Jul 7, 2013

MUJRRIB AMAL DAST E GHAIB :

Kai mere blog readers bhai w bahan ne request ki thi ki main koi ghar
me kar sakay aisa amal dast e ghaib post karu.usi mere bhai w bahan k
naam mera ye aazmuda kamyab amal nazr kar rahan hun.inshallah ALLAH
apko es amal se har maali parayshaniya se mahfooz karay,aga, apko apkay
bacho ko kabhi kisi k aagay hath failanay ki zaroorat na parhaegi.
dast e ghaib yani aapki jaez zarooraton ka khuda ghaib se intzam
karday.kisi bhi tareeqay se ye nahi ki aapnay zeb me hath dala aur
rupay ki garhi nikaal li.koshish karay ALLAH kisi ka mohtaj na karay ye
hi sab se barhi kamyabi hain.
mujay jaisay amal mila hua hota hain main waisay aap tak phochata
hun.aap bhi baal ki khaal nikalay bagair amal karay,ALLA ki zat pe
bharosha rakhye wo kuch galti hogi to bhi apki mahnat bekaar nahi
janay dega.
meri aadat tedhay medhay amaliat likhnay ki nahi.main to wohi amal ko
manta hun ki jo main kar saku wo aap bhi kar sakay,na  kuway pe latkaya
jaen,na wiranay me bhatkaya jaaen,na bhari bharkam alfaz ki matlab
talash ne me hi 40 din ho jaen.main ye amal bilkul waisay likh rahan
hu jaisay mujay mila aur yakeen dilata hun ki es amal ko sahih se kar
liya to kabhi kisi k mohtaj na hongay.aagay ALLAH ki marzi.
ab main yahan tarkeeb aasani se likhta hun aap bhi gaur se samajlay...

TARKEEB

ye amal 7 dinon ka hain.mahina koi ho jumerat ko roza rakhay aur fahas
w jooth se door rahay,bila zaroorat na bolay jo  zaroori ho wohi
bolay.aur ho sakay to en 7 din gosha nashin rahay. na kisi se
milay,julay,na baat karay.amal k dauran gosht har qism ka parhez
rakhay.kacchi pyaz,mooli,lahsoon ka istemal na karay,pakki kha saktay
hain par agar wo bhi na khaye to behtar han.
jumerat ko roza rakhay aur namaz e  isha b,ad se amal shuru karna
hain.amal ko aap isha se dusray din ki magreeb tak me yani din raat me
parh kar khatm kar saktay hain.ek nashist me parhna zaroori nahi.es
aayaat ko 1000 martba parhna hain.

سورة الأنعام - Al-Anaam: Verse 59
وَعِنْدَهُ مَفَاتِحُ الْغَيْبِ لَا يَعْلَمُهَا إِلَّا هُوَ ۚ
وَيَعْلَمُ مَا فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ ۚ وَمَا تَسْقُطُ مِنْ وَرَقَةٍ
إِلَّا يَعْلَمُهَا وَلَا حَبَّةٍ فِي ظُلُمَاتِ الْأَرْضِ وَلَا رَطْبٍ
وَلَا يَابِسٍ إِلَّا فِي كِتَابٍ مُبِينٍ


quran sharif me dekh kar sahih parhna hain.
11 durood e pak parhna hain.agar durood e tunajjina parhay to bahot
behtar rahaega.
phir 1000 martba YA HAYYU parhay.
phir 150 martba YA QAYYOOM parhay.phir 11 martba durood pak parhay.ye
amal ek din ka hua,ab aap chahay ek nashist me ya ek raat ya ek din me
ya din aur rat me pura karay,par har haal me aapko dusray din isha se
phlay parhlaena hain.aur b,ad e isha dobara shuru kar dena hain.7 din
ka amal hain yani jumerat ko shuru karkay budh ko khatm hoga.es  amal
se inshallah aap kabhi rizq ya kharch k mamlat me kisi k mohtaj na
hongay.qarzdar hain to qarz door hoga aur tangi door hogi. 7 din khuda
w uskay rasool sallallahu alayhi w sallam ki famabardari w gulami me
guzray inshallah aapki zindgi k ye 7 din yaadgar banjaengay.uski zaat
pe bharosha karkay mahnat karo wo kisi ki mahnat ko bekaar nahi janay
deta kyu ki wo sab se behtar majdoori denay wala hain.