho.mangnay k salikay se maanga jaen jo hamay nabi sallallahu alayhi w sallam ne aur hamaray waliyon ne bataya hain.dhang se mango har chiz milti hain.gunahgaaron ko nahi milta parhez garon ko milta hain,bhul jaon tum kaun ho.sirf yad itna rakho ki denay wala kaun hain.uski yaad me kho kar maango.tum jo bhi ho usay dena hain.ye kah kar maanglo ki maula main to teri rahimi karimi dekh kar maangnay aaya hun mere aibo ko na dekh mere gunaho ko na dekh.teri rahimi karimi se ata karday.

Phir dekho ki rab e kareem w gaffar ki kaisy rahmat barsati hain.

Ab asli baat ye hain ki aaj ek asadar namaz e wus’at e rizq w dast e gaib batanay ja raha hun .

Chasht k waqt ya b,ad e jumua 2 rakaat wus’at e rizq parhay.

Pahli rakat me surah e fateha k bad 3 bar su.ikhlas

1000 martba یا رحمن  Ya Rahman,

1000 martba  یا رزاق Ya Razzaq,

1000 martba  یا وھاب  Ya Wahaab.

Parhay aur dusri rakat me surah e fateha k bad,

3 bar surah e ikhlas aur

1000 martba   یا رحیم Ya Raheem.

Parhay.aur bad e salam 100 martba durud e tunajjina sharif parhay.

Insha Allah rizq me barkat w wus’at nasib hogi.
*agar aap ginti namaz me yad nahi rakh saktay to aap ek bar dekhlay ki 1000 martba parhnay me aapko kinta waqt lagta hain.bas andajtan utnay waqt tak parhtay rahay.