Oct 9, 2012

SITARON K BAKHORAT

AMLIAT:http://amliat.blogspot.com/2012/09/blog-post.html?spref=bl
Jis sitaray ki sa,at me koi tawez likhna jaye ya wazeefa parha jaye uski dhooni ka khyal bhi zarori hai.amliat k silsilay me agar sitaron ki sa,at k mutabik sahih bakhorat ka intezam kia jaye to asar bahot jald zahir hota hai. BAKHORAT KI TAFSEEL DARJ E ZAIL HAI... 1. SHAMS : aood,darchini, mushk 2.QAMAR : kafoor,shahad, aood 3.MAREEKH : loban,aood 4.ATARAD : surkh long,sandal,kafoor 5.MUSHTARY : desy shakar,surkh sandal,kafoor,mushk, aood 6.ZOHRA : safaid sandal, aspand,kafoor,anbar 7.ZAHAL : raal,loban,googal,sarson @@@@@

Oct 6, 2012

TASKHEER HUKAAM

Agar kisi ko sakht afsar k paas jaana ho ya zalim ya sakht haakim k
saamnay jaana ho aur wo naraz ya gussay honay ki fikr ho to wo es amal
se allah ki amaam w imdaad hasil karay...

Tarkib:
SU. Alam tara kaifa
Ko 21 martba parh kar hathailiyon par dam karay aur dono hathailiyan
chahray par phairay.
Agar bud-mizaaj haaki k saamnay bhi jayega to maharban ho jayega.
Aur jis maqsad k liye kiya jayega usmay kamyabi hogi.
Aazmaye aur amliat ka karishma dekhay.

--
Sent from my mobile device

TASKHEER KA SURMAA

Nauchanday jumua ko tuloo e aftab k waqt
3 - 3 durood e pak
Aur
21 martba
Su.fateha(alhamdulilla)
Bawuzu parh kar surmay par dam karay.
Jab kabhi hakim,ya afsar k samnay jaana ho to ye surma aankhon me laga
kar jaye,hakim,afsar maharban hoga.
Ye amal adalat me hakim k samnay jatay waqt bhi estemal kar saktay hai.

Note:
Jo hazraat sahih n parh saktay ho wo hafiz qari se parhwa kar estemal
kar saktay hai.

--
Sent from my mobile device

TASKHEER KHAS O AAM

B,az soofiya e kiram ne ism
YA AZEEZ
Ko ism e aazam maana hai aur waqyi ye amal ism e aazam hai.
Aap bawazu tanhai me zoq e qalb se sirf
108 martba ye amal parhay.phir eskay asraat dekhay.khuda chahay to
dunyavi mushkilat bhi hal hongi aur aap ki izzat bhi har shakhs karnay
lagayga.aur dil bhi MUNVVAR hoga. Ism e aazam ye hai...
يا عزيز من كل عزيز بحق يا عزيز

Ya azeezu min kulle azeezin bihaqqi ya azeez.

Note:tadad ka khas khyal rakhay.es tadad me ek raz pinhan hai
.awal-akhir durood sharif 3-3 martba zaror parhay.
41 din tak parhay 15 din b,ad asar nazar aana shuroo hoga.aur 10
minutes kaam hai 41 din b,ad chahon to 108 bar hi martba parha karon
ya kam se kam 13 martba parha karo.waqt jo apka furshad ka wo waqt k
muqrra par parhtay rahay.

Gujarish:
Muz garib k haq me dua karay.

--
Sent from my mobile device

GHAR ME LADAAYI JAGHDAY...!

B,az ghar aisy bhi hai jin me rahnay walay itfaq ko qatayi bhool kar
bhaion me jang,ma-bap aur aulad me ranjish,mia-biwi me ikhtlaaf garz
ki ghar kya hai,maidan e jang?
Es ghar me rahnay walon me rozana tu-tu mei-mei hoti rahti hai.aisy
gharon me ye amal bahot mufeed saabit hua hai.aur kai martba ka
aazmudah hai,aasaan bhi.

Tarkib:
Sarson k 41 daanay gin kar uspar zail ki aayat mubarika
41 martba parh kar phoonkay.har daanay par nahi parhna hai, 41 martba
parhkar sabhi daano par phoonk de.
Aur ye sarson makaan k 4 ro goshon me es tarah daal diya karay ki wah
paon me na aaye.
Es tarha rozana 11 din tak ye amal karay.
B,hukm khuda uss ghar se na itfaqi door hogi aur unsab gharwalon me
itfaq aur ithaad rahayga.
Awal-aakhir 3-3 durood e pak parhay.har martba bismilla se shuroo
karay.aayat su.rahman ki hai...

يا معشرال جن والانس ان استطعتم ان تنفذوا من اقطاراسموت والارض فانفذوا
لاتنفذون الا بسلطان

--
Sent from my mobile device