Jul 25, 2012

TAWANGARI KA AMAL MUZRRIB

Nauchandi jumerat ko ba,ad namaz e magrib
11-11 martaba
durud e paak
aur 6 martaba
SURAH E WAQIA
tilawat kare.
ba,ad khatm ke badastur durud sharif parh kar khada ho jaya kare.
dusre roz bdastur ba,ad namaz e magrib k 5 martba esi tarha dusri jumerat aaye to surah waqia ko 5martba parh kar khatm karde aur awal jumerat se es waqt tak su.waqia ki tilawat ki niyyat RiZa e Elahi ho.

essay farig hokar usi waqt phir durud e pak w surah e waqia 6 martba tilawat kar ke khada ho jaye aur tisri jumerat tak rozana 5 bar tilawat kare.jab tisri jumerat ko 5 bar parh chukay to es haftay ka sawaab hadya e rooh e paak e rasool sallallahu alayhi w sallam ko kar ke usi waqt az saray nau phir 6 bar surah ki tilawat kare aur ba,ad me bdastur 5 bar rozana 4th jumerat tak parhta rahe.4th jumerat ko surah waqia ko 5 bar tilawat kar ke us tisray haftay ki tilawat ka sawaab jami arwah e momin w mominat ko hadya kare.
ab amal tamaam hua eske ba,ad dusray roz se hamesha surah waqia ko ek bar rozana ba,ad e magrib parhta rahe.inshallah ta,ala kabhi fakro fakay ki musibat me mubtila n hoga aur hamesha farigul baali aur khushali se zindgi basar karega.
aur rupay paiso se dusro ki bhi madad karnay k kabil ho jaega.
ye amal tamam musalmano ko btao aur targib dilaon.
mohtaji aur garibi ka khatma karnay wala ye amal karo aur khud hairankun asar ka mushahida karo.
ha,namaz e panjgana ki pabandi zarur rakhye.ki farz chhor kar tum koi bhi amal ya wazifa karo sirf mahnat hath aayegi.rab aur uske habib ko razi rakho aur zaban ko zikr e durud se tar rakho har amal apna asar dikhaega.
har amal asardar hai kami apnay andar hoti hai.
koi baat n samaj aaye to COMENT k zariye puchh saktay hai par pahle 3 ,4 martba post ko parho phir n samaj me aaye to pucho.q k ramzan hai aur me bhi ek kamzor insan hu.mera bhi khyal rakhye.aur dua e nek muz garib k haq me bhi kia kare allah hafiz...!