Jun 26, 2014

MARZ SE NAJAT LA ELAJ BIMARIYON SE NAJAT:

Aaaj din b din duniya me laelaj bimariyan paida ho rahi hain aur log uskay shikar ho rahay hain.aur dawayi k kharchay uthatay uthay mariz k sath mariz ko bachanay k liye gharwalay bhi Qarz k marz me mubtila ho jatay hain.aur ye bhi laa elaj marz hain.Allah se dua hain ki ahl e bayt k tufayl kisi ko qarz k marz me mubtila na karay.ye bhi barha bhayanak marz hain.
khair ye amal jo likh raha hun en dono marz ka elaj hain.
khuda na khwasta kisi k ghar bimari lagi hain dawa asar nahi kar rahi hain to dawaaon k sath sath aap ye rohani amal bhi shuru karday.insha Allah agar marz k aasaar k sath hi karday to aapkay paisay bhi ziada dawaayi vigera me nahi jaengay aur mariz bhi jald shifayab ho jaega.aur aisa nahi ki ye jo amal main likh raha hun wo sirf la elaj marz pe hi kiya jaen.kisi bhi bimari me kar saktay hain.bukhar me bhi karay.zaroor faeda hoga.
aap yun karay ki rozana rat ko ek tasbeeh le kar mariz k sirhanay
kharay ho jaen aur 101 martba 'ya salaamu' ka wird karay.11-11 martba
durood e pak k sath.
parhtay waqt ye khyal rakhye ki tasbeeh mariz k sar se chhuti
rahay.jab khatm ho jaen to dua maang kar tasbeeh mariz k sirhanay
takiye k nichay rakh de.
aisa aap rozana kartay rahay.aur fajr ki sunnat w farz k darmiyan 41
martba surah e fateha parh kar pani pe dam karkayt pilaye.
par har bar  bismillah ko surah fateha se mila kar parhna hain yani aisay
Bismillah hir rahman nir raheeMILhamdulillahi rabbil aalameen....puri
surah aisay har bar parhna hain.aur 11-11 durood e pak parhay.

aur amal se pahlay hasbay hasiyat sadqa zaroor de de taki jald shifa hasil ho.

aur aisay hi Qarz k Marz ko dur karnay k liye aap rozana fajr ki sunnat w farz k darmiyan upar likhi tarkeeb  k mutabiq surah e fateha sharif 41 martba parha karay.insha Allah bahot jald Allah asbaab paida kardaega.aur aasaaniya ho jaegi.
aur khas baat ye ke marz ho ya karz sirf roohani amal pe bharosa kar kay na baithay marz hain to sath me dawaayi bhi estemal karay aur qarz hain to mahnat w koshish karay.aksar mainay dekha hain ki jo log qarz me hotay hain amal mangtay hain aur bas tasbeeh le kar masjid ya ghar ka kona pakad letay hain.aisa nahi karna jhamat karongay to rahmat nazil hogi aur sab aasaniya ho jaegi.
Allah se dua karay ki wo parayshaniyon se sab ko mahfooz rakhay aur maah ramzan aaraha hain agar Allah ne nawaja hain to apnay rishtaydaron ki zaroor khabar le ki koi parayshan to nahi kisi ki izzat to daaw par nahi?tumhari thodi si madad kisi musibat zada ko bikharnay se uskay waqar ko barkaraar rakhnay pe madad dega.ho sakta hain kuch galtiyon ki wajah se koi es marz yani qarz ka shikar huva ho.ab wo sudharna chahta ho.muhabbat se madad kardo aur maukay pe mauka detay raho Allah bhi to de raha hain ham bando ko.kaun nekokaar hain aur kaun badmash sab janta hain phir bhi rizq bhi deta hain aur neamatay bhi.aaj rah pe aaega kal aaega.to phir ham kaun hain,munh dekh kar denay walay neki badi dekh kar denay walay.
Allah sab ko mohtaji se bachaye aur sab ki mah e mubarak k sadaqay izzat w waqar ki hifazat karay.mainay kai ghar chand rupay ki khatir ujadtay dekha hain.apno ki zara si andekhi ek maa se beta ek biwi se shohar aur betay betiyon se walid ka saaya uthtay dekha hain.tazaa dakhila dekha hain esliye likha hain.
ek dusray ki madad zaroor karay....!