Feb 24, 2014

EK ANMOL AMAL:



ANMOL AMAL :

es amal se har har wo kam jo bigadnay ka dar ho uskay liye kaam deta hain,jaisay kisi ka rishta tootnay ka dar ho kisi ki jaedaad hath se janay ka dar ho,kisi chiz ka ya dukandar k saman ki kharidi ka sauda fail honay ka dar ho esi tarha k koi bhi kam jiskay bigarhnay ka khatra ho to ye amal bahot kam deti hain.Matlab es tarha k har wo kaam jiskay bigarhnay ka khatra ho to wahan ye amal kaam dega.
Main jo bhi amal likhta hun pahlay mere tajorbay se gujray phir likhta hun.aur es blog me har Amal kisi khas k liye nahi Aam k liye hain.aur mere Amal mere Ustad e mohtram k dar ki bikh hain,main fakir hu mere murshid k dar ka aur daman uskay dar pe phelaya karta hun wo maharban hain aur meri joli ko kabhi khali nahi lautatay.aur mere murshid sarkar e gaus e aazam ki nasl se hain.mere murshid ka shajra duniya k tajdaron se nahi par dono jahan k tajdar se milta hain.mere blog k kisi bhi amal ki kisi ko rijjat nahi hogi.na kisi k aagay dum hilatay ijazat laenayki zaroorat hain.bas likhi hui sharaet pe amal kartay huvay amal karay.agar khuda ka hukm na ho to aur bat hain ki amal kamyab na ho par nuqsan nahi hoga.duniya matlab parast hain aur kuch apni roti kisi ki gibat karkay kisi ko bura bhala kahkay hasil kartay hain aur dawa khuda ki zaat pe imaan ka kartay hain.ham kabhi juta dawa nahi kartay na ilm ya amal par koi takabor rakhtay hain.main to mere murshid k talvay ki dhul se bhi kamtar hun.bas dono jahan me mujay meray mustafa sallallahu alayhi w sallam mere murshid e pak ka khadim kabool karay.
ham kabhi jantar mantar aur putlay k chakar me nahi phasaatay.na hi kisi ko apnay mazhab ki puja archna karnay ka mashwarah detay hain.jo quran hadis w asma e elahi w buzorgan ka sadqa hain usi main se bataatay hain.amaliyat to kuto biliyon ki dum se uski potti se bhi kiye jaatay hain,khud ka pishab pi kar bhi karnay walay kartay hain,shayid shaitan es jahan me usay manchaha dila de par aakhirat barbad ho jaegi.mainay to dekha hain chand maah ya saal ka dabdaba hota hain,phir khud hi apni hi potti aur pishab me bistar pakad marnay ka intzar karta hain.kai pardanashinon ko be parda karwanay k aamal karwa rahay hain. aur kai log kar rahay hain.amal k shauq me duniya aur aakhirat na barbad ho ye zaroor yad rakhiyega...!
hamay fikr e do jahan hain.mujay meri Qadriyat pe naaz hain.aur main esi faiz ko mere es blog reader me faraakh dili se bant raha hun.aur dua karta rahta hun ki Sarkar Gaus e aazam radiallahu anhu tamaam banda e haq ki mahnat ko kabool karay aur kamyabi ata karay.aameen...!main apnay course me bhi mere tamaam student ko kahta hun ki kahin meri baat na karay na barhaye.aur ham chamchay palnay walay nahi.mera har member mera Aziz bhai hain.aur ham ek family hain.inshallah sab pe faizan e Qadriyat hota rahaega....! 
  Ab main yahan meri aadat k mutabiq ek aasan amal aapkay liye pesh kar raha hun aur aap bhi inshallah esay faeday uthayengay,ye ummid kar raha hun.agar aisay chhotay chhotay amal k amil banjaengay to kisi amil k lafday me nahi phasaengay.amal karay aur Gaus e aazam radiallahu anhu ka faizan dekhiye....


Es amal me surah bakra ki aayat 256 ka ek tookda kam deta hain jo ye hain...

لاَ انفِصَامَ لَهَا
la infisama laha.
par pahlay eska nisaab ada karay.wo yun ki fajr ki namaz se pahlay reshmi kapda bichha kar uspay do zanu baith jaen agar do zanu baith na sakay to chaar janu baith jaen.aur siday hath me tasbeeh rakhay aur dono hath ko dono ghutno par dabaye rakhay.es aayat ko 11-11 durood e pak k sath aayat ko 500 martba parha jaen.esmay agar aap jo digital tasbeeh aati hain wo use karay to wo behtar rahaegi.
ye amal sirf 5 din ka hain,5 din b,ad aap amil hain es amal k.5ve din jab zakwat khatm ho to aap chaaro janib ek ek sajda karay yani ek magrib me ek mashriq me ek shumal me ek junoob me.
bas ab aap amil hain.es amal me kisi khanay pinay ka koi parhez nahi.bas amal fajr se pahlay parhna hain,b,ad me fajr ada karni hain.
ab jab bhi essay kaam lena ho to esi tarha 5 din fajr se pahlay 500 martba parh kar maqsad ki dua ki jaen.inshallah jis kam k wastay parhaengay wo nahi tootega na fail hoga.agar kuch asar me kami rah jaen to usi maqsad k liye mazid 5 din parhlay es tarha 15 din se ziada amal nahi karna parhta.
aayat ka matlab hi ye hain ki wo jo toot nahi sakta.
amil k pas aksar aisay maamlat aatay hain to ye amal zaroor karna chahiiye.
amal ko rozana 25 martba parhlena chahiye taki amal jary rahay.