Nov 24, 2014

JAADU SAHAR SIFLY SE NIJAT HASIL KARNAY KA BEHTARIN AMAL:



Jaadu karna karwana ya ussay elaj karwana haraam hain aur jadu zehar hain aur usmay faeda nahi dono jahan me nuqsan hain aur imaan w aakhirat ka tabah honay ka khatra rahta hain.ziadatar log kahtay hain ki lohay ko loha katataa hain.aur ye mishal dekar ye samjaya jata hain ki jadu ya sehar ya sifly ki kaat sirfligar ya jadugar se hi mumkin hain.maazallah….!aur afsoos es baat ka hain ki ye alfaz ek musalmaan k munh se sunnay me aatay hain.
Jaadu meray Aaqa sallallahu alayhi w sallam par huva tha.aur uski kaat k liye Allah ne do surah nazil farmayi surah falaq w naas.aur Es surah se jadu ko kaata gaya aur taalim ummat ko di gayi ki duniya k kisi bhi jadu ka hara neela kala safaid sifly shaitani ka tod es do surah me maujud hain.Aaqa e do jahan pe sehar ka asar hona aur uski kaat k liye ye do suratay nazil hona ek raaz hain aur ummat ki bhalayi ki khatir tha.ummat ko dars tha.
Sahar ho jadu ho ya sifly ho asar to meray Rab k hukm se hota hain.agar wo Rabb na chahta to jadu Asar dikha pata? Hargiz nahi.lekin ummati ko jadu k wajod ka pata chalay aur uski kaat ki talim milay ye do surah milay ye maslihat thi.  
 Jaadu ek zahrila saanp hain.jo esay paalta hain ye usay bhi nahi chhorta aur qabr w aakhirat ka jo phal milaega wo to aur baat hain.jadugar duniya me bhi chain ki nind khud nahi so sakta.  
Meray murshid e pak k maqsad ko anjam denay k liye ye blogs banay hain. aur ye aam logon k liye hain koi khas k liye ya amilin k liye nahi.aisay amal likhay jatay hain jisay aam insan aur kam ilm rakhnay walay hazraat bhi faeda utha sakay aur  karnay me faeda ho aur na ki ham koi aisay amal batatay hain jissay logon ko parayshani ka samna karna parhay.ham jinn k giroh ko pakad kar qaid me rakhnay k dawaydar nahi na giroh dar giroh ko jalanay walay hain.Amil samarAli khud ek aam insan hain aur dil aur raat aapki tarha chaltay firtay hain duniya me hi rahta hain koi aasmani sair karnay nahi jaatay na kisi ko aisay sapnay dikhatay hain.sida saada kaam hain aur sida sada rasta dikhatay hain.
Ab kisi ko hasad ki aag ho ya shayid dusray ki khair khwani ka jazba k sabb ya khud ko amil kamil sabit karnay me kuch bakwas kartay phirtay hain.mera Gaus jaanay wo jaanay. 

Ab asal baat ye hain ki jo log bandish jadu sahar ya sifly k shikar ho karobar pe waar ho ya khud par ya ghar me main aapko usssay nijat ka aasan aur asardar tareeqa bata raha hun.jisay aap khud karay kisi amil ya kisi maulvi ki zaroorat nahi.aap khud hi apna elaj karay aur qalam e elahi ka asar dekhay.

TAREEQA :
7 masjidon ka paani   ya 7 kuway ka paani  ya 7  mukhtalif  ka paani ya 7 gharon ka paani ya ba majboori koi bhi paak paani lay saktay hain.baris ka pani bhi lay saktay hain.
Paani ko saamnay rakh kar chand agarbatti ko jalakar  awal o aakhir 11 – 11 durood e pak k sath aapko  Surah e Yaseen parhna hain.
Yaseen sharif ko parhnay ki tarkeeb  ye hain ki jab parhtay huvay pahlay mubeen pe aaen to mubeen k baad 11 martba surah e naas sharif ko parhay.aur paani pe dam karday.
Phir mubeen se aagay parhna shuru karay. ab dusray mubeen pe pahochay to wahan bhi 11 martba surah e naas sharif parhay  aur pani pe dam karday aur dusray mubeen se aagay parhna shuru karday.esi tarha kul Yaseen me 7 mubeen hain  har mubeen pe 11 martba surha e naas sharif ko parhna hain aur dam karna hain.ye ek martba huva.aisay aapko 5 martba parhna hain. chahay to ek nashist{one sitting}me parhay ya  chand nashist me parhay par jab bhi parhay to yaseen pura khatm karkay hi uthay.
Jab 5 martba parhlay to us paani ko saharzada ko petbhar pilaye  aur baaki paani ko ghar ki deewaron pe chhirak dena hain.  aur ghar k sabhi chhotay barhay piye to bhi koi harz nahi balki acha hain.paani nichay na giray,giray to pak kapday se saaf kar kay kapda sukha lay taki be adabi na ho aur toilat vigera napak makaam pe bhi nahi chhirakna eska khyal rakhay.
Ghar me taklif ho to behtar hain ki masjid ya mazar pe parhayi karay taki koi parayshani na ho aur ghar me karay to 3 martba aaytul kursi parh kar khud k upar dam karlay.
Ye amal sirf 11 din karkay dekhay kaisay jadu ka asar batil hota hain aur aapko  sukoon milta hain.
Jo surah e yaseen sharif na parh saktay ho wo subah w sham 500-500 martba surah e falaq w naas ko parh kar dam karkay pani estemal karay.
Insha Allah shifa hogi. haziraat92@gmail.com