Dec 2, 2012

NEK BHAKHT W NEK AKHLAQ AULAD:

Apni aulad nek bakht ho,nek akhlaq ka hamil ho aur sab log usay muhbat
ki nigah se dekhta hon.ye khwab to har walidain ka apni aulad k liye
hota hai.
Mein bhi ek baap hu aur mera khud ka bhi yahi khwab hai,mein apni
aulad ko nashihatay karta rahta hun,acha buraa samjaata rahta
hun.eskay elawa ek rohani chhota sa amal bhi karta hun.kyu k sirf
dawaa kafi nahi dua bhi chahiye.
Aap bhi apni aulad ki bhalayi ki khatir es chotay par bahot barhay
phal denay wala amal zaror karay.

TAREEQA:
har mah me ekbar b,roz jumua 1100 martba
يا قدوس

YA QUDOOSU
Aur 21-21 martba durood sharif parh kar pani pe dam karkay apni aulad ko pilaye.
Inshallah usmay qudrati taur par nekakhlaq paida hongay.buray se door
rahaenge aur sab log ussay muhbat se pesh aayenge,pyar dengay.jab
barhay hongay tab bhi yahi haal rahaenga aur qudrati taur par logon k
dilo pe raz karayga.koi tashkeer awaam ka amal ki usay zarorat nahi
parhaegi.
Umeed rakhta hun ki aap apni aulad k liye itna zaroor karaenge,aur
meri aulad k haq me dua e nek karaenge.
Wsallam.