Jan 24, 2013

MILAAD MUBARAK

TAMAAM AALMIYAN KO
rahmat e aalmiyan sallallahu alayhi w sallam ka
YAUM E WILADAT MUBARAK,

sarkar ki aamad marhaba...!

--
Sent from my mobile device

Jan 8, 2013

TASKHEES MARZ

TASKHEES(marz jismani ya rohani?):

Har marz ki dawaa karnay se pahlay marz kaun sa hai ye jan,na zarori
hota hai.hamaray kuch dost janab salman rai,malik aziz sahb ne aisa
amal post karnay k liye kaha tha.mere tamam bhaion jo hasad w bugz se
khali hai unkay liye ye AMAL TASKHEES pesh karta hun.jo mere mamool me
se hai...

TARKEEB:
mariz ka marz jismani hai ya rohani?aaseb-jin hai ya jadu?ye jan,nay k liye...
Mariz ka pahna hua shirt ya banyan lay aur naap lay.aur kapray ko
lapaytlay.ab uspar

5 martba su.fateha

5 martba
Bismillahil ladhee la yadurru ma'asmihi shayun fil ardi wa la fis-samaa-i wahuwas-sami'ul 'aleem
5 martba
Ya hayyu ya qayyum

1 martba
Allahus shaafi
Allahu kaafi
Parhkar dam karay.kapra khol kar naap lay...

Result:

Kaprha kam ho to Jaadu hain.

Kapra barh jaen to Aseb hain.

Kapra na barha n kam huva to marz jismani hain.

Dua hai Aaqa sallallahu alayhi w aalehi w sallam  k chahnay walon ko Allah khub kamyabi ata karay,Aameen.

Jan 4, 2013

HAMELA K PAIT ME LARHKA HAI YA LARHKI ?

LARHKA YA LARHKI:

Hzrt Allama Abdur rahman safuri rahmtullah alay farmatay hai :
" k meine ek musalmaan tabeeb k pas ek kitaab dekhi jisme tehreer tha
k jab hamela ka rang nikhar aaye aur uski khubsoorti me izafa nazar
aaye to samaj lijiye k uske yaha larhka paida hoga.
aur agar aurat apnay daaye janib girani(wajan) mahsoos
Kare aur daaye pistan ki noak barhi mahsoos ho to ye bhi uske yahan
larhka honay ki alamat hai.aur dudh gaarha nikalay to bhi larhka
honeki daleel hai.

Agar ye maloom karna ho k larhka hoga ki larhki to aurat k pistan se
dudh ka ek katra aainay par tapkaye aur aainay ko dhoop me rakhde.agar
dudh fayl jaen to LARHKI ki alamat hai.
Allah w uskay rasool khub jantay hai.

Jan 3, 2013

BE-AULADON K LIYE MAAH E NOOR KA KHAS AMAL:



Pahlay to jo ye meri post parhay usay me iltija karunga ki
hayatunnabi huzur nabi e do jahan sallallahu alayhi w aalehi w sallam ki barhah
me 11 durood e pak ka taufa pesh karkay aap sallallahu alayhi w sallam
k tufail tamaam be,aulad bhai,bahan k haq me dua karay ki rabb e qadir
unsab ki god gohar e muraad se bhar de.aameen.

Jisky god khali ho wo aurat mahe noor yani rabiul awal sharif ki
nauchandi jumerat se ye amal karay.agar paki,napaki ka mas,ala hai to
aainda jumerat se karay.aur agar dauran e parhay k dino me mas,ala ho
to utnay din chhor de aur b,ad e faragat parhayi shuro karay.
Aur esmay koi parhaiz nahi ,hambistar hua karay.inshallah rabb e
kareem apnay habib e kareem k sadqay apko mayoos na karaega.
Amal k dauran namaz ki pabandi ki jaye to bahot achha hai.aur durood
ki kasrat karay.ro-ro kar dua karay.

TARKEEB:

11-11 martba durood pak aur ye aayat 300 martba isha b,ad
parhay.aayat ye hai...
"rabbi lataznee fardaw w antal khairul wariseen."
P.17,su.ambiya,aayat 89.

Inshallah apka ghar bachay ki muskurahat se khil uthaega.
Amal ki mudat kam se kam 40 din hai.par jab tak murad na hath aaye
wird me rakhay.
Ye amal miyan-biwi dono karay to aur behtar hoga.

Ye mere murshid e pak aulad ki neamat se mahroom ko ata kia kartay
hai.aur mahe noor ko hi khas parhnay ki taqeed bhi kia kartay hai.
Aur har koi faizyab hua karta hai.aap bhi quran ka daman thamay aur
apna daman khushion se bharlay...!

NOTE:aayat quran se dekh kar sahih karke parha karay.

Jan 2, 2013

SUFIYANA NUSKHA-2: (Nind na aati ho)

ye bhi janab sufi A.QADIR sahb ka bataya hua ek nuskha hai.
aapnay btaya tha ki aksar amileen chillah me raat raat bhar mashgul
rahtay hai.aur aisa karnay se kai amil ko aisa hota hai ki na raat ko
nind aati hai na din ko.aur ye bahot sakht halaat banjatay hai.jo
ahbab lagatar chillay kar chukay hai wo meri bat ko zaror tasleem
karaengay.aur kuch logo ko nind na aanay ki
Bimari hoti hai,usay bhi es nuskhay se faeda hoga.aur jisay dimagi
dauray parhtay ho usay bhi faeda pahochayga.

TARKEEB:

Jab raat ko nind na aarah ho to aap sidhi baju (right-side)ki taraf so jaye aur
Apnay sidhay hath ki kalmay ki ungli se apnay naak daaya soor
(right-nostril) ko band karday.aur baaye soor se ghehri saans lay.agar
es dauran kahin se apko chand nazar aata ho to uski taraf nazar
rakhay.ya chand aasman par nahi hai ya aap kamray me so rahay hai to
ghehry sans laytay waqt ye taswoor karay ki chand aakas me khila hua
hai. Ye uss waqt tak kartay rahay jab tak apko nind
na-aajaen.inshallah 5,6 martba karnay se nind aajaegi.aur aapko pata
bhi nahi chalayga ki kab nind ne apko aa pakdaa?

SUFIYANA NUSKHA:

mere murshid e pak k murid
Sufi gulam a.qadir bihari sahb ne ek martba taswoof kay kai jismani
fawaed btayen the.jismay se aaj ek likhta hun.taswoof me saans aur
taswoor ki mashq hoti hai.
Ye bhi ek mashq hai,par aap sirf waqti taur par aazmayen,btaur mashq
na karay.kyu k bgair ustad ki rahnumayi ye nuqsaan de sakta hai.

Aaj thandi ka mausam hai to ye mashq yaad aagayi
Jab thandi bahot lagti ho jism me mahsoos hoti ho to aap
Ghehri saansay lay aur ek ghehri saans bhar kar usay galay ka jo gadda
hai wahan roknay ki koshish karay aur ussi gadda par aftab ka taswoor
karay.aasani se karay koi zor nahi.aur jab sans ko rokna paye tab
chhor day.aisa 3,4 bar karnay se jism me garmi mahsoos hogi.thandi
foorr hogi.