Dec 18, 2012

AANKH KI ROSHNI BARHANA:

abhi kuch din pahlay me mere murshid e paak ki khidmat e aqdas me
hazir tha.hamaray mureed bhaion me jo qarzdar hai unhay qarz e hasna
denay ka ek chhota sa programme tha.

Wahan mein apnay murshid e kamil k paas baitha tha tab ek mureed bhai
aaye jiska naam nahi janta.wo aakar mere murshid k paas baith gaye aur
kuch b,at karnay k b,ad uss janab ne murshid se farmaya ki
"hazrat,meri ankhon ki roshni kam ho gayi hai doctor ka kahna hai ki
pardon me kuch taklif hai.aap hi kuch dua farmayen ki thik ho
jayen...!"
Mere sarkar ne farmaya ki aapko koi dua aur dawa ki zarorat nahi.apki
maan zinda hai,rozana shub,ah sham unkay talwon pe aankhay ragda
karon.inshallah tumhari faryad door ho jaegi...!