Apr 5, 2014

MUSHKILAAT SE NIJAAT HASIL KARNAY KA KHATM:

 MUSHKILAAT SE NIJAAT HASIL KARNAY KA KHATM:

Jab kabhi aisy mushkil aan parhay ki koi hal na nikal raha ho aur musibat k badal ghanay hotay ja rahay ho tab kalaam e elahi se madad lenay ka ek tareeqa likh raha hun.
sab se pahlay to taak insan ekatthay ho mard aurat sab es khatm em sharik ho saktay hain.par sab ek hi maqsad k liye shariq ho.jis kamray me khatm sharif parhna hain agar wo kamra bil kul khali ho to behter hain,warna dekhlay ki koi tasweer ya aisy koi dusri chiz na ho.aur achhay se kamray ki safayi bhi karlay.fars ko dho lay aur ye khatm isha k b,ad parha jata hain.esliye ek do ghantay pahlay kamray me khushboo achhay se chhirak de aur loban ka bakhoor khub karay aur kamray me lamba sufaid naya kapda ya achhay se dhoya huva ho wo bicha de,ginti k liyr khajoor ki gutliya ya jo bhi rakhna ho wo rakhday.aur kamray ko taala laga de,ki sivaye waqt khatm tak koi andar na jaen.
ab b,ad e isha sab log pak saf bawuzu kamray me kapday k aamnay samnay baithay.bich me ginti k liye khajoor ki gutliya jo bhi hain wo rakhay.ab sab log jo khatm me baithay hain wo 3 martba 
A'uzu billahi min ash shaitani r rajimi 
19 martba 
Bismillah hir Rahman nir Rahim
aur 11 martba
Durood e Ibrahimi 
parhay aur 
ye aayat e karima
بَلْ إِيَّاهُ تَدْعُونَ فَيَكْشِفُ مَا تَدْعُونَ إِلَيْهِ إِنْ شَاء وَتَنسَوْنَ مَا تُشْرِكُونَ 
surah e an'am 6:41
ko sab mil kar 7000 martba parhay aur aakhir me sab 11 bar durood e ibrahimi parha kar sab dil me mushkil k hal honay ki dua mangay.behter hain ki dua k alfaz parchiyo pe likh kar rakhlay aur rozana sab ko wo parchi diya karay.taki sab usi alfaz me dua mangay.
11 din tak khatm parhna hain.inshallah kaisy bhi mushkil ho tal jaegi aur aasaniya paida ho jaegi.
kamray ko khatm k bad band karday aur khatm k waqt se1-2 ghantay pahlay  loban ki dhuni de kar band kiya karay.
agar alag kamra nahi hain to jis kamray me khatm parhay rozana fars dho lay aur loban ka bakhoor karlay.aur phir khatm parhay.
11 din b,ad jo safaid kapda khatm k liye rakha hain usay kisi mohtaj ko sadqa karday.
*jo sahih parh saktay hain wo hi baithay,aur adab se khatm parhay,ye na ho ki barbar koi aaye jaen ya yahan wahan ki batay kartay ho.adab se parh saktay hain to hi parhay.warna rupay de kar kis amil baba se kaam karwa saktay hain.khud chain se baithay baba aapkay liye barhay barhay khatm parha karaengay...!