Dec 9, 2012

RAD E JADU

Kabhi apnay dushman ya hasid khud ya jadugar(tantrik) se kuch chizay
parhwa kar ghar me ya daftar me rakhtay hai ya dafan kar datay hai.ya
bistar ya pillow me si laytay hai.
Agar kabhi aisy chizay hath lagjayen to usay aisay hi n uthalay.jahan
nazar aaye wahi rahanay de.agar bawuzu hai to thik warna wuzu banakar
us chiz k pas baith kar 786 martba
Bismillah sharif parh kar us chiz par phoonk de.aur chimtay se usay
uthalay aur bahir bahtay pani me bahaday.
Ab jo ye kam karay wo bahar gusal karkay vapas aayen.

MAKAAN KO ASRAT E BUD SE PAKIZA KARNA:

Insan ki tarqqi aur tabaahi me uska makan bhi ek ahamiyat  rakhta
hai.insan jahan rahta hain uss jagah ki history ko wo nahi janta ki
barson pahlay yahan kya tha,koi jinnati qabila tha,jadu dafan tha,buri
rooh thi.
Agar makan me rahnay walay ko nuqsan ho raha ho ya makan me aanay se
bechainy ghabrahat hoti ho,sukoon ka ahsas n hota ho to,bachhay ziada bimaar rahtay ho,ajeeb si chizay ho rahi ho to mumkin hain ki ghar me kuch aisa hain jo nahoosat laa raha hain,aur aisy koi bhi shay ho to aapki taraqqi aur sukoon ka hasil hona mumkin nahi hain.
kisi amil se rabta karna ya kisi se taweez vigera ka sahara laena essay bahatar hain ki aap Qalam e elahi k faizan se en nahoosaton ko ghar se nikal de. aur  en sab se ghar
pak karnay k liye kisi baba,amil k chakkar me parhay bagair aap khud
ye tariqa estemal me laye aur apnay ghar ko sukon ka gahwara banaye.

Tariqa ye hai ki nauchandi jumerat yani chand dekhnay pe jo pahli
jumerat aaye usi rat ko ghar k tamam afrad[mard aurat]  mil kar 19000 martba
 بسم اللہ الرحمن الرحیم
bismilah sharif parhna hai.loban ka bakhor karay.aur khatm parhnay me
chahay to paroshiyon ko bhi shamil kar saktay hai,par khatm parhnay
walo ki tadaad taak[odd] honi chahiye.yani 5,7,9 11 ya 21 estarha taak taadad me khatm parhnay k b,ad mithayi par
fateha b,nam huzur nabi e pak sallallahu alayhi w sallam aur mokilaan
e bismillah sharif ka dilwaya jayen.
Inshallah ghar tamam nahushaton aur asrat e bud se pak ho jayega.mainay
kai gharon me ye khatm karwaya aur bahot fayeda dekha gaya.apnay khud k
ghar pe bhi me aksar karwata hun.aap chahay to har mah bhi karay
inshallah aap ko bahot hi faeda nazar aayega.
kam se kam 3 khatm karwana chahiye taki mukammal faeda hasil ho jaen.