Mar 14, 2013

SWINE FLU KA DAM:mere murshid ki atta:

Pahlay es amal ki zakwat ada karni parhti hai.
Zakwat meri nazar me to aasaan hai,par hindustan se bahir k hazrat k
liye aasan hai ya nahi wo nahi pataa.khair unlogon ka hal bhi
bataunga.

TARKEEB ZAKWAT:
yahan aam(mango)ka season shuroo ho raha hai aur es season k shuroo me
koyel (coo coo) parinda jab bolay to aap usi waqt 11-11 durood e pak
aur 121 bar
amal ki ibarat
parhlay.bas,ye umrbhar k liye zakwat ada ho gayi.


121 martba zakwat ki niyyat se parhay.
Amal ki ibarat ye hai...
BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM KI KAMAAN,
MUHAMMAD K TEER SE DABBA KO CHEER,
LA-ILAHA ILLALLAH MUHAMMAD RASOOL ALLAH.

eska jhadnay ka tariqa ye hai ki hath me ek chakoo laykar pasli par
hath phertay jaen aur 7 bar parh kar dam karay aur chakoo se zameen
par isharay se jhadnay.inshallah,shifa hogi.

Jab kuch saal pahlay gujrat me 'chiken guniya'
Ki bimari ne logon ka haal be haal kardia tha,tab mujay mere murshid e
Pak ne Alhamdu sharif ka dam bataya tha,jissay meine Allah ki ata se
aur faizan e murshid se hazaron marizon ka elaj kia aur mariz thik
huvay.

Kuch din pahlay swine flu pe baat hui to ye MERE MURSHID E KAREEM ne
ye amal bataya.
Aur
Swine flu k mariz ko sub,ah nihar muh namak ki 3 kankarion par 3
martba aaytal kursi dam karkay khilaye.
Aur upar likhay tariqay se jhada jaen.

*Swine flu se bachnay k liye*...

Allah apnay habib k sadqay ham sab ko es wabaa se bachaye. aameen.
Aur ye dua 3-3 martba sub,ah w sham parhlay to inshallah es bimari se
hifazat rahaegi.

Bismillah hir rahman nir raheem,
ALLAHUMMA INNEE AOZOOBIKA MINAL ZUNUNEE-WAL JUZAMI WAL BARAASEE-W-
SAYYIYIL ASKAAM.

Jo hazrat amil e huroof tahjji hai unhay ye zakwat deneay ki zaroorat
to nahi,phir bhi agar dena chahay to de saktay hai,amal aur tez asar
hoga.
Ijazat un tamam momineen ko hai jo dusray ko faeda pahochana chahtay hon...!

--
Sent from my mobile device

Mar 6, 2013

RIZQ GHAIB SE HASIL HO...!

Essay pahlay meine ek amal Anaar k phool ka bataa chuka hun.par uss
amal me kai biradaran k mails aaye ki Anaar k phool nahi mil rahay to
yahan me aisa hi zabardast amal likh rahan hu jo
RIZQ E GHAIB ka amal hai.aur ye buzorgaan ka amal hai,kaamyabi me shak
nahi. Yakin kamil se karo Allah zaroor kamyabi dega.

IJAZAT:
Tamam ashiq e nabi w auliya sallallahu alayhi w sallam w rahmtullah
alay k wastay eski ijazat hai.

TARKEEB:

Nauchandi jumerat ko chambeli k 3 phool namaz e asr k b,ad darkht se
torhay aur har phool par

وَوَجَدَكَ عَائِلًا فَأَغْنَى 
Wawajadaka Aailan faaghna
su.ad-doha aayat 8

703 martba parh kar dam karay aur phool kisi puraani qabr par dal
de.21din rozana b,ad e asr ye amal karay.inshallah rizq ghaib se
milaega.tariqa mukhtlif rahaega,kisi ko ghar me rupay miltay hai,kisi
ko takye k nichay se milta hai to kisi ko kisi bhi zariye se yaumiya
kharch mil jaega.
Jab bhi kisi haram kaam ya fizul kharchi me rupay kharch kiye to asar
jata rahaega ya kisi pe raz zaahir kar diya to bhi amal bekar ho
jaega.
Akhri din agar qabr k pas koi anjan admi salam karay aur phool dalnay
ka sabb daryaft karay to usay kahday ki mein to es ahlay qabr ki
bhalayi chahta hu taki Allah muj par raham karay meri mushkilat ko
aasan karday.jab wo mushkil k baray me puchay to apni mushkil kahday
aur uss anjan admi se dosti ki arz karay aur dubara ussay kaisay mil
saktay hai uska tariqa puchlay.achhay se yad rakhlay.wo apko dhokha de
sakta hai aur bilkul aisa saluk karaega ki apko lagayga ki ye to koi
aam admi hai aur aap essay ziada sawaal jawaab karna thik nahi
samjaegay.
Ye sab har ek shakhs k sath nahi hota kuch aisy quwat rakhnay walay ko
hi ye mamla pesh aa sakta hai.asal me ye raz tha.mere dosto k naam raz
faas kardia hai.
Amal me chambeli(jasmine)k phool hi se amal kia jaega.eskay badlay koi
aur phool nahi chalaega to plz,eskay liye koi daryaft na karay.
Koi baat puchhni ho to mail karay.koshish karunga ki jald jawab daenay
ki.aur mere pas waqt ki killat hai.to khuda k wastay meri majboori
samjay.
NOTE:
wo anjan admi kaun hai wo bhi raz mujsay na puchay aur jo amliat ka
elm rakhtay hai wo samaj jaegay.aur ye mamlat har kisi k sath nahi
pesh aaengay.
Haziraat92@gmail.com